aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "fard"
pahle bhii to guzre hai.ndaur naa-rasaa.ii ke ''be-riyaa'' KHudaa.ii kephir bhii ye samajhte ho hech aarzuu-mandiiye shab-e-zabaa.n-bandii hai rah-e-KHudaa-vandiitum magar ye kyaa jaanolab agar nahii.n hilte haath jaag uThte hai.nhaath jaag uThte hai.n raah kaa nishaa.n ban karnuur kii zabaa.n ban karhaath bol uThte hai.n sub.h kii azaa.n ban karraushnii se Darte horaushnii to tum bhii ho raushnii to ham bhii hai.nraushnii se Darte hoshahr kii fasiilo.n pardev kaa jo saaya thaa paak ho gayaa aaKHirraat kaa libaada bhiichaak ho gayaa aaKHir KHaak ho gayaa aaKHirizhdihaam-e-insaa.n se fard kii navaa aa.iizaat kii sadaa aa.iiraah-e-shauq me.n jaise raah-rau kaa KHuu.n lapkeik nayaa junuu.n lapkeaadmii chhalak uTTheaadmii ha.nse dekho shahr phir base dekhotum abhii se Darte ho?haa.n abhii to tum bhii hohaa.n abhii to ham bhii hai.ntum abhii se Darte ho
hu.aa KHema-zan kaarvaan-e-bahaariram ban gayaa daaman-e-koh-saargul o nargis o sosan o nastaranshahiid-e-azal laala-KHuunii.n kafanjahaa.n chhup gayaa parda-e-ra.ng me.nlahuu kii hai gardish rag-e-sang me.nfazaa niilii niilii havaa me.n suruurThaharte nahii.n aashiyaa.n me.n tuyuurvo juu-e-kohistaa.n uchaktii hu.iiaTaktii lachaktii saraktii hu.iiuchhaltii phisaltii sambhaltii hu.iiba.De pech khaa kar nikaltii hu.iiruke jab to sil chiir detii hai yepahaa.Do.n ke dil chiir detii hai yezaraa dekh ai saaqii-e-laala-faamsunaatii hai ye zindagii kaa payaampilaa de mujhe vo mai-e-parda-sozki aatii nahii.n fasl-e-gul roz rozvo mai jis se raushan zamiir-e-hayaatvo mai jis se hai masti-e-kaa.enaatvo mai jis me.n hai soz-o-saaz-e-azalvo mai jis se khultaa hai raaz-e-azaluThaa saaqiyaa parda is raaz sela.Daa de mamuule ko shahbaaz sezamaane ke andaaz badle ga.enayaa raag hai saaz badle ga.ehu.aa is tarah faash raaz-e-fara.ngki hairat me.n hai shiisha-baaz-e-fara.ngpuraanii siyaasat-garii KHvaar haizamii.n miir o sultaa.n se be-zaar haigayaa daur-e-sarmaaya-daarii gayaatamaashaa dikhaa kar madaarii gayaagiraa.n KHvaab chiinii sambhalne lagehimaala ke chashme ubalne lagedil-e-tuur-e-siinaa-o-faaraan do-niimtajallii kaa phir muntazir hai kaliimmusalmaa.n hai tauhiid me.n garam-joshmagar dil abhii tak hai zunnaar-poshtamaddun tasavvuf sharii.at-e-kalaambutaan-e-ajam ke pujaarii tamaamhaqiiqat KHuraafaat me.n kho ga.iiye ummat rivaayaat me.n kho ga.iilubhaataa hai dil ko kalaam-e-KHatiibmagar lazzat-e-shauq se be-nasiibbayaa.n is kaa mantiq se suljhaa hu.aaluGat ke bakhe.Do.n me.n uljhaa hu.aavo suufii ki thaa KHidmat-e-haq me.n mardmohabbat me.n yaktaa hamiiyat me.n fardajam ke KHayaalaat me.n kho gayaaye saalik maqaamaat me.n kho gayaabujhii ishq kii aag andher haimusalmaa.n nahii.n raakh kaa Dher haisharaab-e-kuhan phir pilaa saaqiyaavahii jaam gardish me.n laa saaqiyaamujhe ishq ke par lagaa kar u.Daamirii KHaak jugnuu banaa kar u.DaaKHirad ko Gulaamii se aazaad karjavaano.n ko piiro.n kaa ustaad karharii shaaKH-e-millat tire nam se hainafas is badan me.n tire dam se haita.Dapne pha.Dakne kii taufiiq dedil-e-murtazaa soz-e-siddiiq dejigar se vahii tiir phir paar kartamannaa ko siino.n me.n bedaar kartire aasmaano.n ke taaro.n kii KHairzamiino.n ke shab zinda-daaro.n kii KHairjavaano.n ko soz-e-jigar baKHsh demiraa ishq merii nazar baKHsh demirii naav girdaab se paar karye saabit hai to is ko sayyaar karbtaa mujh ko asraar-e-marg-o-hayaatki terii