SEARCH RESULTS
Showing search results for "shabbo"
Ghazal MATCHES FOR "shabbo"
Ghazal
baaziicha-e-atfaal hai duniyaa mire aage
hotaa hai shab-o-roz tamaashaa mire aage
Mirza Ghalib
Ghazal
mai.n aap uThaataa huu.n shab-o-roz kii zillat
ye bojh kisii aur ko Dhone nahii.n detaa
Abbas Tabish
Ghazal
lillaah shab-o-roz kii uljhan se nikaalo
tum mere nahii.n ho to bataa kyuu.n nahii.n dete
Hasrat Jaipuri
Ghazal
ab us ke binaa yuu.n hai.n shab-o-roz hamaare
jaise ko.ii darvaaza na ho ghar me.n kisii ke
Ashfaq Husain
Ghazal
ab tuu hai muddato.n se shab-o-roz ruu-ba-ruu
kitne hii din guzar ga.e diidaar ko tire
Jaun Eliya
Ghazal
kis hasti-e-mauhuum pe naazaa.n hai tuu ai yaar
kuchh apne shab-o-roz kii hai tuj ko KHabar bhii
Mohammad Rafi Sauda
Ghazal
kin shikasto.n ke shab-o-roz se guzraa hogaa
vo musavvir jo har ik naqsh adhuuraa rakkhe
Waseem Barelvi
Ghazal
TuuTe kabhii to KHvaab-e-shab-o-roz kaa tilism
itne hujuum me.n ko.ii chehra nayaa bhii ho
Nasir Kazmi
Ghazal
umr kaa koh-e-giraa.n aur shab-o-roz mire
ye vo patthar hai jo kaTtaa nahii.n aasaanii se
Sarvat Husain
Ghazal
saa.np ke kaaTe kii lahre.n hai.n shab-o-roz aatii.n
kaakul-e-yaar ke saude ne aziyyat dii hai
Haidar Ali Aatish
Ghazal
jaltaa huu.n shab-o-roz tire Gam me.n ai saajan
ye soz tiraa mash.al-e-sozaa.n suu.n kahuu.ngaa
Wali Dakni
Ghazal
na shab-o-roz hii badle hai.n na haal achchhaa hai
kis barahman ne kahaa thaa ki ye saal achchhaa hai
Ahmad Faraz
Ghazal
jo saaya saaya shab-o-roz mere saath rahaa
galii galii me.n pata puuchhtaa phiraa us kaa
Jamal Ehsani
Ghazal
to.D Daalegii yahii KHaak tilsim-e-shab-o-roz
garche uljhii hu.ii taqdiir ke pechaak me.n hai
Allama Iqbal
Ghazal
Faiz Ahmad Faiz
Ghazal
ai zuud-faraamosh kahaa.n tuu hai ki tujh se
mere to shab-o-roz mah-o-saal ba.ndhe the