SEARCH RESULTS
Showing search results for "mutrib"
Ghazal MATCHES FOR "mutrib"
Ghazal
saaqii sharaab laa ki tabii.at udaas hai
mutrib rubaab uThaa ki tabii.at udaas hai
Abdul Hamid Adam
Ghazal
abhii na chhe.D mohabbat ke giit ai mutrib
abhii hayaat kaa maahaul KHush-gavaar nahii.n
Sahir Ludhianvi
Ghazal
saaqii-ba-jalva dushman-e-iimaan-o-aagahii
mutrib ba-naGma rahzan-e-tamkiin-o-hosh hai
Mirza Ghalib
Ghazal
use mutrib-e-bebaak ko.ii aur bhii naGma
ai saaqi-e-fayyaaz sharaab aur ziyaada
Asrarul Haq Majaz
Ghazal
Dhuu.nDtaa hai dil-e-shoriida bahaane mutrib
dard-a.ngez Gazal ko.ii na gaanaa hargiz
Altaf Hussain Hali
Ghazal
jaa.n mutrib-e-taraana-e-hal-mim-maziid hai
lab parda-sa.nj-e-zamzama-e-al-amaa.n nahii.n
Mirza Ghalib
Ghazal
havas-e-mutrib-o-saaqii me.n pareshaa.n aksar
abr aataa hai kabhii maah-e-tamaam aataa hai
Faiz Ahmad Faiz
Ghazal
jaam-o-subuu ke hosh Thikaane nahii.n rahe
mutrib uThaa rubaab ki mausam KHaraab hai
Saghar Siddiqui
Ghazal
mutrib-e-junuu.n-saamaa.n tuu na chhe.D ye naGma
dhun KHaraab hotii hai tere gungunaane se
Shakeel Badayuni
Ghazal
mutrib se ye kahtaa thaa 'hashr' apnii Gazal sun kar
hai merii javaanii kaa bhuulaa hu.aa afsaana
Agha Hashr Kashmiri
Ghazal
mutrib-e-dil ne mire taar-e-nafas se 'Gaalib'
saaz par rishta pa.e naGma-e-'bedil' baa.ndhaa
Mirza Ghalib
Ghazal
mutrib bhii tuu nadiim bhii tuu saaqiyaa bhii tuu
tuu jaan-e-anjuman hii nahii.n anjuman bhii hai
Jan Nisar Akhtar
Ghazal
Parvez Shahidi
Ghazal
kuchh na puuchh ai hamdam in dino.n miraa aalam
mutrib-e-hasii.n apnaa saaqi-e-javaa.n apnaa
Asrarul Haq Majaz
Ghazal
hashr me.n le ke chalo mutrib o ma.ashuuq o subuu
Gair ke ghar me.n kabhii raat bhii ho jaatii hai
Abdul Hamid Adam
Ghazal
Josh Malihabadi
Ghazal
mujh ko tanhaa.ii me.n sun.naa baiTh kar
mutrib-e-lamhaat-e-vajdaanii huu.n mai.n