SEARCH RESULTS
Showing search results for "kamaate"
Ghazal MATCHES FOR "kamaate"
Ghazal
kab tak abhii rah dekhe.n ai qaamat-e-jaanaana
kab hashr mu.ayyan hai tujh ko to KHabar hogii
Faiz Ahmad Faiz
Ghazal
hai savaa neze pe us ke qaamat-e-nau-KHez se
aaftaab-e-sub.h-e-mahshar hai gul-e-dastaar-e-dost
Mirza Ghalib
Ghazal
qaamat-e-jaa.n ko KHush aayaa thaa kabhii KHil.at-e-ishq
ab isii jaama-e-sad-chaak se KHauf aataa hai
Iftikhar Arif
Ghazal
taariif kyaa ho qaamat-e-dildaar kii 'shakeb'
tajsiim kar diyaa hai kisii ne alaap ko
Shakeb Jalali
Ghazal
saaz-e-iimaa-e-fanaa hai aalam-e-piirii 'asad'
qaamat-e-KHam se hai haasil shoKHii-e-abruu mujhe
Mirza Ghalib
Ghazal
bas ek qaamat-e-zebaa ke KHvaab me.n rahnaa
basaa ek shaKHs ko hadd-e-misaal kar rakhnaa
Obaidullah Aleem
Ghazal
us ne dekhaa hii nahii.n qaamat-e-zebaa teraa
jo ye kahtaa ho ki gulshan me.n nihaal achchhaa hai
Mohammad Yusuf Rasikh
Ghazal
maslahat sahar bahut phuu.nktii phirtii hai bhare
kam qad-o-qaamat-e-vahshat nahii.n ham kar sakte
Jaleel 'Aali'
Ghazal
qaamat-e-yaar ko ham yaad kiyaa karte hai.n
sarv ko sadqe me.n aazaad kiyaa karte hai.n
Imam Bakhsh Nasikh
Ghazal
go shahr me.n paimaa.ish-e-qad aam hai lekin
ik shaKHs bhii ham-qaamat-e-saaya nahii.n niklaa
Akhtar Usman
Ghazal
ai qaamat-e-dil-daar-e-guzisthaa kii mu.aafii
pahle ko.ii me.aar nahii.n thaa mire aage
Abbas Tabish
Ghazal
yaar paisa to kamaate phir rahe hai.n dost sab
naam ham ko thaa kamaanaa shaa.irii karne lage
Tanoj Dadhich
Ghazal
Mirza Ghalib
Ghazal
mar ke bhii qaamat-e-mahbuub kii ulfat na ga.ii
ho chukaa hashr bhii lekin ye qayaamat na ga.ii
Jalal Lakhnavi
Ghazal
daavat-e-diid jo us qaamat-e-ra.ngii.n kii milii
bazm me.n ham bhii liye ye ruKH-e-zard aa baiThe
Farhat Ehsas
Ghazal
qaamat-e-baalaa kaa rutba hai do-baalaa sarv se
turra hai sumbul pe zulf-e-yaar qaisar-baaG me.n
Wazir Ali Saba Lakhnavi
Ghazal
kiyaa iimaan taaza qaamat-e-dildaar ne aisaa
'safiir' ab ham bhii inkaar-e-qayaamat kar nahii.n sakte
Mohammad Abbas Safiir
Ghazal
dard kaa zinda rahnaa pyaas kaa mo.ajaza hai
diivaane hii ye ban-baas kamaate hai.n