SEARCH RESULTS
Showing search results for "karakht"
Ghazal MATCHES FOR "karakht"
Ghazal
mire liye to vo KHanjar bhii phuul ban ke uThaa
zabaan saKHt thii lahja kabhii karaKHt na thaa
Parveen Shakir
Ghazal
ye aur baat ki vo lab the phuul se naazuk
ko.ii na sah sake lahja karaKHt aisaa thaa
Shakeb Jalali
Ghazal
karaKHt hone lage hai.n bujhe hu.e lahje
mire mizaaj me.n shaa.istagii ke aane se
Alam Khursheed
Ghazal
har-dam taraf hai vaise mizaaj karaKHt kaa
Tuk.Daa miraa jigar hai kaho sang saKHt kaa
Meer Taqi Meer
Ghazal
samajhte kyuu.n nahii.n ye shaa.er-e-karaKHt-navaa
suKHan kahaa.n kaa jo lahje kii dilkashii se ga.e
Irfan Sattar
Ghazal
jahaa.n pe mujh ko haliimii se kaam lenaa thaa
usii maqaam pe lahja miraa karaKHt hu.aa
Khurshid Talab
Ghazal
labo.n se chhuuT ke diivaar-e-dil se jaa lagtaa
mirii zabaan kaa patthar karaKHt ho jaataa
Shakeel Azmi
Ghazal
guzarte vaqt kii suurat hariif bhii na rahe
burii nigaah na lahje karaKHt kuchh bhii nahii.n
Raeesuddin Raees
Ghazal
duniyaa mire mizaaj ko samjhii nahii.n abhii
shaayad isii liye meraa lahja karaKHt hai
Ehsaan Ghaman
Ghazal
ta.alluqaat 'humairaa' kabiida hone me.n
nigaah-e-dost kii aavaaz bhii karaKHt hu.ii
Humaira Rahman
Ghazal
mujhe kisii ne sunaa hii nahii.n tavajjoh se
mai.n bad-zabaan sadaa-e-karaKHt huu.n shaayad
Aqeel Shadab
Ghazal
bahut latiif hai urdu Gazal kaa pairaahan
karaKHt lahje se us ko na taar taar kare.n
Neelu Megh Neelam
Ghazal
rath se hatheliyo.n pe utartii are Gazab
maKHmal ghasiiTtii hai zamiin-e-karaKHt par
Ahmad Jahangir
Ghazal
the pe.D par to mujh ko bahut KHushnumaa lage
to.De to jitne phal the kasiile karaKHt the
Zaheer Siddiqui
Ghazal
ik chehra-e-karaKHt ne chau.nkaa diyaa mujhe
dekhaa jo Gaur se to kisii mehrbaa.n kaa thaa
Noor Ahmad Shaikh
Ghazal
mai.n kah rahaa huu.n sab ko dobaara karaKHt hai
us ne kiyaa hai jo vo ishaara karaKHt hai