SEARCH RESULTS
Showing search results for "dagmagaanaa"
Ghazal MATCHES FOR "dagmagaanaa"
Ghazal
Dagmagaanaa thaa idhar paa-e-talab kaa bismil
shor-e-labbaik idhar jaanib-e-manzil se uThaa
Bismil Saeedi
Ghazal
mai.n Dagmagaa rahaa huu.n bayaabaan-e-hosh me.n
mere abhii qariib raho mai.n nashe me.n huu.n
Saghar Siddiqui
Ghazal
Shakeel Badayuni
Ghazal
Fana bulandshahri
Ghazal
jahaa.n pahu.nch ke qadam Dagmagaa.e hai.n sab ke
usii maqaam se ab apnaa raasta hogaa
Aabid Adeeb
Ghazal
buland ho to khule tujh pe zor pastii kaa
ba.De-ba.Do.n ke qadam Dagmagaa.e hai.n kyaa kyaa
Yagana Changezi
Ghazal
'firaaq' raah-e-vafaa me.n subuk-ravii terii
ba.De-ba.Do.n ke qadam Dagmagaa.e hai.n kyaa kyaa
Firaq Gorakhpuri
Ghazal
usii nigaah kii narmii se Dagmagaa.e qadam
usii nigaah ke tevar sambhaal se bhii ga.e
Aziz Hamid Madni
Ghazal
shuruu-e-raah-e-mohabbat are ma.aaz-allaah
ye haal hai ki qadam Dagmagaa.e jaate hai.n
Jigar Moradabadi
Ghazal
na Dagmagaa.e kabhii ham vafaa ke raste me.n
charaaG ham ne jalaa.e havaa ke raste me.n
Habib Jalib
Ghazal
Fana bulandshahri
Ghazal
Dagmagaane na diye paa.nv ravaa-daarii ne
mai.n sharaabii thaa magar roz sa.nbhal kar niklaa
Haseeb Soz
Ghazal
Nazeer Akbarabadi
Ghazal
samajh me.n aa.e na aa.e ye kuchh hu.aa hai zaruur
yaqii.n jo tujh pe miraa Dagmagaayaa jaataa hai
Shariq Kaifi
Ghazal
KHatm par meraa safar hai Dagmagaate hai.n qadam
aage ba.Dh kar un ko meraa dil ba.Dhaanaa chaahiye
Nazeer Banarasi
Ghazal
rok letii hai tirii yaad sahaaraa ban kar
Dagmagaate hai.n agar mere qadam raat ga.e