nigaaho.n me.n hai kaa.enaatmire diida-e-tar kii be-KHvaabiyaa.nmire dil kii poshiida betaabiyaa.nmire naala-e-niim-shab kaa niyaazmirii KHalvat o anjuman kaa gudaazuma.nge.n mirii aarzuu.e.n miriiummiide.n mirii justuju.e.n miriimirii fitrat aa.iina-e-rozgaarGazaalaan-e-afkaar kaa murG-zaarmiraa dil mirii razm-gaah-e-hayaatgumaano.n ke lashkar yaqii.n kaa sabaatyahii kuchh hai saaqii mataa-e-faqiirisii se faqiirii me.n huu.n mai.n amiirmire qaafile me.n luTaa de iseluTaa de Thikaane lagaa de isedamaa-dam ravaa.n hai yam-e-zindagiihar ik shai se paidaa ram-e-zindagiiisii se hu.ii hai badan kii numuudki sho'le me.n poshiida hai mauj-e-duudgiraa.n garche hai sohbat-e-aab-o-gilKHush aa.ii ise mehnat-e-aab-o-gilye saabit bhii hai aur sayyaar bhiianaasir ke phando.n se be-zaar bhiiye vahdat hai kasrat me.n har dam asiirmagar har kahii.n be-chugo.n be-naziirye aalam ye but-KHaana-e-shash-jihaatisii ne taraashaa hai ye somnaatpasand is ko takraar kii KHuu nahii.nki tuu mai.n nahii.n aur mai.n tuu nahii.nman o tuu se hai anjuman-aafrii.nmagar ain-e-mahfil me.n KHalvat-nashii.nchamak us kii bijlii me.n taare me.n haiye chaa.ndii me.n sone me.n paare me.n haiusii ke bayaabaa.n usii ke babuulusii ke hai.n kaa.nTe usii ke hai.n phuulkahii.n us kii taaqat se kohsaar chuurkahii.n us ke phande me.n jibra.iil o huurkahii.n jaza hai shaahiin siimaab ra.nglahuu se chakoro.n ke aaluuda changkabuutar kahii.n aashiyaane se duurpha.Daktaa hu.aa jaal me.n naa-subuurfareb-e-nazar hai sukuun o sabaatta.Daptaa hai har zarra-e-kaa.enaatThahartaa nahii.n kaarvaan-e-vajuudki har lahz hai taaza shaan-e-vajuudsamajhtaa hai tuu raaz hai zindagiifaqat zauq-e-parvaaz hai zindagiibahut us ne dekhe hai.n past o bulandsafar us ko manzil se ba.Dh kar pasandsafar zindagii ke liye barg o saazsafar hai haqiiqat hazar hai majaazulajh kar sulajhne me.n lazzat useta.Dapne pha.Dakne me.n raahat usehu.aa jab use saamnaa maut kaakaThin thaa ba.Daa thaamnaa maut kaautar kar jahaan-e-makaafaat me.nrahii zindagii maut kii ghaat me.nmazaaq-e-du.ii se banii zauj zaujuThii dasht o kohsaar se fauj faujgul is shaaKH se TuuTte bhii raheisii shaaKH se phuuTte bhii rahesamajhte hai.n naadaa.n use be-sabaatubhartaa hai miT miT ke naqsh-e-hayaatba.Dii tez jaulaa.n ba.Dii zuud-rasazal se abad tak ram-e-yak-nafszamaana ki zanjiir-e-ayyaam haidamo.n ke ulaT-pher kaa naam haiye mauj-e-nafs kyaa hai talvaar haiKHudii kyaa hai talvaar kii dhaar haiKHudii kyaa hai raaz-daruun-hayaatKHudii kyaa hai bedaari-e-kaa.enaatKHudii jalva badmast o KHalvat-pasandsamundar hai ik buu.nd paanii me.n banda.ndhere ujaale me.n hai taabnaakman o tuu me.n paidaa man o tuu se paakazal us ke piichhe abad saamnena had us ke piichhe na had saamnezamaane ke dariyaa me.n bahtii hu.iisitam us kii maujo.n ke sahtii hu.iitajassus kii raahe.n badaltii hu.iidamaa-dam nigaahe.n badaltii hu.iisubuk us ke haatho.n me.n sa.ng-e-giraa.npahaa.D us kii zarbo.n se reg-e-ravaa.nsafar us kaa anjaam o aaGaaz haiyahii us kii taqviim kaa raaz haikiran chaa.nd me.n hai sharar sang me.nye be-ra.ng hai Duub kar rang me.nise vaasta kyaa kam-o-besh senasheb o faraaz o pas-o-pesh seazal se hai ye kashmakash me.n asiirhu.ii KHaak-e-aadam me.n suurat-paziirKHudii kaa nasheman tire dil me.n haifalak jis tarah aa.nkh ke til me.n haiKHudii ke nigahbaa.n ko hai zahr-naabvo naa.n jis se jaatii rahe us kii aabvahii naa.n hai us ke liye arjumandrahe jis se