SEARCH RESULTS
Showing search results for "naksh"
Ghazal MATCHES FOR "naksh"
Ghazal
tasviir ke do ruKH hai.n jaa.n aur Gam-e-jaanaa.n
ik naqsh chhupaanaa hai ik naqsh dikhaanaa hai
Jigar Moradabadi
Ghazal
is KHaana-e-hastii se guzar jaa.uu.ngaa be-laus
saaya huu.n faqat naqsh-ba-diivaar nahii.n huu.n
Akbar Allahabadi
Ghazal
Muneer Niyazi
Ghazal
ab ishq us maqaam pe hai justujuu-navard
saaya nahii.n jahaa.n ko.ii naqsh-e-qadam nahii.n
Jigar Moradabadi
Ghazal
shaayad vo mil hii jaa.e magar justujuu hai shart
vo apne naqsh-e-paa to miTaa kar nahii.n gayaa
Shahzad Ahmad
Ghazal
naqsh fariyaadii hai kis kii shoKHi-e-tahriir kaa
kaaGzii hai pairahan har paikar-e-tasviir kaa
Mirza Ghalib
Ghazal
Mirza Ghalib
Ghazal
kholii hai.n zauq-e-diid ne aa.nkhe.n tirii agar
har rahguzar me.n naqsh-e-kaf-e-paa-e-yaar dekh
Allama Iqbal
Ghazal
naqsh-e-paa dekh to luu.n laakh karuu.ngaa sajde
sar miraa arsh nahii.n hai jo jhukaa bhii na sakuu.n
Ameer Minai
Ghazal
naqsh kii tarah ubharnaa bhii tumhii se siikhaa
rafta rafta nazar aanaa bhii tumhii se siikhaa
Zehra Nigaah
Ghazal
be-tesha-e-nazar na chalo raah-e-raftagaa.n
har naqsh-e-paa buland hai diivaar kii tarah
Majrooh Sultanpuri
Ghazal
ret hii ret hai is dil me.n musaafir mere
aur ye sahraa tiraa naqsh-e-kaf-e-paa chaahtaa hai
Parveen Shakir
Ghazal
jaane kis aalam me.n tuu bichh.Daa ki hai tere baGair
aaj tak har naqsh fariyaadii mirii tahriir kaa
Ahmad Faraz
Ghazal
jahaa.n teraa naqsh-e-qadam dekhte hai.n
KHayaabaa.n KHayaabaa.n iram dekhte hai.n
Mirza Ghalib
Ghazal
dekho to dil-farebi-e-andaaz-e-naqsh-e-paa
mauj-e-KHiraam-e-yaar bhii kyaa gul katar ga.ii
Mirza Ghalib
Ghazal
hai kahaa.n tamannaa kaa duusraa qadam yaa rab
ham ne dasht-e-imkaa.n ko ek naqsh-e-paa paayaa