SEARCH RESULTS
Showing search results for "naqshe"
Ghazal MATCHES FOR "naqshe"
Ghazal
ab ishq us maqaam pe hai justujuu-navard
saaya nahii.n jahaa.n ko.ii naqsh-e-qadam nahii.n
Jigar Moradabadi
Ghazal
shaayad vo mil hii jaa.e magar justujuu hai shart
vo apne naqsh-e-paa to miTaa kar nahii.n gayaa
Shahzad Ahmad
Ghazal
kholii hai.n zauq-e-diid ne aa.nkhe.n tirii agar
har rahguzar me.n naqsh-e-kaf-e-paa-e-yaar dekh
Allama Iqbal
Ghazal
naqsh-e-paa dekh to luu.n laakh karuu.ngaa sajde
sar miraa arsh nahii.n hai jo jhukaa bhii na sakuu.n
Ameer Minai
Ghazal
ret hii ret hai is dil me.n musaafir mere
aur ye sahraa tiraa naqsh-e-kaf-e-paa chaahtaa hai
Parveen Shakir
Ghazal
be-tesha-e-nazar na chalo raah-e-raftagaa.n
har naqsh-e-paa buland hai diivaar kii tarah
Majrooh Sultanpuri
Ghazal
jahaa.n teraa naqsh-e-qadam dekhte hai.n
KHayaabaa.n KHayaabaa.n iram dekhte hai.n
Mirza Ghalib
Ghazal
dekho to dil-farebi-e-andaaz-e-naqsh-e-paa
mauj-e-KHiraam-e-yaar bhii kyaa gul katar ga.ii
Mirza Ghalib
Ghazal
hai kahaa.n tamannaa kaa duusraa qadam yaa rab
ham ne dasht-e-imkaa.n ko ek naqsh-e-paa paayaa
Mirza Ghalib
Ghazal
guzarne ko to hazaaro.n hii qaafile guzre
zamii.n pe naqsh-e-qadam bas kisii kisii kaa rahaa
Kaifi Azmi
Ghazal
mai.n vo fataada huu.n ki baGair-az-fanaa mujhe
naqsh-e-qadam kii tarah na ko.ii uThaa sake
Khwaja Meer Dard
Ghazal
ghar kii ta.amiir tasavvur hii me.n ho saktii hai
apne naqshe ke mutaabiq ye zamii.n kuchh kam hai
Shahryar
Ghazal
Akbar Allahabadi
Ghazal
vaamaa.ndgii se uTh nahii.n saktaa to kyaa hu.aa
manzil se aashnaa na sahii naqsh-e-paa to hai
Jameel Malik
Ghazal
manzil milii muraad milii mudda.aa milaa
sab kuchh mujhe milaa jo tiraa naqsh-e-paa milaa
Seemab Akbarabadi
Ghazal
'barq' uftaada vo huu.n saltanat-e-aalam me.n
taaj-e-sar ijz se naqsh-e-kaf-e-paa hotaa hai