SEARCH RESULTS
Showing search results for "jagah"
Ghazal MATCHES FOR "jagah"
Ghazal
Hasrat Mohani
Ghazal
us kii marzii vo jise paas biThaa le apne
is pe kyaa la.Dnaa fulaa.n merii jagah baiTh gayaa
Tahzeeb Hafi
Ghazal
mil hii jaa.egaa kabhii dil ko yaqii.n rahtaa hai
vo isii shahr kii galiyo.n me.n kahii.n rahtaa hai
Ahmad Mushtaq
Ghazal
in hasrato.n se kah do kahii.n aur jaa base.n
itnii jagah kahaa.n hai dil-e-daaG-daar me.n
Bahadur Shah Zafar
Ghazal
ham se durvesho.n ke ghar aa.o to yaaro.n kii tarah
har jagah KHas-KHaana o barfaab mat dekhaa karo
Ahmad Faraz
Ghazal
jab tujhe yaad kar liyaa sub.h mahak mahak uThii
jab tiraa Gam jagaa liyaa raat machal machal ga.ii
Faiz Ahmad Faiz
Ghazal
Jawad Sheikh
Ghazal
rahiye ab aisii jagah chal kar jahaa.n ko.ii na ho
ham-suKHan ko.ii na ho aur ham-zabaa.n ko.ii na ho
Mirza Ghalib
Ghazal
mai.n suKHan me.n huu.n us jagah ki jahaa.n
saa.ns lenaa bhii shaa.irii hai mujhe
Tahzeeb Hafi
Ghazal
be-sahaaraa thaa bahut pyaar ko.ii puuchhtaa kyaa
tuu ne kaa.ndhe pe jagah dii hai to sar lagtaa hai
Waseem Barelvi
Ghazal
de KHudaa aur jagah siina o pahluu ke sivaa
ki bure vaqt me.n ho jaa.e Thikaanaa dil kaa
Dagh Dehlvi
Ghazal
du.aa bahaar kii maa.ngii to itne phuul khile
kahii.n jagah na rahii mere aashiyaane ko
Qamar Jalalvi
Ghazal
phisle jo us jagah to lu.Dhakte chale ga.e
ham ko pata nahii.n thaa ki itnii Dhalaan hai
Dushyant Kumar
Ghazal
ye kyaa jagah hai dosto ye kaun saa dayaar hai
had-e-nigaah tak jahaa.n Gubaar hii Gubaar hai