SEARCH RESULTS
Showing search results for "diidanii"
Ghazal MATCHES FOR "diidanii"
Ghazal
diidanii hai mujhe siine se lagaanaa us kaa
apne shaano.n se ko.ii bojh utaare jaise
Irfan Siddiqi
Ghazal
hai falak baalaa-nashiin-e-faiz-e-KHam gar diidanii
'aajizii se zaahiran rutba ko.ii bartar nahii.n
Mirza Ghalib
Ghazal
khule jo aa.nkh kabhii diidanii ye manzar hai.n
samundaro.n ke kinaaro.n pe ret ke ghar hai.n
Shahryar
Ghazal
naadiida manzaro.n se taraashe hai.n KHvaab zaar
kab dar-KHur-e-nigah ko.ii manzar hai diidanii
Bilqis Zafirul Hasan
Ghazal
chehre pe jaise zaKHm hai naaKHuun kaa KHaraash
ab diidanii hu.ii hai.n mirii dast-kaariyaa.n
Meer Taqi Meer
Ghazal
diidanii thaa mauj-e-dariyaa kaa nashaat be-panaah
jalva-e-aab-e-ravaa.n pahle kabhii dekhaa na thaa
Ahmad Mushtaq
Ghazal
diidanii hai 'yaas' apne ranj o Gam kii tuGyaanii
jhuum jhuum kar kyaa kyaa ye ghaTaa barastii hai
Yagana Changezi
Ghazal
diidanii hai ab shikast-e-zabt kii be-chaargii
muskuraataa huu.n magar dil dard se labrez hai
Akbar Haideri Kashmiri
Ghazal
fasaad-e-KHalq bhii ha.ngaama diidanii thaa 'zafar'
phir ek baar vahii shoshaa chho.D Darnaa kyaa
Zafar Iqbal
Ghazal
agarche sahl hai.n par diidanii hai.n ham bhii 'miir'
udhar ko yaar ta.ammul se gar nigaah kare.n