SEARCH RESULTS
Showing search results for "galo.n"
Ghazal MATCHES FOR "galo.n"
Ghazal
aur kyaa is se ziyaada ko.ii narmii bartuu.n
dil ke zaKHmo.n ko chhu.aa hai tire gaalo.n kii tarah
Jan Nisar Akhtar
Ghazal
raat terii yaado.n ne dil ko is tarah chhe.Daa
jaise ko.ii chuTkii le narm narm gaalo.n me.n
Bashir Badr
Ghazal
mai.n aag thaa phuulo.n me.n tabdiil hu.aa kaise
bachcho.n kii tarah chuumaa us ne mire gaalo.n ko
Bashir Badr
Ghazal
gore gaalo.n se na sarkaa.o siyah-zulfo.n ko
KHauf hai mujh ko na ho jaa.e sahar aaj kii raat
Nasim Maysori
Ghazal
ajiib husn hai un surKH surKH gaalo.n me.n
mai-e-do-aatisha bhar dii hai do piyaalo.n me.n
Jaleel Manikpuri
Ghazal
kis jhuTpuTe ke rang ujaalo.n me.n aa ga.e
Tuk.De shafaq ke dhuup se gaalo.n me.n aa ga.e
Ahmad Mushtaq
Ghazal
Sandeep Thakur
Ghazal
vo jis kii ek Thokar se hamaarii KHaak u.Dtii hai
usii ke paas gaalo.n ke liye Gaaza nahii.n hotaa
Muzdam Khan
Ghazal
us ke gaalo.n par ka.ii dast-e-hinaa.ii sabt hai.n
ishq kaa nashsha thaa aaKHir maar khaane se gayaa
Khalid Irfan
Ghazal
bahe raqiib ke aa.nsuu bhii mere gaalo.n par
ye saaneha bhii mohabbat me.n pesh aayaa hai
Shariq Kaifi
Ghazal
Tiilo.n ko saath le ke jo u.Dtii rahii havaa
sahraa kaa rang barf ke gaalo.n me.n aa.egaa
Anjum Khaleeq
Ghazal
Rind Lakhnavi
Ghazal
Wamiq Jaunpuri
Ghazal
aariz pe zulf-e-pur-shikan ek is taraf ek us taraf
hai.n aaj do suuraj-gahan ek is taraf ek us taraf
Ahmad Husain Mail
Ghazal
phuulo.n kaa rang zard hai gaalo.n ke saamne
sumbul me.n bal nahii.n tire baalo.n ke saamne
Muneer Shikohabadi
Ghazal
mujhe yaqiin hai tere hii surKH gaalo.n ne
dhanak ko shoKH saa ye rang de diyaa hogaa
Ajay Sahaab
Ghazal
tuu nigaaho.n me.n basaa letii hame.n to ham bhii
ashk ban kar tire gaalo.n pe lu.Dhakte jaanaa.n
Khan Hasnain Aqib
Ghazal
khoyaa hai tuu kin KHayaalo.n me.n raqiib
in siyah baalo.n yaa gaalo.n me.n raqiib