duniyaa me.n gardan bulandKHudii faal-e-mahmuud se darguzarKHudii par nigah rakh ayaazii na karvahii sajda hai laa.iq-e-ehtimaamki ho jis se har sajda tujh par haraamye aalam ye ha.ngaama-e-ra.ng-o-sautye aalam ki hai zer-e-farmaan-e-mautye aalam ye but-KHaana-e-chashm-o-goshjahaa.n zindagii hai faqat KHurd o noshKHudii kii ye hai manzil-e-avvalii.nmusaafir ye teraa nasheman nahii.ntirii aag is KHaak-daa.n se nahii.njahaa.n tujh se hai tuu jahaa.n se nahii.nba.Dhe jaa ye koh-e-giraa.n to.D kartilism-e-zamaan-o-makaa.n to.D karKHudii sher-e-maulaa jahaa.n us kaa saidzamii.n us kii said aasmaa.n us kaa saidjahaa.n aur bhii hai.n abhii be-numuudki KHaalii nahii.n hai zamiir-e-vajuudhar ik muntazir terii yalGaar kaatirii shauKHi-e-fikr-o-kirdaar kaaye hai maqsad gardish-e-rozgaarki terii KHudii tujh pe ho aashkaartuu hai faatah-e-aalam-e-KHuub-o-zishttujhe kyaa bataa.uu.n tirii sarnavishthaqiiqat pe hai jaama-e-harf-e-ta.nghaqiiqat hai aa.iina-e-guftaar-e-za.ngfarozaa.n hai siine me.n sham-e-nafasmagar taab-e-guftaar rakhtii hai basagar yak-sar-e-muu-e-bartar paramfaroG-e-tajallii ba-sozad param
labrez hai sharaab-e-haqiiqat se jaam-e-hindsab falsafii hai.n KHitta-e-maGrib ke raam-e-hindye hindiyo.n kii fikr-e-falak-ras kaa hai asarrif.at me.n aasmaa.n se bhii uu.nchaa hai baam-e-hindis des me.n hu.e hai.n hazaaro.n malak-sarishtmash.huur jin ke dam se hai duniyaa me.n naam-e-hindhai raam ke vajuud pe hindostaa.n ko naazahl-e-nazar samajhte hai.n is ko imaam-e-hindejaaz is charaaG-e-hidaayat kaa hai yahiiraushan-tar-az-sahar hai zamaane me.n shaam-e-hindtalvaar kaa dhanii thaa shujaa.at me.n fard thaapaakiizgii me.n josh-e-mohabbat me.n fard thaa
riyaasat me.nmahaaraaniyo.n ke qisse gha.Dne parilm kii ba.Dii miltii haibill ke saada-kaaGaz parilm likh diyaa jaataa haitaaza daryaaft parhar fard kii muTThii garm hotii hai
nidaa-e-Gaibhar ik uulil-amr ko sadaa doki apnii fard-e-amal sambhaaleuThegaa jab jam-e-sarfaroshaa.npa.De.nge daar-o-rasan ke laaleko.ii na hogaa ki jo bachaa lejazaa sazaa sab yahii.n pe hogiiyahii.n azaab o savaab hogaayahii.n se uTThegaa shor-e-mahsharyahii.n pe roz-e-hisaab hogaa
kaise ik fard ke ho.nTo.n kii zaraa sii jumbishsard kar saktii thii be-laus vafaa.o.n ke charaaGluuT saktii thii damakte hu.e haatho.n kaa suhaagto.D saktii thii mai-e-ishq se labrez ayaaG
ham bhii hubb-e-vatan me.n hai.n go Garqham me.n aur un me.n hai magar ye farqham hai.n naam-e-vatan ke diivaanevo the ahl-e-vatan ke parvaanejis ne yuusuf kii daastaa.n hai suniijaantaa hogaa ruu.edaad us kiimisr me.n qaht jab pa.Daa aa karaur hu.ii qaum bhuuk se muztarkar diyaa vaqf un pe baitulmaallab tak aane diyaa na harf-e-savaalkhatiyaa.n aur koThe khol diyemuft saare zaKHiire tol diyeqaafile KHaalii haath aate theaur bharpuur yaa.n se jaate theyuu.n ga.e qaht ke vo saal guzarjaise bachcho.n kii bhuuk vaqt-e-sahar
vo vaqt kabhii to aa.egaa jab dil ke chaman lahraa.e.ngemar jaa.uu.n to kyaa marne se mire ye KHvaab nahii.n mar jaa.e.ngeye KHvaab hii merii daulat hai.n ye KHvaab tumhe.n de jaa.uu.ngaais dahr me.n jiine marne ke aadaab tumhe.n de jaa.uu.ngaamumkin hai ki ye duniyaa kii ravish pal bhar ko tumhaaraa saath na dekaa.nTo.n hii kaa tohfa nazr kare phuulo.n kii ko.ii sauGaat na demumkin hai tumhaare raste me.n har zulm-o-sitam diivaar banesiine me.n dahakte sho.ale ho.n har saa.ns ko.ii aazaar baneaise me.n na khul kar rah jaanaa ashko.n se na