SEARCH RESULTS
Showing search results for "fard"
Ghazal MATCHES FOR "fard"
Ghazal
girya-kunaa.n kii fard me.n apnaa nahii.n hai naam
ham girya-kun azal ke hai.n girya kiye baGair
Jaun Eliya
Ghazal
fard-e-amal siyaah kiye jaa rahaa huu.n mai.n
rahmat ko be-panaah kiye jaa rahaa huu.n mai.n
Jigar Moradabadi
Ghazal
meraa sar haazir hai lekin meraa munsif dekh le
kar rahaa hai merii fard-e-jurm ko tahriir kaun
Parveen Shakir
Ghazal
Ahmad Salman
Ghazal
fard kii nahii.n hai ye baat hai qabiile kii
gir ke phir sambhalne me.n der kuchh to lagtii hai
Amjad Islam Amjad
Ghazal
mai.n bach bhii jaa.uu.n to tanhaa.ii maar Daalegii
mire qabiile kaa har fard qatl-gaah me.n hai
Parveen Shakir
Ghazal
taaliif nusKHa-haa-e-vafaa kar rahaa thaa mai.n
majmuua-e-KHayaal abhii fard fard thaa
Mirza Ghalib
Ghazal
bikhar gayaa hai kuchh is tarah aadmii kaa vajuud
har ek fard ko.ii saaneha lage hai mujhe
Jan Nisar Akhtar
Ghazal
KHudaa kii nazmo.n kii kitaab saarii kaa.enaat hai
Gazal ke she'r kii tarah har ek fard fard hai
Bashir Badr
Ghazal
ye log merii fard-e-amal dekhte hai.n kyuu.n
mai.n ne 'faraaz' KHud ko payambar nahii.n kahaa
Ahmad Faraz
Ghazal
bahaane se use bas dekh aanaa pal do pal ko
ye fard-e-jurm hai aur aa.nkh inkaarii nahii.n hai
Parveen Shakir
Ghazal
kis ko sunaa.uu.n hasrat-e-iz.haar kaa gila
dil fard-e-jama-o-KHarch zabaa.n-haa-e-laal hai
Mirza Ghalib
Ghazal
kahii.n kahii.n ko.ii laala kahii.n kahii.n ko.ii daaG
mirii bayaaz kii suurat hai merii fard-e-amal
Ahmad Faraz
Ghazal
puurii bastii me.n bas ik shaKHs se nisbat mujh ko
mujh se munkir hai vo ik fard bhii aisaa vaisaa
Komal Joya
Ghazal
pursish hai bahut saKHt vahaa.n fard-e-amal kii
kuchh na.at ke ash.aar bhii diivaan me.n rakhnaa