SEARCH RESULTS
Showing search results for "qubuuliyat"
Ghazal MATCHES FOR "qubuuliyat"
Ghazal
sahuulate.n to mujhe raas hii nahii.n aatii.n
qubuuliyat kii gha.Dii me.n du.aa musiibat hai
Anjum Saleemi
Ghazal
Aftab Hussain
Ghazal
badal badal ke charaaG rakkhe hai.n taaqcho.n par
qubuuliyat kii na aa.ii saa.at mujhe ijaazat
Sayeed Ashar
Ghazal
qubuuliyat ko agar hai.n ibaadate.n darkaar
gunaah chaahiye.n rahmat ko dar-guzar ke liye
Bismil Saeedi
Ghazal
us kii qubuuliyat me.n ko.ii shak nahii.n rahaa
bheje hai.n ham ne ashk bhii ab ke du.aa ke saath
Abdul Hafeez Sahil Qadri
Ghazal
qubuuliyat kaa sabab ek ye bhii ho shaayad
du.aa ke vaqt me.n aa.nkho.n ko nam kiyaa jaa.e
Farooq Engineer
Ghazal
uThaa.o haath ki vaqt-e-qubuuliyat hai yahii
du.aa karo ki du.aa.o.n me.n ab asar jaage
Jawayd Anwar
Ghazal
bas ek umr ga.nvaa kar qubuuliyat kii 'nabiil'
tamaam umr mai.n haatho.n ko apne maltaa rahaa
Nabeel Ahmad Nabeel
Ghazal
mai.n apnii zaat ke raushan karuu.ngaa viiraane
qubuuliyat kaa zamaana to haath aane do
KHalid Malik Sahil
Ghazal
vo ek ashk jise raa.egaa.n samajhte the
qubuuliyat kaa sharaf vo du.aa me.n le aayaa
Shahbaz Khwaja
Ghazal
qubuuliyat jise kahte hai.n dau.Dii aa.egii
du'aa ke vaaste haatho.n ko tuu uThaa to sahii
Nasir Nazeer Firaq Dehlvi
Ghazal
us ne qubuuliyat kii sanad jab se dii mujhe
sab harf is kitaab se aage chale ga.e
Munazza Sahar
Ghazal
diidaar chaahtaa hai tahajjud-guzaar-e-'ishq
yaa-rab qubuuliyat kii gha.Dii tak sahar na ho
Abbas Tabish
Ghazal
bhaTak rahii hai ik umiid me.n idhar se udhar
qubuuliyat kaa khule dar to ye du'aa Thahre