aa.nchal bhar lenaaGam aap ba.Dii ik taaqat hai ye taaqat bas me.n kar lenaaho azm to lau de uThtaa hai har zaKHm sulagte siine kaajo apnaa haq KHud chhiin sake miltaa hai use haq jiine kaalekin ye hamesha yaad rahe ik fard kii taaqat kuchh bhii nahii.njo bhii ho akele insaa.n se duniyaa kii baGaavat kuchh bhii nahii.ntanhaa jo kisii ko paa.e.nge taaqat ke shikanje jak.De.ngesau haath uThe.nge jab mil kar duniyaa kaa garebaa.n pak.De.ngeinsaan vahii hai taabinda us raaz se jis kaa siinaa haiauro.n ke liye to jiinaa hii KHud apne liye bhii jiinaa hai
suno ki shaayad ye nuur-e-saiqalhai us sahiife kaa harf-e-avvaljo har kas-o-naakas-e-zamii.n pardil-e-gadaayaan-e-ajma.ii.n parutar rahaa hai falak se ab kesuno ki is harf-e-lam-yazal kehamii.n tumhii.n bandagaan-e-be-bas'aliim bhii hai.n KHabiir bhii hai.nsuno ki ham be-zabaan-o-bekasbashiir bhii hai.n naziir bhii hai.nhar ik uulul-amr ko sadaa doki apnii fard-e-amal sambhaaleuThegaa jab jaam-e-sarfaroshaa.npa.De.nge daar-o-rasan ke laaleko.ii na hogaa ki jo bachaa lejazaa sazaa sab yahii.n pe hogiiyahii.n azaab-o-savaab hogaayahii.n pe roz-e-hisaab hogaa
kaleja phu.nk rahaa hai aur zabaa.n kahne se aarii haibataa.uu.n kyaa tumhe.n kyaa chiiz ye sarmaaya-daarii haiye vo aa.ndhii hai jis kii rau me.n muflis kaa nasheman haiye vo bijlii hai jis kii zad me.n har dahqaa.n kaa KHirman haiye apne haath me.n tahziib kaa faanuus letii haimagar mazduur ke tan se lahuu tak chuus letii haiye insaanii balaa KHud KHuun-e-insaanii kii gaahak haivabaa se ba.Dh ke mohlik maut se ba.Dh kar bhayaanak haina dekhe hai.n bure is ne na parkhe hai.n bhale is neshikanjo.n me.n jaka.D kar ghuu.nT Daale hai.n gale is nebalaa-e-be-amaa.n hai taur hii is ke niraale hai.nki is ne Gaiz me.n uj.De hu.e ghar phuu.nk Daale hai.nqayaamat is ke Gamze jaan-levaa hai.n sitam is kehamesha siina-e-muflis pe pa.Dte hai.n qadam is kekahii.n ye KHuu.n se fard-e-maal-o-zar tahriir kartii haikahii.n ye haDDiyaa.n chun kar mahal ta.amiir kartii haiGariibo.n kaa muqaddas KHuun pii pii kar bahaktii haimahal me.n naachtii hai raqs-gaaho.n me.n thiraktii haiba-zaahir chand fir.auno.n kaa daaman bhar diyaa is nemagar gul-baaG-e-aalam ko jahannam kar diyaa is nedarinde sar jhukaa dete hai.n lohaa maan kar is kaanazar saffaak-tar is kii nafas makruuh-tar is kaajidhar chaltii hai barbaadii ke saamaa.n saath chalte hai.nnahuusat ham-safar hotii hai shaitaa.n saath chalte hai.nye akasr luuT kar ma.asuum insaano.n ko raaho.n me.nKHudaa ke zamzame gaatii hai chhup kar KHaanqaaho.n me.nye Daa.in hai bharii godo.n se bachche chhiin letii haiye Gairat chhiin letii hai hamiyyat chhiin letii haiye insaano.n se insaano.n kii fitrat chhiin letii haiye aashob-e-halaakat fitna-e-iskandar-o-daaraazamii.n ke devtaa.o.n kii kaniiz-e-anjuman-aaraahamesha KHuun pii kar haDDiyo.n ke rath me.n chaltii haizamaana chiiKH uThtaa hai ye jab pahluu badaltii haigarajtii guu.njtii ye aaj bhii maidaa.n me.n aatii haimagar bad-mast hai har har qadam par la.Dkha.Daatii haimubaarak dosto labrez hai ab is kaa paimaanauThaa.o aa.ndhiyaa.n kamzor hai buniyaad-e-kaashaana
tum se bichha.Dte vaqt mai.n nesochaa thaa kis tarah jiyuu.ngaa!kis kis se chhup ke rah sakuu.ngaaaa.nsuu kahaa.n kahaa.n piyuu.ngaa!ghar me.n agar kasii ne puuchhaa!''kyaa baat hai udaas kyuu.n ho''Dar thaa mujhe ki ro pa.Duu.ngaa!lekin ye ittifaaq dekhomai.n ghar gayaa to mere ghar kaaek ek fard ro rahaa thaa!
