SEARCH RESULTS
Showing search results for "luteraa"
Ghazal MATCHES FOR "luteraa"
Ghazal
mai.n raahzan huu.n magar aashnaa-e-manzil-e-dil
jo raahbar hai luTeraa to mere saath chalo
Shamim Karhani
Ghazal
raah-e-pur-pech ko sahl itnaa bataane vaalaa
raahbar ho nahii.n saktaa hai luTeraa hogaa
Gopal Mittal
Ghazal
kis kaa yaqiin kiijiye kis kaa na kiijiye
har chaaragar mujhe to luTeraa dikhaa.ii de
Javed Quraishi
Ghazal
ye daar-o-giir kii duniyaa me.n kahnaa mushkil hai
ki kaun is me.n luTaa kaun yaa.n luTeraa hai
Vafa Malikpuri
Ghazal
sarmaaya usuulo.n kaa rakh ghar me.n 'hayaat' apne
har gaam yahaa.n rahzan har mo.D luTeraa hai
Hayat Warsi
Ghazal
Nazeer Akbarabadi
Ghazal
aaj ke zamaane me.n kis ko rahnumaa samjhe.n
ab to har qabiile kaa raahbar luTeraa hai
Shahid Ghazi
Ghazal
raat bhar dii hai dar-e-dil pe kisii ne dastak
vo ye kahtaa hai nahii.n ko.ii luTeraa hogaa
Kausar Niyazi
Ghazal
shahr kaa shahr luTeraa hai nazar me.n rakhiye
ab mataa-e-Gam-e-jaanaa.n bhii na ghar me.n rakhiye