SEARCH RESULTS
Showing search results for "pati.nge"
Ghazal MATCHES FOR "pati.nge"
Ghazal
soz-e-daruu.n se apne sharar ban ga.e hai.n ashk
kyuu.n aah-e-sard ko na pati.nge lagaa.e.n ham
Dagh Dehlvi
Ghazal
ik pati.nge ne ye apne raqs-e-aaKHir me.n kahaa
raushnii ke saath rahiye raushnii ban jaa.iye
Saleem Ahmed
Ghazal
kashish charaaG kii ye baat kar ga.ii raushan
pati.nge KHud nahii.n aate bulaa.e jaate hai.n
Purnam Allahabadi
Ghazal
patthar se dil kii aag sambhaalii nahii.n ga.ii
pahu.nchii zaraa sii choT pati.nge giraa diye
Nashtar Khaanqahi
Ghazal
pati.nge sham.a ke sadqe ho.n bulbule.n gul par
ko.ii kisii ke fidaa ho mai.n huu.n fidaa-e-habiib
Jafar Ali Hasrat
Ghazal
Qamar Jalalvi
Ghazal
husn ko Gamgiin dekhe ishq ye mumkin nahii.n
rok le ai sham.a aa.nsuu ab pati.nge mar chale
Qamar Jalalvi
Ghazal
ab anjuman-e-shauq me.n sham.e.n na pati.nge
ab marg-e-musalsal kii sazaa hai na jazaa hai
Shamim Hanafi
Ghazal
mai.n vo jaa.n-baaz o havaala huu.n pati.nge kii tarah
sham'-ruu tere upar jaan se jal jaa.uu.ngaa
Ishq Aurangabadi
Ghazal
ek adnaa se pati.nge ne banaa dii jaan par
sham.a ne koshish to kii thii dil jalaane ke liye
Agha Shayar Qazalbash
Ghazal
pati.nge roz hazaaro.n banaa.e jaate hai.n
miraa taqaddus-e-KHaak-e-mazaar kyaa kahiye
Salahuddin Faiq Burhanpuri
Ghazal
Wali Uzlat
Ghazal
sham.a ne dekh ke hii lau bhii ba.Dhaa.ii hogii
har pati.nge me.n kahaa.n zarf hai jal jaane kaa