ko.ii mujh ko daur-e-zamaan-o-makaa.n se nikalne kii suurat bataa doko.ii ye sujhaa do ki haasil hai kyaa hastii-e-raa.egaa.n seki Gairo.n kii tahziib kii ustuvaarii kii KHaatirabas ban rahaa hai hamaaraa lahuu momyaa.iimai.n us qaum kaa fard huu.n jis ke hisse me.n mehnat hii mehnat hai naan-e-shabiina nahii.n haiaur is par bhii ye qaum dil shaad hai shaukat-e-baastaa.n seaur ab bhii hai ummiid-e-fardaa kisii saahir-e-be-nishaa.n semirii jaa.n shab-o-roz kii is mashaqqat se ta.ng aa gayaa huu.nmai.n is KHisht-kobii se uktaa gayaa huu.nkahaa.n hai.n vo duniyaa kii taz.iin kii aarzuu.e.njinho.n ne tujhe mujh se vaabasta-tar kar diyaa thaatirii chhaatiyo.n kii juu-e-shiir kyuu.n zahr kaa ik samundar na ban jaa.ejise pii ke so jaa.e nannhii sii jaa.njo ik chhipkilii ban ke chimTii hu.ii hai tere siina-e-meharbaa.n sejo vaaqif nahii.n tere dard-e-nihaa.n seise bhii to zillat kii paabandagii ke liye aala-e-kaar ban.naa pa.Degaabahut hai ki ham apne aabaa kii aasuuda-koshii kii paadaash me.naaj be-dast-o-paa hai.nis aa.inda naslo.n kii zanjiir-e-paa ko to ham to.D Daale.nmagar ai mirii tiira raato.n kii saathiiye shahnaa.iyaa.n sun rahii hoye shaayad kisii ne masarrat kii pahlii kiran dekh paa.iinahii.n is dariiche ke baahar to jhaa.nkoKHudaa kaa janaaza liye jaa rahe hai.n farishteusii saahir-e-be-nishaa.n kaajo maGrib kaa aaqaa thaa mashriq kaa aaqaa nahii.n thaaye insaan kii bartarii ke na.e daur ke shaadyaane hai.n sun loyahii hai na.e daur kaa partav-e-avvalii.n bhiiuTho aur ham bhii zamaane kii taaza vilaadat ke is jashn me.nmil ke dhuume.n machaa.e.nshu.aa.o.n ke tuufaan me.n be-mahaabaa nahaa.e.n
tumhaarii aa.nkho.n kii muskuraahaT me.nmerii chaahat kii raushnii haiyuu.nhii shaguufo.n ke paas baiThii rahoshu.aa.o.n ko aariz-o-lab se khelne dohavaa ke haatho.n ko apne gesuu bikherne dobahaar kii saarii KHushbu.e.napne baazu.o.n me.n sameT lomere chashm-o-dil ko yaqiin dilaa.oki tum faqat KHvaab hii nahii.n hoguzarte baadal kaa ko.ii aks-e-ravaa.n nahii.n hotum ik haqiiqat ho mahz vahm-o-gumaa.n nahii.n homire qariib aa.o aur mirii zaat ko miTaa domujhe tum apne jamaal kii zau me.n jazb kar lovisaal me.n fard kii fanaa haivisaal me.n fard kii baqaa haivisaal me.n fard kii baqaa haibahaar kii diid aarzii haibahaar-e-tajriid daa.imii hai
fard fard mast haipa.ndrah august haijosh hai ubaal haira.ng hai gulaal haigalii galii hai.n raunaqe.najiib sii hai.n raunaqe.nham kabhii Gulaam thebhaartii Gulaam thezindagii kii shaam thiisaa.ns tak Gulaam thiifira.ngiyo.n ke jaur sebhaartii niDhaal thezulm jab bahut hu.aaapnii had se ba.Dh gayaabhaartii biphar ga.eham sabhii biphar ga.ejaan-o-maal taj diyaaghar ayaal taj diyaaek ho ga.e jo hamduur ho gayaa alamhurriyat milii hame.naafiyat milii hame.nfard fard mast haipa.ndrah august hai
