SEARCH RESULTS
Showing search results for "fuqdaan"
Ghazal MATCHES FOR "fuqdaan"
Ghazal
jis samt bhii jaa.oge tumhe.n pyaar milegaa
nafrat kaa mire shahr me.n fuqdaan bahut hai
Qamar Rais Bahraichi
Ghazal
kahtaa hai aur hii kuchh fuqdaan-e-aadamiyyat
vaise to hai ye duniyaa maamuur aadmii se
Mubarak Mungeri
Ghazal
baap se bachche ai 'mohsin' munharif hone lage
tarbiyat aur ilm ke fuqdaan kaa anjaam hai
Daood Mohsin
Ghazal
is jism ko tavajjoh kaa fuqdaan le gayaa
tum ne chhu.aa nahii.n hai to mismaar ho ga.e
Hasan Zaheer Raja
Ghazal
ka.ii imaarato.n ko apnaa ghar samajh ke jiyaa
mire makaan me.n fuqdaan raushnii kaa thaa
Aftab Shamsi
Ghazal
aqdaar kaa fuqdaan havasnaakii-o-vahshat
sab parde haTaa rakkhe hai.n ab sharm-o-hayaa ne
Mahendra Partap Chand
Ghazal
Syed Ahmad Sahar
Ghazal
Ashraf Yaqubi
Ghazal
ko.ii rishto.n kaa taqaddus hai na hurmat kaa KHayaal
baahamii pyaar kaa fuqdaan ye ghar kaisaa hai
Syed Ahmad Sahar
Ghazal
Ushba Tabeer
Ghazal
is 'ahd ke bachcho.n me.n hai tahziib kaa fuqdaan
mahfil me.n buzurgo.n kii ri'aayat nahii.n karte
Asrar Danish
Ghazal
ik tavaazun thaa mire paas bahut aa.ine the
aur patthar kaa bhii fuqdaan nahii.n hotaa thaa
Miqdad Ahsan
Ghazal
ye ilm kii ifraatii hai yaa aql kaa fuqdaan
bachcho.n ke savaalaat se ab Darne lagaa huu.n
Zaki Mahfooz
Ghazal
iimaan kaa fuqdaan to pahle kii tarah thaa
ik naa'ra-e-takbiir se pur-josh hu.aa mai.n
Nomaan Shauque
Ghazal
'ishq se 'aql kaa fuqdaan KHariidaa ham ne
aur vo bhii 'alal-ai'laan KHariidaa ham ne
Ajmal Siraj
Ghazal
ab libaaso.n kii numaa.ish ho rahii hai har taraf
aadmii kii zaat me.n fuqdaan hai kirdaar kaa