SEARCH RESULTS
Showing search results for "saaya-e-shajar"
Ghazal MATCHES FOR "saaya-e-shajar"
Ghazal
ka.Dii hai dhuup magar saaya-e-shajar hii nahii.n
safar hai saamne aur ko.ii ham-safar hii nahii.n
Abdul Majeed Khan Majeed
Ghazal
mubtalaa hai soch me.n ye dekh ke duniyaa 'shajar'
kyo.n musallaa chaadar-e-aab-e-ravaa.n hone lagaa
Shajar Abbas
Ghazal
samajh gayaa thaa tujhe dekhte hii jaan-e-'shajar'
hazaar baar luTe.nge jo ek baar mile.n
Muzammil Abbas Shajar
Ghazal
rahiin-e-aql ko sahraa me.n rahguzar na milii
amaa.n junuu.n ko tah-e-saaya-e-shajar na milii
Rafeeq Pilibhiti
Ghazal
ab aisii fasl me.n shaaKH o samar pe baar na ban
ye bhuul jaa ki pas-e-saaya-e-shajar kyaa thaa
Shamim Hanafi
Ghazal
jhulas rahe hai.n ka.ii jism saa.ebaano.n me.n
kis e'tibaar pe phir saaya-e-shajar me.n raho
Inam Sharar Ayyubi
Ghazal
thakan bahut thii magar saaya-e-shajar me.n 'jamaal'
mai.n baiThtaa to miraa ham-safar chalaa jaataa
Jamal Ehsani
Ghazal
Rajinder Manchanda Bani
Ghazal
falak se utregaa ham par tamaazato.n kaa azaab
agar zamii.n pe kahii.n saaya-e-shajar na rahaa
Hira Nand Soz
Ghazal
tumhaare shahr me.n sotaa huu.n paa.nv phailaa kar
ko.ii makaa.n na milaa saaya-e-shajar to milaa
Hami Gorakhpuri
Ghazal
mai.n jis se kaT ke judaa ho gayaa tanaavar thaa
hai us ke naam raqam saaya-e-shajar karnaa
syed raza
Ghazal
tamaam KHvaab the vaabasta us ke hone se
so merii aa.nkh bhii bas saaya-e-shajar me.n lagii
Fatima Hasan
Ghazal
na Gam karo jo ka.Dii dhuup kaa safar hai hayaat
jilau me.n apne ko.ii saaya-e-shajar rakkho
Malika Naseem
Ghazal
ab ke safar me.n dhuup kii dariyaa-dilii na puuchh
aur saaya-e-shajar se miraa iKHtilaaf thaa
Sultan Akhtar
Ghazal
Thahar sako to Thahar jaa.o mere pahluu me.n
vo dhuup hai ki yahii saaya-e-shajar hai bahut
Tauseef Tabassum
Ghazal
dhuup dhuup chal kar bhii jab thake na ham-raahii
kaise apnii KHaatir mai.n saaya-e-shajar maa.nguu.n
Zaheer Ghazipuri
Ghazal
talaash ho bhii to kyaa saaya-e-shajar kii mujhe
mire liye hai ye suuraj kaa saa.ebaan bahut