naGma-dar-jaa.n raqs barpaa KHanda-bar-labdil tamannaa.o.n ke be-paayaa.n alaav ke qariibdil mire sahraa-navard-e-piir dilreg ke dil-shaad shahrii reg tuuaur reg hii terii talabreg kii nik.hat tire paikar me.n terii jaa.n me.n haireg sub.h-e-iid ke maanind zartaab-o-jaliilreg sadiyo.n kaa jamaaljashn-e-aadam par bichha.D kar milne vaalo.n kaa visaalshauq ke lamhaat ke maanind aazaad-o-aziimreg naGma-zanki zarre reg-zaaro.n kii vo paazeb-e-qadiimjis pe pa.D saktaa nahii.n dast-e-la.iimreg-e-sahraa zar-garii kii ek kii lahro.n se duurchashma-e-makr-o-riyaa shahro.n se duurreg shab-bedaar hai suntii hai har jaabir kii chaapreg shab-bedaar hai nigaraa.n hai maanind-e-naqiibdekhtii hai saaya-e-aamir kii chaapreg har ayyaar Gaarat-gar kii mautreg istibdaad ke tuGyaa.n ke shor-o-shar kii mautreg jab uThtii hai u.D jaatii hai har faateh kii nii.ndreg ke nezo.n se zaKHmii sab shahanshaaho.n ke KHvaabreg ai sahraa kii regmujh ko apne jaagte zarro.n ke KHvaabo.n kiina.ii ta.abiir dereg ke zarro.n ubhartii sub.h tumaa.o sahraa kii hado.n tak aa gayaa roz-e-tarabdil mire sahraa-navard-e-piir dilaa chuum reghai KHayaalo.n ke parii-zaado.n se bhii ma.asuum regreg-e-raqsaa.n maah-o-saal nuur tak raqsaa.n raheus kaa abresham mulaa.em narm-KHuu KHandaa.n rahedil mire sahraa-navard-e-piir dilye tamannaa.o.n kaa be-paayaa.n alaavraah gum kar duu.n kii mash.al is ke lab par aa.o aa.otere maazii ke KHazaf rezo.n se jaagii hai ye aagaag kii qurmuz zabaa.n par imbisaat-e-nau ke raagdil mire sahraa-navard-e-piir dilsargiraanii kii shab-e-rafta se jaagkuchh sharar aaGosh sarsar me.n hai.n gumaur kuchh ziina ba ziina sho.alo.n ke miinaar par cha.Dhte hu.eaur kuchh tah me.n alaav kii abhiimuztarib lekin muzabzab tifl-e-kam-sin kii tarahaag ziina aag ra.ngo.n kaa KHaziinaaag un lazzaat kaa sar-chashma haijis se letaa hai Gizaa ushshaaq ke dil kaa tapaakchob-e-KHushk anguur us kii mai hai aagsarsaraatii hai rago.n me.n iid ke din kii tarahaag kaahin yaad se utrii hu.ii sadiyo.n kii ye afsaana-KHvaa.naane vaale qarnahaa kii daastaane.n lab pe hai.ndil miraa sahraa-navard-e-piir dil sun kar javaa.naag aazaadii kaa dil-shaadii kaa naamaag paidaa.ish kaa afzaa.ish kaa naamaag ke phuulo.n me.n nasrii.n yaasman sumbul shafiiq-o-nastaranaag aaraa.ish kaa zebaa.ish kaa naamaag vo taqdiis dhul jaate hai.n jis se sab gunaahaag insaano.n kii pahlii saa.ns ke maanind ik aisaa karamumr kaa ik tuul bhii jis kaa nahii.n kaafii javaabye tamannaa.o.n kaa be-paayaa.n alaav gar na hois laq-o-daq me.n nikal aa.e.n kahii.n se bhe.Diyeis alaav ko sadaa raushan rakhoreg-e-sahraa ko bashaarat ho ki zinda hai alaavbhe.Diyo.n kii chaap tak aatii nahii.naag se sahraa kaa rishta hai qadiimaag se sahraa ke Te.Dhe re.ngne vaalegirah-aaluud zholiida daraKHtjaagte hai.n naGma-dar-jaa.n raqs barpaa KHanda-bar-labaur manaa lete hai.n tanhaa.ii me.n jashn-e-maahtaabun kii shaaKHe.n Gair-mara.ii tabl kii aavaaz par detii hai.n taalbiikH-o-bun se aane lagtii hai KHudaavandii jalaajil kii sadaaaag se sahraa kaa rishta hai qadiimrahravo.n sahraa-navardo.n ke liye hai rahnumaakaarvaano.n kaa sahaaraa bhii hai aagaur sahraa.o.n kii tanhaa.ii ko kam kartii hai aagaag ke chaaro.n taraf pashmiina-o-dastaar me.n lipTe