SEARCH RESULTS
Showing search results for "kadduu"
Ghazal MATCHES FOR "kadduu"
Ghazal
vo sarv-qad hai magar be-gul-e-muraad nahii.n
ki us shajar pe shaguufe samar ke dekhte hai.n
Ahmad Faraz
Ghazal
viiraa.n hai mai-kada KHum-o-saaGar udaas hai.n
tum kyaa ga.e ki ruuTh ga.e din bahaar ke
Faiz Ahmad Faiz
Ghazal
sanam-kada hai jahaa.n aur mard-e-haq hai KHaliil
ye nukta vo hai ki poshiida laa-ilaah me.n hai
Allama Iqbal
Ghazal
gadaa-e-mai-kada kii shaan-e-be-niyaazii dekh
pahu.nch ke chashma-e-haivaa.n pe to.Dtaa hai subuu
Allama Iqbal
Ghazal
kyuu.nke bin kashtii-e-mai kiijiye sair-e-dariyaa
mai-kasho zer-e-baGal ab to kaduu TuuT ga.e
Shaikh Ibrahim Zauq
Ghazal
kabhii to de gul-e-dastaar-e-shaiKH buu-e-sharaab
qabaa kii bel me.n yaarab lage kaduu-e-sharaab
Muneer Shikohabadi
Ghazal
saaqii se kah do sabza-e-tar me.n bahaa sharaab
Taa.nke kaduu kii bel qabaa-e-nabaat me.n
Muneer Shikohabadi
Ghazal
apnaa kaasa bhii tahii apnaa kaduu bhii KHaalii
daaG-e-diidaar-o-havas dil pe lagaa.e nahii.n hai.n
Asad Badayuni
Ghazal
kaa.npte haatho.n se daamaan-e-taqaddus na chhuTe
mai-kade jaa.uu.n to ik zarf-e-vazuu saath rahe
Bedil Azimabadi
Ghazal
palaa hai paanii se par sar cha.Dhaa hai paanii ke
nadii ke saat hai kam-zarfii se kaduu gustaaKH
Wali Uzlat
Ghazal
havas ko ishq bataa kar tahii-kaduu yaaraa.n
mai-e-ayaaG se chhalkaa ga.e lahuu yaaraa.n
Jafar Raza
Ghazal
mohtasib ne to KHaraabaat me.n kii KHuu.n-rezii
par sar-e-ri.nd pe shab mai kaa kaduu TuuT gayaa
Mirza Ali Lutf
Ghazal
bas isii had tak jahaan-e-rang-o-buu achchhaa lagaa
ik javaan-e-sarv-qad ik KHuub-ruu achchhaa lagaa
Rafeeq Jabir
Ghazal
us ke dil par bhii ka.Dii ishq me.n guzrii hogii
naam jis ne bhii mohabbat kaa sazaa rakkhaa hai
Hakeem Nasir
Ghazal
dil phir tavaaf-e-kuu-e-malaamat ko jaa.e hai
pindaar kaa sanam-kada viiraa.n kiye hu.e
Mirza Ghalib
Ghazal
mai.n jis kii aa.nkh kaa aa.nsuu thaa us ne qadr na kii
bikhar gayaa huu.n to ab ret se uThaa.e mujhe
Bashir Badr
Ghazal
kisii tarah to jame bazm mai-kade vaalo
nahii.n jo baada-o-saaGar to haav-huu hii sahii