SEARCH RESULTS
Showing search results for "atlas"
Ghazal MATCHES FOR "atlas"
Ghazal
hariir atlas-o-kamKHvaab pankhu.Dii resham
kisii ke phuul se talvo.n se shaah-maat sabhii
Shahzad Qais
Ghazal
tum vahii ho ki jo pahle the mirii nazro.n me.n
kyaa izaafa hu.aa in atlas o baanaat ke saath
Aitbar Sajid
Ghazal
lab-kushaa.ii pe khulaa us ke suKHan se iflaas
kitnaa aaraasta vo atlas-o-baanaat se thaa
Aitbar Sajid
Ghazal
ek din honaa hai miTTii kaa nivaala phir bhii
jism par atlas-o-kamKHvaab liye phirte hai.n
Faragh Rohvi
Ghazal
ridaa-e-faqr bachaa le ga.ii mujhe varna
fareb-e-atlas-o-kam-KHvaab mere saamne thaa
Saleem Kausar
Ghazal
ye atlas o kam-KHvaab dikhaate ho abas tum
shaa.ir ko nahii.n chaahiye shohrat se ziyaada
Jamal Owaisi
Ghazal
shaad rahte hai.n isii jaama-e-uryaanii me.n
haa.n magar atlas-o-kamKHvaab se Dar jaate hai.n
Abbas Rizvi
Ghazal
dikhaa.e chiira-dastii aah baalaadast gar apnii
to maare haath daamaan-e-qayaamat charKH-e-atlas me.n
Shaikh Ibrahim Zauq
Ghazal
is girya-e-KHuunii.n kii daulat se 'naziir' apne
ab kalba-e-ahzaa.n me.n kul farsh hai atlas kaa
Nazeer Akbarabadi
Ghazal
tum aa.o mire ghar to bataa.o ki sar-e-farsh
maKHmal ho ki atlas ho ki kamKHaab ho kyaa ho
Farooq Jaiasi
Ghazal
ye jo ham atlas o kim-KHvaab liye phirte hai.n
azmat-e-rafta ke aadaab liye phirte hai.n
Sultan Akhtar
Ghazal
ham faqiiro.n kii to jholii me.n kabhii dekh 'zuhaib'
resham-o-atlas-o-kamKHaab liye phirte hai.n
Zohaib Azmi
Ghazal
KHirad kii resham-o-atlas-navaaz mahfil me.n
junuu.n chalaa hai garebaa.n kii dhajjiyaa.n le kar
Qaisar Siddiqi
Ghazal
vo jo kartaa thaa sadaa KHirqa-e-darvesh kii baat
vo bhii darbaar me.n vaarafta-e-atlas niklaa
Anjum Khaleeq
Ghazal
Anjum Usman
Ghazal
atlas-e-garduu.n se atlas hai fuzuu.n ai maah-ruu
kahkashaa.n kaa tere shimle me.n bataanaa chaahiye
Asad Ali Khan Qalaq
Ghazal
bharaa na atlas-o-marmar se peT KHilqat kaa
ye bad-nihaad ab aab-o-giyaah maa.ngtii hai
Mohammad Izhar ul Haq
Ghazal
tere qaamat pe hai zebaa vahii atlas kii qabaa
apnii suurat na badal chaa.nd sii suurat vaale