hu.eafsaana-gojaise gird-e-chashm mizhgaa.n kaa hujuumun ke hairat-naak dilkash tajrabo.n sejab damak uThtii hai retzarra zarra bajne lagtaa hai misaal-e-saaz-e-jaa.ngosh-bar-aavaaz rahte hai.n daraKHtaur ha.ns dete hai.n apnii aarifaana be-niyaazii se kabhiiye tamannaa.o.n kaa be-paayaa.n alaav gar na horeg apnii KHalvat-e-be-nuur-o-KHud-bii.n me.n raheapnii yaktaa.ii kii tahsii.n me.n raheis alaav ko sadaa raushan rakhoye tamannaa.o.n kaa be-paayaa.n alaav gar na hoasia africa pahnaa.ii kaa naambe-kaar pahnaa.ii kaa naameurope aur america daaraa.ii kaa naamtakraar-e-daaraa.ii kaa naammeraa dil sahraa-navard-e-piir diljaag uThaa hai mashriq-o-maGrib kii aisii yak-diliike kaarvaano.n kaa nayaa ruuyaa liyeyak-dilii aisii ki hogii fahm-e-insaa.n se varaayak-dilii aisii ki ham sab kah uThe.nis qadar ujlat na karizhdihaam-e-gul na bankah uThe.n hamtuu Gam-e-kul to na thiiab lazzat-e-kul bhii na banroz-e-aasaa.ish kii bedardii na banyak-dilii ban aisaa sannaaTaa na banjis me.n taabistaa.n kii dopahro.n kiibe-haasil kasaalat ke sivaa kuchh bhii na hois jafaa-gar yak-dilii ke kaarvaa.n yuu.n aa.e.ngedast-e-jaaduu-gar se jaise phuuT nikle ho.n tilismishq-e-haasil-KHez se yaa zor-e-paidaa.ii se jaise naa-gahaa.nkhul ga.e ho.n mashriq-o-maGrib ke jismjism sadiyo.n ke aqiimkaarvaa.n farKHanda-pai aur un kaa baarkiisa kiisa taKHt-e-jam aur taaj-e-kaikuuza kuuza fard kii satvat kii maijaama jaama roz-o-shab mehnat kaa KHainaGma naGma hurriyat kii garm laisaaliko firoz-baKHto aane vaale qaafloshahr se lauToge tum to paa.ogeret ke sarhad pe jo ruuh-e-abad KHvaabiida thiijaag uThii hai shikva-haa-e-nai se voret kii tah me.n jo sharmiilii sahar ro.iida thiijaag uThii hai hurriyat kii lai se voitnii doshiiza thii itnii mard-e-naa-diida thii sub.hpuuchh sakte the na us kii umr hamdard se ha.nstii na thiizarro.n kii ra.anaa.ii pe bhii ha.nstii na thiiek mahjuubaana be-KHabarii me.n ha.ns detii thii sub.hab manaatii hai vo sahraa kaa jalaaljaise izz-o-jal ke paa.nv kii yahii mehraab hozer-e-mehraab aa ga.ii ho us ko bedaarii kii raatKHud janaab-e-izz-o-jal se jaise umiid-e-zafaafsaare naa-karda gunaah is ke mu.aafsub.h-e-sahraa shaad-baadai uruus-e-izz-o-jal farKHanda ro taabinda khotuu ik aise hujra-e-shab se nikal kar aa.ii haidast-e-qaatil ne bahaayaa thaa jahaa.n har sej parsai.nka.Do.n taaro.n kaa raKHshanda lahuu phuulo.n ke paassub.h-e-sahraa sar mire zaanuu pe rakh kar daastaa.nun tamannaa ke shahiido.n kii na kahun kii niima-ras uma.ngo.n aarzuu.o.n kii na kahjin se milne kaa ko.ii imkaa.n nahii.nshahd teraa jin ko nashsh-e-jaa.n nahii.naaj bhii kuchh duur is sahraa ke paardev kii diivaar ke niiche nasiimroz-o-shab chaltii hai mub.ham KHauf se sahmii hu.iijis tarah shahro.n kii raaho.n par yatiimnaGma-bar-lab taaki un kii jaa.n kaa sannaaTaa ho duuraaj bhii is reg ke zarro.n me.n hai.naise zarre aap hii apne Ganiimaaj bhii is aag ke sho.alo.n me.n hai.nvo sharar jo us kii tah me.n par-buriida rah ga.emisl-e-harf naa-shuniida rah ga.esub.h-e-sahraa ai uruus-e-izz-o-jalaa ki un kii daastaa.n dohraa.e.n hamun kii izzat un kii azmat gaa.e.n hamsub.h ret aur aag ham sab kaa jalaalyak-dilii ke kaarvaa.n un kaa jamaalaa.ois tahliil ke halqe me.n ham mil jaa.e.naa.oshaad-baaG apnii tamannaa.o.n kaa be-paayaa.n alaav
