SEARCH RESULTS
Showing search results for "purze"
Ghazal MATCHES FOR "purze"
Ghazal
hamaare KHat ke to purze kiye pa.Dhaa bhii nahii.n
sunaa jo tuu ne ba-dil vo payaam kis kaa thaa
Dagh Dehlvi
Ghazal
thii KHabar garm ki 'Gaalib' ke u.De.nge purze
dekhne ham bhii ga.e the pa tamaashaa na hu.aa
Mirza Ghalib
Ghazal
KHat ke purze naama-bar kii laash ke hamraah hai.n
kis DhiTaa.ii se mire KHat kaa javaab aane ko hai
Fani Badayuni
Ghazal
mire KHat ke purze u.Daa.e unho.n ne
kisii ke sikhaa.e pa.Dhaa.e hu.e hai.n
Taashshuq Lakhnavi
Ghazal
galii me.n dard ke purze talaash kartii thii
mire KHutuut ke Tuk.De talaash kartii thii
Wasi Shah
Ghazal
purze vo KHat ke aaj bhii rakkhe hai.n mere paas
jo bach ga.e the KHat ko jalaane ke baavajuud
Aisha Ayub
Ghazal
Ali Sardar Jafri
Ghazal
mujhe jo dekhaa to kaaGaz ko purze purze kiyaa
vo apnii shakl ke KHaake banaa rahaa thaa bahut
Akhtar Hoshiyarpuri
Ghazal
vo KHat jo us ke haath se purze hu.aa 'adam'
duniyaa kaa sab se qiimtii maktuub ho gayaa
Abdul Hamid Adam
Ghazal
diivaana jaante hai.n tiraa hoshyaar unhe.n
jaame ko jism ke bhii jo purze u.Daa chuke
Haidar Ali Aatish
Ghazal
qaraar-daad-e-garebaa.n hu.ii ye daaman se
ki purze purze agar ho to taar taar huu.n mai.n
Saail Dehlvi
Ghazal
sannaaTe u.Daa dete hai.n aavaaz ke purze
baaro.n ko agar dasht-e-musiibat me.n pukaaruu.n
Ahmad Nadeem Qasmi
Ghazal
ehtiyaatan ki hariifo.n ke na haath aa jaa.e.n
mere purze mire ahbaab liye phirte hai.n