SEARCH RESULTS
Showing search results for "lahje"
Ghazal MATCHES FOR "lahje"
Ghazal
le to aa.e shaa.irii baazaar me.n 'raahat' miyaa.n
kyaa zaruurii hai ki lahje ko bhii baazaarii rakho
Rahat Indori
Ghazal
tere lahje kii thakan me.n tiraa dil shaamil hai
aisaa lagtaa hai judaa.ii kii gha.Dii aa ga.ii dost
Ahmad Faraz
Ghazal
lahje kii tez dhaar se zaKHmii kiyaa use
paivast dil me.n lafz kii sa.ngiin ham ne kii
Iqbal Sajid
Ghazal
zaraa saa qatra kahii.n aaj agar ubhartaa hai
samundaro.n hii ke lahje me.n baat kartaa hai
Waseem Barelvi
Ghazal
jab bhii Gariib-e-shahr se kuchh guftuguu hu.ii
lahje havaa-e-shaam ke namnaak ho ga.e
Parveen Shakir
Ghazal
narm alfaaz bhalii baate.n mohazzab lahje
pahlii baarish hii me.n ye rang utar jaate hai.n
Javed Akhtar
Ghazal
kare kalaam jo mujh se to mere lahje me.n
mai.n chup rahuu.n to mire tevaro.n kaa saathii ho
Iftikhar Arif
Ghazal
havaa daraKHto.n se kahtii hai dukh ke lahje me.n
abhii mujhe ka.ii sahraa.o.n se guzarnaa hai
Asad Badayuni
Ghazal
Waseem Barelvi
Ghazal
terii baato.n ko chhupaanaa nahii.n aataa mujh se
tuu ne KHushbuu mire lahje me.n basaa rakkhii hai
Iqbal Ashhar
Ghazal
mat sikhaa lahje ko apnii barchhiyo.n ke pai.ntare
zinda rahnaa hai to lahje ko zaraa ma.asuum kar
Rahat Indori
Ghazal
hamaare lahje kii shaa.istagii ke dhoke me.n
hamaarii baato.n kii gahraa.iyaa.n na chhuu lenaa
Irfan Siddiqi
Ghazal
mere jazbo.n ke fusuu.n me.n qaid vo hotaa hu.aa
us ke lahje kii khanak mujh par asar kartii hu.ii
Jahangeer nayab
Ghazal
zamaana pech-andar-pech thaa ham log vahshii the
KHayaal aazaar the lahje ikahre kar liye ham ne
Saqi Faruqi
Ghazal
ko.ii to phuul khilaa.e du.aa ke lahje me.n
ajab tarah kii ghuTan hai havaa ke lahje me.n
Iftikhar Arif
Ghazal
ik ajiib ThanDak hai is ke narm lahje me.n
lafz lafz shabnam hai baat baat pyaarii hai
Manzar Bhopali
Ghazal
Aitbar Sajid
Ghazal
guu.nge lafzo.n kaa ye be-samt safar meraa hai
guftuguu us kii hai lahje me.n asar meraa hai