SEARCH RESULTS
Showing search results for "nafii"
Ghazal MATCHES FOR "nafii"
Ghazal
apnii nafii to falsafii-jii qatl-e-nafs hai
kahiye ko.ii ye jurm sujhaa.e to kyaa karuu.n
Hafeez Jalandhari
Ghazal
nafi se kartii hai isbaat taraavish goyaa
dii hai jaa-e-dahn us ko dam-e-iijaad nahii.n
Mirza Ghalib
Ghazal
Farhat Ehsas
Ghazal
har shaKHs me.n kuchh log kamii Dhuu.nD rahe hai.n
naadaan hai.n musbat me.n nafii Dhuu.nD rahe hai.n
Dr. Azam
Ghazal
bichha.Dnaa chaaho to apne dil kii nafii na karnaa
yahii bahut hai jahaa.n raho muskuraate rahnaa
Ikram Basra
Ghazal
log KHaamosh the isbaat o nafii ke maabain
aise maahaul me.n irshaad kahaa.n tak karte
Rashid Taraz
Ghazal
jab ho isbaat hii KHud apnii nafii kaa baa.is
dil ko har qaid-e-tamannaa se chhu.Daanaa hogaa
Rafat Shameem
Ghazal
jazbe me.n suluuk aur nafii me.n hai jo isbaat
ai saalik-e-majzuub ye hai sair-e-maqaamaat
Pandit Jawahar Nath Saqi
Ghazal
Atir Ali Syed
Ghazal
vaslat o hijrat-e-ushshaaq me.n kyaa thaa avval
nafii thii baa'd to isbaat se pahle kyaa thaa
Ejaz Gul
Ghazal
vahm kii gard me.n lipTe hai.n savaal aur hame.n
kabhii naf.i kabhii isbaat se KHauf aataa hai
Rahman Hafeez
Ghazal
ye aa.nkh jise bojh samajhtaa hai miyaa.n tuu
ye baar-e-haziimat ko uThaane kii nafii hai
Sabir Amani
Ghazal
isbaat nafii ho ki nafii ho isbaat
kyuu.n jaa.uu.n mai.n alfaaz kii gahraa.ii me.n