SEARCH RESULTS
Showing search results for "gumnaam"
Ghazal MATCHES FOR "gumnaam"
Ghazal
sham.a jis aag me.n jaltii hai numaa.ish ke liye
ham usii aag me.n gumnaam se jal jaate hai.n
Qateel Shifai
Ghazal
kitnaa achchhaa thaa ki ham bhii jiyaa karte the 'faraaz'
Gair-maaruuf se gumnaam se pahle pahle
Ahmad Faraz
Ghazal
jab zulf kii kaalak me.n ghul jaa.e ko.ii raahii
badnaam sahii lekin gumnaam nahii.n hotaa
Meena Kumari Naz
Ghazal
taariiKH me.n mahal bhii hai haakim bhii taKHt bhii
gumnaam jo hu.e hai.n vo lashkar talaash kar
Nida Fazli
Ghazal
mujh gumnaam se puuchhte hai.n farhaad o majnuu.n
ishq me.n kitnaa naam kamaayaa jaa saktaa hai
Abbas Tabish
Ghazal
rah-e-talab me.n jo gumnaam mar ga.e 'naasir'
mataa-e-dard unhii saathiyo.n ke naam kare.n
Nasir Kazmi
Ghazal
yaa shab kii saltanat me.n din kaa safiir aayaa
Gurbat me.n aa ke chamkaa gumnaam thaa vatan me.n
Allama Iqbal
Ghazal
Shaikh Ibrahim Zauq
Ghazal
Zubair Rizvi
Ghazal
bhejtaa rahtaa hai gum-naam KHato.n me.n kuchh phuul
is qadar kis ko mohabbat hai mirii zaat ke saath
Aitbar Sajid
Ghazal
Ibn۔e۔Insha
Ghazal
mujhe jo Dhuu.nDhnaa chaahe vo Dhuu.nDh le 'ejaaz'
ki ab mai.n kuucha-e-gum-naam chho.D aayaa huu.n
Ejaz Rahmani
Ghazal
kab se patthar kii chaTTaano.n me.n huu.n gumnaam o asiir
devtaa.o.n kii tarah ko.ii jagaa de mujh ko
Ameer Qazalbash
Ghazal
shahro.n me.n vo ghuTan hai is daur me.n ki insaa.n
gumnaam ja.ngalo.n kii purvaa.ii chaahtaa hai
Qateel Shifai
Ghazal
Shakeel Badayuni
Ghazal
KHushk kho.e hu.e gumnaam jaziire kii tarah
dard ke kaale samundar se ubhaaraa jaa.uu.n
Adil Mansuri
Ghazal
kisii bhii samt nikluu.n meraa piichhaa roz hotaa hai
ta.aaqub me.n ko.ii gumnaam saaya roz hotaa hai