SEARCH RESULTS
Showing search results for "kiraaya"
Ghazal MATCHES FOR "kiraaya"
Ghazal
biThaa ke rikshe me.n kal shab ravaana karte hu.e
diyaa jo mai.n ne kiraaya to baap rone lagaa
Shahzad Qais
Ghazal
ye dabdaba ye hukuumat ye nashsha-e-daulat
kiraaya-daar hai.n sab ghar badalte rahte hai.n
Bekal Utsahi
Ghazal
kiraaya to do kuchh mohabbat kaa mujh ko
jo muddat se mere hii dil me.n rahii tum
Afzal Ali Afzal
Ghazal
kyo.n pareshaan rahaa karte the vaalid mere
aaj mahsuus hu.aa ghar kaa kiraaya de kar
Elma Hashmi
Ghazal
kahlaa.e jis me.n rah ke hamesha kiraaya-daar
kyaa uns ho makiin ko aise makaan se
Raghib Muradabadi
Ghazal
kiraaya-daarii vasiila hai apne jiine kaa
tum aanaa chaaho to dil kaa makaan KHaalii hai
Tajdar Adil
Ghazal
badan-saraa.e me.n Thahraa hu.aa musaafir huu.n
chukaa rahaa huu.n kiraaya mai.n chand saa.nso.n kaa
Sarfraz Nawaz
Ghazal
nasiib dekhiye maalik to ho gayaa be-ghar
kiraaya-daar abhii tak usii makaan me.n hai
Zafar Naseemi
Ghazal
kiraaya-daar badalnaa to us kaa sheva thaa
nikaal kar vo bahut KHush hu.aa makaa.n se mujhe
Aleem Afsar
Ghazal
ham chaahte the dil me.n rahe 'umr-bhar magar
muflis the is qadar ki kiraaya na de sake
Sadik Ali Shadab
Ghazal
yahaa.n se tum ko akele hii lauTnaa hogaa
mohabbato.n ke safar kaa yahii kiraaya hai