SEARCH RESULTS
Showing search results for "ikhlaas"
Ghazal MATCHES FOR "ikhlaas"
Ghazal
tum takalluf ko bhii iKHlaas samajhte ho 'faraaz'
dost hotaa nahii.n har haath milaane vaalaa
Ahmad Faraz
Ghazal
jab mai.n ne us sanam se kahaa kyaa sabab hai jaan
iKHlaas ham se kam hu.aa aur pyaar ghaT gayaa
Nazeer Akbarabadi
Ghazal
iKHlaas dil se chaahiye sajda namaaz me.n
be-faa.eda hai varna jo yuu.n vaqt kho.iye
Meer Taqi Meer
Ghazal
naapaid hu.aa jaataa hai iKHlaas yahaa.n par
sardaar munaafiq hai sar-e-daar munaafiq
Danish Aziz
Ghazal
log us shahr me.n kyaa jaane ho.n kaise kaise
meraa lahja mire iKHlaas kaa jaaduu le jaa
Azhar Inayati
Ghazal
Te.Dhe na ho ham se rakho iKHlaas to siidhaa
tum pyaar se rukte ho to lo pyaar bhii chho.Daa
Bahadur Shah Zafar
Ghazal
rashk kahtaa hai ki us kaa Gair se iKHlaas haif
aql kahtii hai ki vo be-mehr kis kaa aashnaa
Mirza Ghalib
Ghazal
Aadil Rahi
Ghazal
'ravish' ye saadgi-e-ishq kaa taqaazaa hai
kamaal-e-hosh ko iKHlaas kaa zavaal kahuu.n
Ravish Siddiqi
Ghazal
vahii iKHlaas-o-muravvat kii puraanii tohmat
dosto ko.ii to ilzaam nayaa de jaa.o
Anwar Masood
Ghazal
aatii hai nazar us me.n iKHlaas kii har suurat
aa.iina hai aa.iina insaan mohabbat kaa
Qadr Oraizi
Ghazal
tere iKHlaas ke afsuu.n tire va.ado.n ke tilism
TuuT jaate hai.n to kuchh aur mazaa dete hai.n
Qabil Ajmeri
Ghazal
iKHlaas kaa muzaahira karne jo aa.e the
'az.har' tamaam zehn me.n kaa.nTe chubho ga.e
Azhar Inayati
Ghazal
Qateel Shifai
Ghazal
miraa iKHlaas bhii ik vaj.h-e-dil-aazaarii hai
banda-parvar mujhe ehsaas-e-gunahgaarii hai
Abdul Hamid Adam
Ghazal
Zaheer Dehlvi
Ghazal
Seema Naqvi
Ghazal
Jawed Manzar
Ghazal
iKHlaas me.n kataa hai tumhe.n 'aabruu' abhii
aa.e na tum shitaab to tum sii.n la.De.nge ham