SEARCH RESULTS
Showing search results for "gunaah-o-shirk"
Ghazal MATCHES FOR "gunaah-o-shirk"
Ghazal
zabaan mu.nh me.n hai taar-e-gunah kii suurat
tumhaaraa hukm bajaa hai kalaam mat karnaa
Faza Ibn e Faizi
Ghazal
husn vaalo.n kii KHudaa.ii hai KHudaa.ii barham
kis ko rahm aa.e mohabbat ke gunah-gaaro.n par
Aal-e-Raza Raza
Ghazal
vo bosa dete nahii.n gore gore gaalo.n kaa
tumhe.n gavaah ham ai mahr-o-maah karte hai.n
Parveen Umm-e-Mushtaq
Ghazal
gunaah-e-jur.at-e-tadbiir kar rahaa huu.n mai.n
ye kis qimaash kii taqsiir kar rahaa huu.n mai.n
Abdul Hamid Adam
Ghazal
kiyaa kabhii na sivaa tere Gair ko sajda
KHaraab-e-shirk na kii rasm-e-bandagii mai.n ne
Afqar Mohani
Ghazal
shauq-e-gunaah-o-‘azm-e-baGaavat nahii.n rahaa
ye kam sazaa nahii.n hai ki ko.ii bhii sazaa nahii.n
Bashir Badr
Ghazal
hamaare hisse kii mai kaam aa.e pyaaso.n ke
ze-raah-e-KHair gunaah-e-shikast-e-jaam kiyaa
Khumar Barabankavi
Ghazal
ibaadato.n ke maze KHaas log hii luuTe.n
rivaaj-e-shirk-e-mohabbat jahaa.n me.n aam kare.n
Ramz Azimabadi
Ghazal
kufr-o-shirk-o-nifaaq se bachnaa
ye musalmaan kii nishaanii hai
Abu Mohammad Syed Husain Saifi
Ghazal
Mudassir ishtiyaaq
Ghazal
gunaah-e-zinda-dilii kahiye yaa dil-aazaarii
kisii pe ha.ns liye itnaa ki phir ha.nsaa na gayaa
Yagana Changezi
Ghazal
gunaah-e-rasm-kushii ham pe kyo.n na ho saabit
subuut naach rahe hai.n sabaat raqs me.n hai