SEARCH RESULTS
Showing search results for "rone-rulaane"
Ghazal MATCHES FOR "rone-rulaane"
Ghazal
ye kafan mere liye parcham-e-aazaadii hai
dosto rone rulaane kii zaruurat nahii.n hai
Zahoor Chohan
Ghazal
kyaa tire mai-kash-e-ulfat kaa ye kaifiyyat hai
dard-e-dil kar ke bayaa.n rone rulaane kaa mazaa
Jurat Qalandar Bakhsh
Ghazal
mai.n kabhii paas chalaa jaataa thaa rone ke liye
aur kabhii zehn me.n aa jaate rulaane vaale
Ahmad Tariq
Ghazal
kuchh mujh ko rulaane kii tamanna bhii thii us kii
kuchh vaqt mire paas bhii rone ke liye thaa
Shahzad Baig
Ghazal
manzuur mere rone pe ha.nsnaa agar na thaa
Gairo.n se ha.ns ke mujh ko rulaane kaa kyaa sabab
Munshi Debi Parshad Sahar Badayuni
Ghazal
auro.n ke dard-o-Gam kaa pata chal gayaa hai naa
ab to ha.nso ki ronaa rulaanaa bahut hu.aa
Farzana Parveen
Ghazal
ik to zaalim hai.n ke un ko bhii rulaate hai.n udhar
hashr par Gaur kiye ham bhii idhar rote hai.n
Amritanshu Sharma
Ghazal
afsaana-haa-e-dard sunaate chale ga.e
KHud ro.e duusro.n ko rulaate chale ga.e
Sufi Ghulam Mustafa Tabassum
Ghazal
mere rone pe ka.ii shaKHs ha.nsaa karte hai.n
ho sake aap se to mujh ko rulaate rahiye
Ved Prakash Malik Sarshar
Ghazal
rone se chain miltaa hai lekin rulaa.e kaun
ai malika-e-sukuun aziyyat bahaal kar
Mehshar Afridi
Ghazal
bahut ham ko rulaayaa maazii-o-imroz ne so ab
nashaat-e-girya aisaa hai ki mustaqbil pe rote hai.n