SEARCH RESULTS
Showing search results for "mutakallim"
Ghazal MATCHES FOR "mutakallim"
Ghazal
kahii.n faqat mutakallim sukuut kii haajat
kahii.n takallum-e-KHaamosh kii zaruurat hai
Jafar Baluch
Ghazal
Meer Taqi Meer
Ghazal
dilo.n me.n aaj tirii yaad muddato.n ke ba.ad
ba-chehra-e-mutabassim ba-chashm-e-tar aa.ii
Firaq Gorakhpuri
Ghazal
mai.n huu.n KHud se mutaqaabil mutabaadil mutazaad
ruuh Thahre miraa unvaa.n kabhii qaalib Thahre
Abdul Ahad Saaz
Ghazal
saarii duniyaa mutalaatim nazar aatii hai 'nadiim'
mujh pe ik tanz hu.aa rauzan-e-zindaa.n na hu.aa
Ahmad Nadeem Qasmi
Ghazal
tum aa ke kyaa mutabassim hu.e lahad par mirii
charaaG-e-gor-e-Gariibaa.n jalaa diyaa tum ne
Jameela Khatoon Tasneem
Ghazal
umiid hai ki nibaahe.nge imtihaa.n le kar
jo is qadar mutaqaazii hai.n imtihaa.n ke liye
Shefta Mustafa Khan
Ghazal
mujhe na dekh mirii baat sun ki mujh se hai.n
kahii.n kahii.n mutasaadim bhii kuchh 'amal mere
Ajmal Siraj
Ghazal
har jaa mutajallii hai vo be-parda va-lekin
Gaflat ke mujhe parda-e-haa.il ne sataayaa
Shah Naseer
Ghazal
us kii pursish pe jo dekhaa mutabassim mujh ko
raaz-daa.n ko mire andaaz pe ronaa aayaa
Shaghil Qadri
Ghazal
har dam mutaqaazii hai yahii hasrat-e-diidaar
phir ek nazar jalva-e-dildaar dikhaa.o
Rind Lakhnavi
Ghazal
chehra chehra mutabassim hai tirii mahfil me.n
phir bhii ik chehra abhii diida-e-tar rakhtaa hai
Mashkoor Muradabadi
Ghazal
muKHtasar us ko kiyaa hai mutabassim ho kar
varna ruudaad mire dard kii tuulaanii thii
Muzaffar Hanfi
Ghazal
mutarannim hai mirii ruuh me.n yuu.n terii sadaa
aabshaaro.n kii sukuu.n-rez ravaanii jaise
Irfana Azeez
Ghazal
mutakabbir na ho zardaar ba.Dii mushkil hai
sab hai aasaan ye sarkaar ba.Dii mushkil hai