SEARCH RESULTS
Showing search results for "be-baak"
Ghazal MATCHES FOR "be-baak"
Ghazal
muzhda ye sabaa us but-e-be-baak ko pahu.nchaa
ye duud-e-dil-e-soKHta aflaak ko pahu.nchaa
Mirza Mohammad Taqi Hawas
Ghazal
dilbar-e-be-baak suu.n KHuub nahii.n bolnaa
shoKH sitam-naak suu.n KHuub nahii.n bolnaa
Obaidullah Khan Mubtala
Ghazal
lutf be-baak mulaaqaat kaa mushkil se uThaa
ek parda thaa bil-aaKHir jo muqaabil se uThaa
Mani Nagpuri
Ghazal
Anwar Dehlvi
Ghazal
be-baak na dekhaa ko.ii qaatil ke baraabar
sharm aa.nkh me.n paa.ii na ga.ii til ke baraabar
Jalal Lakhnavi
Ghazal
Gairo.n se mil ke hii sahii be-baak to hu.aa
baare vo shoKH pahle se chaalaak to hu.aa
Muneer Niyazi
Ghazal
lafz kii zarb to hai saa.iqa-o-sa.ng se saKHt
dil bahut narm hai.n naa-gufta-o-be-baak na kah
Zia Jalandhari
Ghazal
vo us kaa haal-e-zabuu.n us pe KHanda-e-be-baak
hasii.n samaaj ke chehre pe ghaav jaisaa hai
Ghaus Mohammad Ghausi
Ghazal
ham dekhte hai.n aa.nkh me.n sahme hu.e aa.nsuu
ik chup hai kahii.n KHanda-e-be-baak se aage
Abrar Ahmad
Ghazal
duniyaa kii zabaano.n pe rahe KHauf ke taale
bas haq to mire lahja-e-be-baak se niklaa
Azm Shakri
Ghazal
sirf ik choT zaraa sii lagii aur baiTh gayaa
naaz karte the bahut is dil-e-be-baak pe ham
Ismail Raaz
Ghazal
haq-bayaanii kaa uThaayaa thaa jo zimma ham ne
is liye lahja-e-be-baak pahan kar pahu.nche
Nitin Nayab
Ghazal
shikasta jism alag chiiz hai magar tiraa zulm
kahaa.n mire dil-e-be-baak se ziyaada hai
Qamar Raza Shahzad
Ghazal
meraa chehra jaisaa thaa vaisaa dikhaayaa ai 'zamiir'
sab yaqiin aa.iina-e-be-baak par hai.n aaj bhii
Zameer Atraulvi
Ghazal
zaraa sii jur.at-e-be-baak se maahaul badlegaa
sukuut-e-shab tirii paazeb kii jhankaar tak pahu.nche
Narender Shahid
Ghazal
duniyaa hamaare vaaste ik raahato.n kaa ghar
sach puuchhiye to jur.at-e-be-baak se banii
Nafees Ahmad Sahar
Ghazal
dar-e-iKHlaas kii dahliiz pe KHam huu.n 'aabid'
ek jiine kaa saliiqa dil-e-be-baak me.n hai