SEARCH RESULTS
Showing search results for "kaar-e-KHair"
Ghazal MATCHES FOR "kaar-e-KHair"
Ghazal
karnaa hai kaar-e-KHair to phir sar na dekhnaa
barse.n jo terii zaat pe patthar na dekhnaa
Vishma Khan Vishma
Ghazal
ye kaar-e-KHair hai is ko na kaar-e-bad samho
mujhe tabaah karo aur ise madad samho
Abid Malik
Ghazal
kaar-e-KHair itnaa to ai laGzish-e-paa ho jaataa
paa.e saaqii pe hii ik sajda adaa ho jaataa
Ejaz Warsi
Ghazal
ye kaar-gaah-e-KHair bhii hai bazm-e-shar bhii hai
duniyaa qayaam-gaah bhii hai rahguzar bhii hai
Nihal Rizvi Lucknowi
Ghazal
had jis jagah ho KHatm hariifaan-e-'KHair' kii
vallaah shuruu hote hai.n aksar vahaa.n se ham
Raoof Khair
Ghazal
daava-e-KHush-suKHanii 'KHair' abhii zeb nahii.n
chand Gazlo.n hii pe baGle.n na bajaane lag jaa.e.n
Raoof Khair
Ghazal
kuchh aur chaahiye taskiin-e-jism-o-jaa.n ke liye
hamaaraa kaam to diidaar par nahii.n chaltaa
Raoof Khair
Ghazal
hamaaraa sher samajhne kii kuchh to koshish kar
ye kyaa navishta-e-diivaar me.n nahii.n aataa
Raoof Khair
Ghazal
Raoof Khair
Ghazal
kuchh to hadiis 'KHair' samajhne ke kar jatan
har-chand be-maza mirii bolii hii kyuu.n na ho
Raoof Khair
Ghazal
kahaa.n ye 'KHair' kahaa.n haar jiit kaa KHadsha
ki jism o jaan kii baazii se jii nahii.n bhartaa
Raoof Khair
Ghazal
KHaraab-haal ye be-'KHair' o be-adab ho kar
bhaTak na jaa.e kahii.n fikr hai sa.Dak kii mujhe
Raoof Khair
Ghazal
ham to aa.e hai.n yahaa.n miTne miTaane ke liye
is zamiin-e-karbalaa se kis kii KHaatir bhaagte
Raoof Khair
Ghazal
ab itnaa naaz samundar-mizaajiyo.n pe na kar
ki apne aap me.n ik jazr-o-mad to ham bhii hai.n
Raoof Khair
Ghazal
suraj hai ki bas nok pe suu.ii kii kha.Daa hai
ab fursat-e-kam-kam bhii mire bhaa.ii kahaa.n hai
Raoof Khair
Ghazal
fasaad-e-shahr na thaa be-sabab ki rabt us kaa
ma’aashiyaat se thaa yaa siyaasiyaat se thaa
Raoof Khair
Ghazal
dasht-e-zulmat se ujaalo.n kaa tajassus le kar
dosto aa.o ba-sad-shauq miraa ghar dekho