SEARCH RESULTS
Showing search results for "laadaa"
Ghazal MATCHES FOR "laadaa"
Ghazal
mufaahamat na sikhaa jabr-e-naaravaa se mujhe
mai.n sar-ba-kaf huu.n la.Daa de kisii balaa se mujhe
Adeem Hashmi
Ghazal
Bashir Badr
Ghazal
farzaano.n kaa kyaa kahnaa har baat pe la.Dte hai.n
diivaane se diivaana shaayad hii la.Daa hogaa
Hafeez Banarasi
Ghazal
aa.nkhe.n la.Daa ke un se ham aafat me.n pa.D ga.e
palko.n kii har zabaan pe dil kaa savaal hai
Jaleel Manikpuri
Ghazal
mirii nigaah me.n vo pe.D bhii hai bad-kirdaar
ladaa hu.aa ho jo phal se magar jhukaa hii na ho
Ahmad Nadeem Qasmi
Ghazal
ik raat me.n sau baar jalaa aur bujhaa huu.n
muflis kaa diyaa huu.n magar aa.ndhii se la.Daa huu.n
Nazeer Banarasi
Ghazal
din bhar ke dahakte hu.e suuraj se la.Daa huu.n
ab raat ke dariyaa me.n pa.Daa Duub rahaa huu.n
Mohammad Alvi
Ghazal
sach hai ki vo buraa thaa har ik se la.Daa kiyaa
lekin use zaliil kiyaa ye buraa kiyaa
Mohammad Alvi
Ghazal
aql kaa hukm ki saahil se lagaa do kashtii
dil kaa israar ki tuufaa.n se la.Daa dii jaa.e
Ali Ahmad Jalili
Ghazal
aduu se bazm-e-aduu me.n la.Daa rahe ho nigaah
nahii.n KHayaal ki apne paraa.e baiThe hai.n
Nooh Narvi
Ghazal
baaqii aadhii to kisii aur kii muTThii me.n dabii
pusht par mai.n ne tujhe ziist hai laadaa aadhaa
Komal Joya
Ghazal
vo jis se ibaadat kii tarah kii thii mohabbat
vo shaKHs zamaane ke liye mujh se la.Daa hai
Mubarik Siddiqi
Ghazal
haq par kha.Daa huu.n aur mai.n haq ke liye la.Daa
mukre na ko.ii mujh ko sar-e- daar dekh kar
Syed John Abbas Kazmi
Ghazal
Goya Faqir Mohammad
Ghazal
Sandeep Thakur
Ghazal
mai.n apne aap se to la.Daa huu.n tamaam umr
ai aasmaan tuu bhii kabhii aazmaa mujhe