SEARCH RESULTS
Showing search results for "mustanad"
Ghazal MATCHES FOR "mustanad"
Ghazal
gul o sitaara o qamar sabhii hasiin hai.n magar
hai kaun in me.n mustanad nazar nazar kii baat hai
Akbar Hyderabadi
Ghazal
mustanad mo.atamad-e-dil nahii.n ab ko.ii yahaa.n
mahram-e-raaz bhii mahruum-e-sanad hai had hai
Nadeem Sirsivi
Ghazal
aap ne jo kuchh kahaa jitnaa kahaa sab mustanad
baat ko.ii kyaa karegaa aap kii baato.n ke baad
Mushtaq Ahmad Mushtaq
Ghazal
mai.n is kahaanii me.n tarmiim kar ke laayaa huu.n
jo tum ko pahle sunaa.ii thii mustarad samho
Abid Malik
Ghazal
is darja merii zaat se us ko hasad hu.aa
jo bhii savaal mai.n ne kiyaa mustarad hu.aa
Hasan Rizvi
Ghazal
riyaa kaa rang na ho mustanad hai.n vo aa’maal
kalaam puKHta hai jab dard-e-dil kii buu aa.e
Akbar Allahabadi
Ghazal
tum ne jo matn pesh kiyaa mustanad to thaa
lekin tumhaaraa haashiya achchhaa nahii.n lagaa
Khalid Mubashshir
Ghazal
ye kyaa ki merii har ik baat mustanad ho jaa.e
maza to jab hai ki logo.n ko inhiraaf bhii ho
Shakeel Azmi
Ghazal
niichii nazar kushaada jabii.n darmiyaana qad
gesuu daraaz shiirii.n zabaa.n husn mustanad
Aamir Ata
Ghazal
aashiqii mujh be-navaa kii mustanad kab kyaa rahii
chal rahe hai.n sahraa sahraa qais se farhaad tak
Abaan Asif Kachkar
Ghazal
kitaab-e-ishq ke jo mo'atabar risaale hai.n
unhii.n me.n husn ke kuchh mustanad havaale hai.n
Anjum Barabankvi
Ghazal
jo ham ne kah diyaa tasdiiq kaa muhtaaj hotaa hai
hamaarii baat aksar mustanad maanii nahii.n jaatii
Parmod Lal Yakta
Ghazal
matla'-e-anvaar-e-mashriq se hai KHilqat be-KHabar
mustanad partav vo hai maGrib se jo manquul hai
Akbar Allahabadi
Ghazal
ishq usii kaa mustanad shauq usii kaa mo'atabar
terii nigaah se bhii jo raaz-e-nazar chhupaa sake