SEARCH RESULTS
Showing search results for "qahr-e-KHudaa"
Ghazal MATCHES FOR "qahr-e-KHudaa"
Ghazal
kuchh us ke rahm-o-karam kii bhii baat kar zaahid
ye zikr-e-qahr-e-KHudaa baar baar rahne de
Mujeeb Shehzar
Ghazal
zaalim the varaa-e-hisaab-o-kitaab kyaa
un par nuzuul-e-qahr-e-KHudaa kyuu.n nahii.n hu.aa
Ahmad Mushtaq
Ghazal
jalva-e-husn-e-KHudaa-daad dikhaa kar dilbar
misl-e-aa.iina kiyaa aap ne hairaa.n mujh ko
Jameela Khuda Bakhsh
Ghazal
jalva dikhaa de KHvaab me.n bahr-e-KHudaa mujhe
aa.nkhe.n taras ga.ii.n tire diidaar ke liye
Jameela Khuda Bakhsh
Ghazal
un mast mast aa.nkho.n me.n aa.nsuu are Gazab
ye ishq hai to qahr-e-KHudaa chaahiye mujhe
Khumar Barabankavi
Ghazal
hogaa pur-nuur siyah-KHaana hamaare dil kaa
is me.n tum Gaus-e-KHudaa ko zaraa aa jaane do
Jameela Khuda Bakhsh
Ghazal
ishva chaalaakii karishma naaz Gamza yaar kaa
garche hai qahr-e-KHudaa par dil ko mere bhaa.egaa
Kishan Kumaar Waqaar
Ghazal
shoKHii o naaz-o-adaa tujh me.n hai
yaa ye ik qahr-e-KHudaa tujh me.n hai
Mushafi Ghulam Hamdani
Ghazal
baaqii aasaar hai.n bas qahr-e-KHudaa ke har-suu
ko.ii tuufaa.n hai na kashtii na kinaara baaqii
Munawwar Hashmi
Ghazal
tishna rakhnaa kabhii bastii ko bahaa le jaanaa
yaa'nii bas qahr-e-KHudaa ho ga.e dariyaa na hu.e
Baqar Naqvi
Ghazal
kahte hai.n zaahid mirii diivaangii ko dekh kar
but-parastii ke sabab qahr-e-KHudaa naazil hu.aa
Imam Bakhsh Nasikh
Ghazal
daaG ban kar to rahaa daaman-e-qaatil pe magar
buu-e-KHuu.n bahr-e-KHudaa buu-e-vafaa ho jaanaa
Jameela Khuda Bakhsh
Ghazal
ye ishq 'jamiila' kaa ai KHizr-e-rah-e-ulfat
mahbuub ke jalve ko asraar-e-KHudaa jaanaa
Jameela Khuda Bakhsh
Ghazal
ba-qaul-e-barhaman qahr-e-KHudaa huu.n
buto.n ke husn par Dhaayaa gayaa huu.n
Hafeez Jalandhari
Ghazal
bashar jab apne muqaddar kaa aap maalik hai
to kyo.n na qahr-e-KHudaa hii ko sharmsaar karuu.n
Takht Singh
Ghazal
qahr-e-KHudaa hu.aa to ko.ii uf na kar sakaa
saare vajuud pal me.n adam kar diye ga.e
Iqbal Ahmad Khan Arif
Ghazal
dekhe mire sanam ko to rohbaan-e-ishq bhii
salle-alaa kahe kabhii shukr-e-KHudaa kare