SEARCH RESULTS
Showing search results for "makaan"
Ghazal MATCHES FOR "makaan"
Ghazal
isii roz o shab me.n ulajh kar na rah jaa
ki tere zamaan o makaa.n aur bhii hai.n
Allama Iqbal
Ghazal
na jaane kab tire dil par na.ii sii dastak ho
makaan KHaalii hu.aa hai to ko.ii aa.egaa
Bashir Badr
Ghazal
Nida Fazli
Ghazal
jis kii saa.nso.n se mahakte the dar-o-baam tire
ai makaa.n bol kahaa.n ab vo makii.n rahtaa hai
Ahmad Mushtaq
Ghazal
sunaa hai us ke shabistaa.n se muttasil hai bahisht
makii.n udhar ke bhii jalve idhar ke dekhte hai.n
Ahmad Faraz
Ghazal
'kaif' pardes me.n mat yaad karo apnaa makaa.n
ab ke baarish ne use to.D giraayaa hogaa
Kaif Bhopali
Ghazal
galii se ko.ii bhii guzre to chau.nk uThtaa huu.n
na.e makaan me.n khi.Dkii nahii.n banaa.uu.ngaa
Tahzeeb Hafi
Ghazal
mai.n jab makaan ke baahar qadam nikaaltaa huu.n
ajab nigaah se mujh ko makaan dekhtaa hai
Shakeel Azmi
Ghazal
chup chup makaan raaste gum-sum niDhaal vaqt
is shahr ke liye ko.ii diivaanaa chaahiye
Nida Fazli
Ghazal
maqaam-e-parvarish-e-aah-o-laala hai ye chaman
na sair-e-gul ke liye hai na aashiyaa.n ke liye
Allama Iqbal
Ghazal
charaaGo.n ke badle makaa.n jal rahe hai.n
nayaa hai zamaana na.ii raushnii hai
Khumar Barabankavi
Ghazal
jhapak rahii hai.n zamaan o makaa.n kii bhii aa.nkhe.n
magar hai qaafila aamaada-e-safar phir bhii
Firaq Gorakhpuri
Ghazal
jahaa.n rahegaa vahii.n raushnii luTaa.egaa
kisii charaaG kaa apnaa makaa.n nahii.n hotaa
Waseem Barelvi
Ghazal
Muneer Niyazi
Ghazal
hamaare ghar ko to uj.De hu.e zamaana hu.aa
magar sunaa hai abhii vo makaan baaqii hai
Javed Akhtar
Ghazal
kaun o makaa.n se hai dil-e-vahshii kanaara-giir
is KHaanumaa.n-KHaraab ne Dhuu.nDaa hai ghar kahaa.n