SEARCH RESULTS
Showing search results for "nabaat"
Ghazal MATCHES FOR "nabaat"
Ghazal
hai.n mustahiil KHaak se ajzaa-e-nau-KHataa.n
kyaa sahl hai zamii.n se nikalnaa nabaat kaa
Meer Taqi Meer
Ghazal
navaah-e-dil me.n ye merii misaal jalte rahe.n
KHas-o-gulaab nabaat-o-nihaal jalte rahe.n
Mohammad Ahmad Ramz
Ghazal
ik duusre ko zahr pilaate hai.n log ab
baato.n me.n shahd ghol ke qand-o-nabaat kaa
Badiuzzaman Khawar
Ghazal
saaqii havaa-e-sard ko tuu sarsarii na jaan
kaifiyyat us kii puuchh nabaat-e-nabaat se
Insha Allah Khan Insha
Ghazal
na baar baar havas ho nabaat kii mujh ko
rakhe jo ek hii bosa me.n lab-e-shakar mahzuuz
Mah Laqa Chanda
Ghazal
saaqii se kah do sabza-e-tar me.n bahaa sharaab
Taa.nke kaduu kii bel qabaa-e-nabaat me.n
Muneer Shikohabadi
Ghazal
kisii ne zahr milaa kar na de diyaa ho tujhe
mai.n chakh to luu.n tire qand o nabaat achchhii tarah
Ghulam Murtaza Rahi
Ghazal
nabaat-o-naKHl par giraa.n guzartaa hai ye mashGala
daraKHt ke tane pe yuu.n huruuf mat uker ruk
Shamshad shaad
Ghazal
bolaa agar to qand-e-mukarrar hu.e vo lab
aur chup rahaa to ye bhii hai suurat nabaat kii
Meer Hasan
Ghazal
sharm se aab hu.e niishkar-o-qand-o-nabaat
dekh kar ai shakarii.n-lab tirii shiirii.n-dahnii