SEARCH RESULTS
Showing search results for "parvarish-yaafta-e-khaana-e-sayyaad"
Ghazal MATCHES FOR "parvarish-yaafta-e-khaana-e-sayyaad"
Ghazal
roz-e-avval se asiir ai dil-e-naashaad hai.n ham
parvarish-yaafta-e-KHaana-e-sayyaad hai.n ham
Asad Ali Khan Qalaq
Ghazal
uns hai KHaana-e-sayyaad se gulshan kaisaa
naaz-parvard-e-qafas huu.n mai.n nasheman kaisaa
Taashshuq Lakhnavi
Ghazal
daam me.n se jo chhuTe hai.n unhe.n ye hukm hu.aa
ki bas ab gard-e-dar-e-KHaana-e-sayyaad raho
Insha Allah Khan Insha
Ghazal
ham ne ehsaan asiirii kaa na barbaad kiyaa
marte dam mu.nh taraf-e-KHaana-e-sayyaad kiyaa
Asad Ali Khan Qalaq
Ghazal
mai.n ahl-e-KHaana-e-sayyaad mujh se kyaa yaarii
tum us parinde se kahnaa idhar na aa.egaa
Kuldeep Kumar
Ghazal
falak vo chaal bhii ab chal ki ho mujhe taskii.n
ujaa.D KHaana-e-sayyaad aashiyaa.n kii tarah
Syed Masood Hasan Masood
Ghazal
jab qafas me.n aa.e the ham vo bhii kyaa hangaam thaa
baaG se taa-KHaana-e-sayyaad ik kohraam thaa
Syed Wajid Ali Farrukh Banarsi
Ghazal
khulii hai KHaana-e-sayyaad me.n hamaarii aa.nkh
qafas ko jaante hai.n aashiyaa.n nahii.n maa'luum
Haidar Ali Aatish
Ghazal
mai.n vo bulbul huu.n jise dono hai.n ek
baaG ho yaa KHaana-e-sayyaad ho
Wazir Ali Saba Lakhnavi
Ghazal
zamzame KHaana-e-sayyaad ke kyuu.n guu.njte hai.n
kyaa ko.ii taaza giraftaar hu.aa mere baad
Fazal Husain Sabir
Ghazal
ho gayaa kohraam barpaa KHaana-e-sayyaad me.n
baiThe baiThe aashiyaa.n kii yaad jab aa.ii mujhe
Bismil Allahabadi
Ghazal
sanduuqcha argan kaa hai yaa KHaana-e-sayyaad
har murG-e-nafas haa.nk na.ii bol rahaa hai
Asad Ali Khan Qalaq
Ghazal
ilaahii KHaana-e-sayyaad par gire bijlii
ki fasl-e-gul me.n jalaayaa hai aashiyaa.n meraa
Mahmood Rampuri
Ghazal
shukriya ai gardish-e-ayyaam tere faiz se
gulsitaa.n bhii ham ne dekhaa KHaana-e-sayyaad bhii
Sahar Premi
Ghazal
barq girne ko girii lekin zaraa haT kar girii
aa.nch tak aane na paa.ii KHaana-e-sayyaad par
Bismil Allahabadi
Ghazal
kis giraftaar-e-qafas kii aah-e-aatish-baar se
bijliyaa.n girne lagii hai.n KHaana-e-sayyaad par