SEARCH RESULTS
Showing search results for "dozaKH"
Ghazal MATCHES FOR "dozaKH"
Ghazal
aag dozaKH kii bhii ho jaa.egii paanii paanii
jab ye aasii araq-e-sharm se tar jaa.e.nge
Shaikh Ibrahim Zauq
Ghazal
ye ranj o aish hu.e hijr o vasl me.n ham ko
kahaa.n hai dozaKH o jannat kisii ko kyaa ma.aluum
Dagh Dehlvi
Ghazal
zabaana-zan thaa jigar-soz tishnagii kaa azaab
so jauf-e-siina me.n dozaKH u.nDel lii mai.n ne
Jaun Eliya
Ghazal
jalva zaar-e-aatish-e-dozaKH hamaaraa dil sahii
fitna-e-shor-e-qayaamat kis ke aab-o-gil me.n hai
Mirza Ghalib
Ghazal
milegii shaiKH ko jannat, hame.n dozaKH ataa hogaa
bas itnii baat hai jis ke liye mahshar bapaa hogaa
Hari Chand Akhtar
Ghazal
ye tabassum to hai chehro.n kii sajaaT ke liye
varna ehsaas vo dozaKH hai ki jalte rahiye
Meraj Faizabadi
Ghazal
usii ko kahte hai.n jannat usii ko dozaKH bhii
vo zindagii jo hasiino.n ke darmiyaa.n guzre
Jigar Moradabadi
Ghazal
KHauf-e-dozaKH ne hii iijaad kiyaa hai sajda
Dar ne insaan ko diivaana banaa rakkhaa hai
Abbas Qamar
Ghazal
hame.n bhii aatish-e-ulfat jalaa chukii 'akbar'
haraam ho ga.ii dozaKH kii naar ham par bhii
Akbar Allahabadi
Ghazal
ab luT gayaa hai kyaa rahaa dozaKH se ba.Dh ke hai
rashk-e-bahisht kahte the sab jaa-e-lucknow
Wajid Ali Shah Akhtar
Ghazal
Muztar Khairabadi
Ghazal
ai KHudaa ab tire firdaus pe meraa haq hai
tuu ne is daur ke dozaKH me.n jalaayaa hai mujhe