SEARCH RESULTS
Showing search results for "mutasaddi"
Ghazal MATCHES FOR "mutasaddi"
Ghazal
hisaab-e-shauq kaa daftar likhaa to jhu.njhlaa kar
kahaa mai.n kyaa mutasaddi thaa jo hisaab likhaa
Nazeer Akbarabadi
Ghazal
mai.n huu.n KHud se mutaqaabil mutabaadil mutazaad
ruuh Thahre miraa unvaa.n kabhii qaalib Thahre
Abdul Ahad Saaz
Ghazal
shab-gaziida ko tire is kii KHabar hii kab thii
din jo aa.egaa Gam-e-laa-mutanaahii degaa
Faza Ibn e Faizi
Ghazal
be-natiija hii rahegaa ye musalsal Takraa.o
yaa to duniyaa ke bano yaa mutabaadil ho jaa.o
Farhat Ehsas
Ghazal
umiid hai ki nibaahe.nge imtihaa.n le kar
jo is qadar mutaqaazii hai.n imtihaa.n ke liye
Shefta Mustafa Khan
Ghazal
mujhe na dekh mirii baat sun ki mujh se hai.n
kahii.n kahii.n mutasaadim bhii kuchh 'amal mere
Ajmal Siraj
Ghazal
jo is uljhaa.o ke KHud hai.n mutamannii dil se
kyaa bigaa.Degii tirii zulf-e-pareshaa.n un kaa
Shad Azimabadi
Ghazal
hai husn bhii aKHlaaq bhii rahmat bhii karam bhii
makkii madanii haashmii-o-muttalabii me.n
Mohammad Aazam Chishti
Ghazal
har jaa mutajallii hai vo be-parda va-lekin
Gaflat ke mujhe parda-e-haa.il ne sataayaa
Shah Naseer
Ghazal
alfaaz na.e Dhaale kyaa kyaa na.ii urdu me.n
raa.ij mutabaadil hai.n jin ke ka.ii urdu me.n
Jafar Raza
Ghazal
har dam mutaqaazii hai yahii hasrat-e-diidaar
phir ek nazar jalva-e-dildaar dikhaa.o
Rind Lakhnavi
Ghazal
is jahaa.n ke mutavaazii bhii jahaa.n hai ko.ii
jo yahaa.n bol nahii.n paate vahaa.n bolte hai.n
Aqeel Abbas Chughtai
Ghazal
mirii zamiin tire aasmaa.n se behtar hai
yaqii.n yaqii.n hai kisii bhii gumaa.n se behtar hai
Badr Mohammadi
Ghazal
KHaraab-e-diid ko yuu.n hii KHaraab rahne de
ko.ii hijaab uThaa de naqaab rahne de
Suha Mujaddadi
Ghazal
aa.nkho.n me.n apnii ashk-e-nadaamat liye hu.e
ham hai.n ajiib rang-e-ibaadat liye hu.e
Badr Mohammadi
Ghazal
Ahmad Mujaddadi Asad
Ghazal
uThiye to kahaa.n jaa.iye jo kuchh hai yahii.n hai
baahar tire ghar ke to na duniyaa hai na dii.n hai
Suha Mujaddadi
Ghazal
bikhrii bikhrii socho.n me.n kuchh gard u.Daate pal
laa-mutanaahii se Gam kaa mehvar bhii hote hai.n