SEARCH RESULTS
Showing search results for "duzd"
Ghazal MATCHES FOR "duzd"
Ghazal
KHabar-daar haatho.n se jaane na paa.e.n
ye duzd-e-hinaa maal maare hu.e hai.n
Aagha Akbarabadi
Ghazal
KHuub hai terii himaayat paa ke luuTe naqd-e-dil
ai parii duzd-hinaa.ii maal maare haath me.n
Syed Yusuf Ali Khan Nazim
Ghazal
sab luuT liyaa ek nazar dekh ke mujh ko
ai duzd-e-nigah dil kaa churaanaa nahii.n achchhaa
Wajid Ali Shah Akhtar
Ghazal
ai falak rahne de uryaa.n hii pas-az-marg bhii tuu
so.nptaa kyaa hai kafan-duzd kaa asbaab mujhe
Haidar Ali Aatish
Ghazal
kam-maa.egii ne dil tujhe be-qadr kar diyaa
duzd-e-nigaah-e-naaz ke qaabil nahii.n rahaa
S A Mehdi
Ghazal
miltaa nahii.n pataa tire chhalle ke chor kaa
ai gul-badan ye shoKHii-e-duzd-e-hinaa na ho
Imdad Imam Asar
Ghazal
ِduzdii-e-dil kaa yaqii.n ho kis tarah
kis ne ai duzd-e-hinaa dekhaa tujhe
Munawar Khan Ghafil
Ghazal
dil miraa muTThii me.n rakhte ho tumhaare haath se
chhiin kar ik din use duzd-e-hinaa le jaa.egaa
Haidar Ali Aatish
Ghazal
bu.Dhaape me.n saabit hu.e duzd-e-mai ham
na aane ke qaabil na jaane ke qaabil
Riyaz Khairabadi
Ghazal
sone me.n nazzaara kar luu.n ruu-e-aalam-taab kaa
KHauf kyaa duzd-e-nigah ko hai shab-e-mahtaab kaa
Muneer Shikohabadi
Ghazal
ziinat-e-dast-e-hinaa.ii hai yahii duzd-e-hinaa
Gaib kaa ma.araza-e-vaqt-o-makaa.n me.n aanaa
Abdul Ahad Saaz
Ghazal
phirtaa hai udhar zulf me.n shaana to idhar dil
ye duzd na laayaa kabhuu KHaatir me.n asas ko
Mohammad Rafi Sauda
Ghazal
Meerza Abul Muzaffar Zafar
Ghazal
ko.ii us ke duzd-e-hinaa se ye kah de
miraa naqd-e-dil hai churaane ke qaabil
Asad Ali Khan Qalaq
Ghazal
kyaa vo mata'a jis kii na ho ko.ii ghaat me.n
Dartaa huu.n mai.n jo duzd pas-e-kaarvaa.n na ho
Shefta Mustafa Khan
Ghazal
ham naqd-e-dil jo siine me.n apne na paa.e.nge
duzd-e-nigaah-e-yaar ko chorii lagaa.e.nge
Asad Ali Khan Qalaq
Ghazal
yuu.n duud aah kaa mirii gumbad ba.ndhaa hai yaa.n
chhat jaise abr-e-tiira kii tahtussamaa ba.ndhe
Insha Allah Khan Insha
Ghazal
duzd-e-hinaa pe duzdii-e-jaa.n kaa hai ittihaam
KHuun-e-dil-o-jigar sar-e-teG-e-nazar daroG
Qalaq Merathi
Ghazal
dil kho gayaa hamaaraa kisii se milaa ke haath
ho dastaras to kaaTiye duzd-e-hinaa ke haath