itne ba.De nizaam me.n sirf ik merii hii nekii se kyaa hotaa haimai.n to is se ziyaada kar hii kyaa saktaa huu.nmez par apnii saarii duniyaakaaGaz aur qalam aur TuuTii phuuTii nazme.nsaarii chiize.n ba.De qariine se rakh dii hai.ndil me.n bharii hu.ii hai.n itnii achchhii achchhii baate.nin baato.n kaa dhyaan aataa hai to ye saa.ns ba.Dii hii besh-bahaa lagtii haimujh ko bhii to kaisii kaisii baato.n se raahat miltii haimujh ko is raahat me.n saadiq paa karsaare jhuuT mirii tasdiiq ko aa jaate hai.nek agar mai.n sachchaa hotaamerii is duniyaa me.n jitne qariine saje hu.e hai.nun kii jagah be-tartiibii se pa.De hu.e kuchh Tuk.De hotemere jism ke Tuk.De kaale jhuuT ke is chalte aare ke niiche
aisii quvvat jo sarf nahii.n hotii haiaziyyat ban jaatii haimere dil me.n kitnii mohabbat thiijis ko zamaane kii be-mehrii aur sard tabii.at neiz.haar me.n aane na diyaaaaKHir mai.n ne saaraa dard sameTaaaur terii aa.nkho.n par vaar diyaaduniyaa mere liye terii suurat me.npaimaana husn-o-KHair baniiyuu.n to mohabbat fard se fard ko hotii hailekin tujh se merii mohabbatvo nuqta hai jis ke chaaro.n tarafaafaaq kii gardish hotii hai
ham to shaa.ir hai.n ham sach nahii.n boltejaan-e-jaa.n sach pe kyo.n itnaa israar haisach kii azmat se kab ham ko inkaar haiham bhii shaa.ir hai.n aaKHir usii qaum kejis kaa har fard bikne pe tayyaar haiham hai.n lafzo.n ke taajir ye baazaar haisach to ye hai guzarte hu.e vaqt sefaa.eda jo uThaa le vo fankaar haiham na suqraat hai.n ham na mansuur hai.nham se sach kii tavaqqo.a hii be-kaar haitez talvaar sii vaqt kii dhaar haiis liye jaan-e-jaa.n apnii tahriir seKHauf-e-ta.aziir sesachche motii kabhii ham nahii.n rolteham to shaa.ir hai.n ham sach nahii.n bolte
kyaa tum se har fard nahii.n haitumhe.n zaraa bhii dard nahii.n hai
muflisii thii to us me.n bhii ik shaan thiikuchh na thaa kuchh na hone pe bhii aan thiichoT khaatii ga.ii choT kartii ga.iizindagii kis qadar murda maidaan thiijo ba-zaahir shikasta saa ik saaz thaavo karo.Do.n dukhe dil kii aavaaz thaaraah me.n girte pa.Dte sambhalte hu.esaamraajii ke tevar badalte hu.eaa ga.e zindagii ke na.e mo.D parmaut ke raaste se Tahalte hu.eban ke baadal uThe desh par chhaa ga.eprem-ras suukhe kheto.n pe barsaa ga.eab vo jantaa kii sampat hai dhanpat nahii.nsirf do-chaar ke ghar kii daulat nahii.nlaakho.n dil ek ho.n jis me.n vo prem haido dilo.n kii mohabbat mohabbat nahii.napne sandesh se sab ko chau.nkaa diyaa'prem' ne prem kaa arth samjhaa diyaafard thaa fard se kaarvaa.n ban gayaaek thaa ek se ik jahaa.n ban gayaaai banaras tiraa ek musht-e-GubaaruTh ke me.amaar-e-hindostaa.n ban gayaamarne vaale ke jiine kaa andaaz dekhdekh kaashii kii miTTii kaa e.ajaaz dekh
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books