SEARCH RESULTS
Showing search results for "guzarne"
Ghazal MATCHES FOR "guzarne"
Ghazal
har ajnabii hame.n mahram dikhaa.ii detaa hai
jo ab bhii terii galii se guzarne lagte hai.n
Faiz Ahmad Faiz
Ghazal
vo log mere bahut pyaar karne vaale the
guzar ga.e hai.n jo mausam guzarne vaale the
Jamal Ehsani
Ghazal
guzarne ko to hazaaro.n hii qaafile guzre
zamii.n pe naqsh-e-qadam bas kisii kisii kaa rahaa
Kaifi Azmi
Ghazal
aise naadaa.n bhii na the jaa.n se guzarne vaale
naaseho pand-garo raahguzar to dekho
Faiz Ahmad Faiz
Ghazal
jis naam se tuu ne mujhe bachpan se pukaaraa
ik 'umr guzarne pe bhii vo naam na bhuuluu.n
Kishwar Naheed
Ghazal
ba-zaahir ek hii shab hai firaaq-e-yaar magar
ko.ii guzaarne baiThe to umr saarii lage
Ahmad Faraz
Ghazal
ho ga.ii duur an-ginat viiraa.n guzargaaho.n kii koft
ek bastii se guzarne me.n vo aasaanii hu.ii
Jamal Ehsani
Ghazal
junuu.n se guzarne ko jii chaahtaa hai
ha.nsii zabt karne ko jii chaahtaa hai
Shakeel Badayuni
Ghazal
ai dard-e-ishq tujh se mukarne lagaa huu.n mai.n
mujh ko sambhaal had se guzarne lagaa huu.n mai.n
Jan Nisar Akhtar
Ghazal
jis raah par pa.De the tire paa.nv ke nishaa.n
is raah se kisii ko guzarne nahii.n diyaa
Adeem Hashmi
Ghazal
bhare makaa.n kaa bhii apnaa nasha hai kyaa jaane
sharaab-KHaane me.n raate.n guzaarne vaalaa
Waseem Barelvi
Ghazal
ai ziist idhar dekh ki ham ne tirii KHaatir
vo din bhii guzaare jo guzarne ke nahii.n the
Zakariya Shaz
Ghazal
vo jis ke KHauf se sahraa sidhaare log saare
guzarne ko hai tuufaa.n kaa vo relaa mai.n akelaa
Mohsin Naqvi
Ghazal
thii kabhii raah jo ham-raah guzarne vaalii
ab hazar hotaa hai us raah se aate jaate
Naseer Turabi
Ghazal
daava-e-ishq-o-vafaa par mujh ko marnaa aa gayaa
kah guzarne kii jagah ab kar guzarnaa aa gayaa
Nooh Narvi
Ghazal
zaraa sii der me.n zanjiir TuuT jaa.egii
junuun apnii hado.n se guzarne vaalaa hai