SEARCH RESULTS
Showing search results for "mithaas"
Ghazal MATCHES FOR "mithaas"
Ghazal
kisii ke shiirii.n-labo.n se udhaar lete hai.n
miThaas shahd rutab chiinii qand misrii Dalii
Shahzad Qais
Ghazal
lafzo.n me.n jazb ho gayaa sab zindagii kaa zahr
lahja bachaa hai is ko Gazal kii miThaas de
Meraj Faizabadi
Ghazal
dhoke se us hasii.n ko agar chuum bhii liyaa
paa.oge dil kaa zahr labo.n kii miThaas me.n
Shakeb Jalali
Ghazal
allaah us kaa lahja-e-shiirii.n ki kyaa kahuu.n
vallaah us pe urdu zabaa.n kii miThaas aur
Charagh Sharma
Ghazal
tumhaaraa naam liyaa thaa kabhii mohabbat se
miThaas us kii abhii tak mirii zabaan me.n hai
Abbas Dana
Ghazal
samaa.ato.n me.n ye kaisii miThaas ghultii rahii
tamaam umr rahaa talKH zaa.iqa meraa
Muzaffar Warsi
Ghazal
Adeem Hashmi
Ghazal
tamaam dasht-e-badan me.n miThaas jaag uThii
rago.n me.n mauja-e-KHuu.n kaa dabaav aur ba.Dhaa
Aziz Nabeel
Ghazal
mai.n tere zikr kii vaadii me.n sair kartaa rahuu.n
hamesha lab pe tire naam kii miThaas rahe
Siraj Faisal Khan
Ghazal
tire suKHan ke sadaa log ho.nge girviida
miThaas urdu kii tho.Dii bahut zabaan me.n rakh
Mubarak Ansari
Ghazal
kyaa bhalaa apnii samaa.at me.n ghule ko.ii miThaas
vaqt ke ho.nTo.n se kab talKH-navaa.ii ga.ii hai
Arshad Jamal Sarim
Ghazal
in aa.nsu.o.n ne chho.D dii ho.nTo.n pe kuchh namii
yaa'nii shahd se ju.D ga.ii gu.D kii miThaas aur
Abhishar Geeta Shukl
Ghazal
Zaman Kanjahi
Ghazal
zabaa.n pe aa.ii to apnii miThaas kho baiThii
jo baat hotii thii pahle kabhii ishaaro.n me.n
Sardar Asif
Ghazal
phir us ke baa'd phalo.n me.n miThaas aa.ii nahii.n
shajar ne kaam liyaa thaa Galat-bayaanii se
Abbas Tabish
Ghazal
ye aur baat ki lahja udaas rakhte hai.n
KHizaa.n ke giit bhii apnii miThaas rakhte hai.n
Hafeez Banarasi
Ghazal
bikhar chuke hai.n samaa.at ke talKH shiiraaze
ab apne naram labo.n kii miThaas rahne de
Sultan Akhtar
Ghazal
mohabbato.n me.n bahut ras bhii hai miThaas bhii hai
hamaare jiine kii bas ik yahii asaas bhii hai
Akhtar Amaan
Ghazal
chakkhii hai lamhe lamhe kii ham ne miThaas bhii
ye aur baat hai ki rahe hai.n udaas bhii