SEARCH RESULTS
Showing search results for "sinduur"
Ghazal MATCHES FOR "sinduur"
Ghazal
bas us kii maa.ng me.n sinduur bhar ke lauT aa.e
hamaare agle janam kaa chunaav aisaa thaa
Krishn Bihari Noor
Ghazal
kii nazar jis par kuduurat se rahaa KHaamosh vo
hai asar gard-e-nigaah-e-yaar me.n sinduur kaa
Ameer Minai
Ghazal
shaam jab raat kii mahfil me.n qadam rakhtii hai
bhartii hai maa.ng me.n sinduur suhaagan kii tarah
Krishn Bihari Noor
Ghazal
abhii to KHuun kaa sinduur hii lagaayaa hai
abhii kare hai vo kyaa kyaa si.ngaar dekho to
Kaleem Aajiz
Ghazal
Shabnam Shakeel
Ghazal
Aziz Bano Darab Wafa
Ghazal
maathe pe us ke dekh ke laalii sinduur kii
zaKHmo.n kii anjuman me.n hinaa le ga.ii mujhe
Iffat Zarrin
Ghazal
ham pe jab 'ishq jataane kaa savaal aataa hai
ham tirii maa.ng me.n sinduur sajaa dete hai.n
Dipak Prajapati Khaalis
Ghazal
tumhaarii maa.ng me.n si.nduur jab se dekhaa hai
hamaare saamne tanhaa.iyo.n kaa chehra hai
Ameer Qazalbash
Ghazal
jaate hu.e suuraj kii ik tirchhii nazar hii thii
tab sharm kaa sinduur thaa ab hijr kaa gesuu hai
Zaheer Siddiqui
Ghazal
aaj mai.n hii sazaa-vaar-e-jaur-o-sitam
kal tirii maa.ng kaa mai.n hii sinduur thaa
Ameen Rahat Chugtai
Ghazal
Nau Bahar Sabir
Ghazal
bahno tumhaarii maa.ng kaa si.nduur kyaa hu.aa
bachcho.n tumhaare haath me.n chaaquu kahaa.n se aa.e
Shamsuddin Ejaz
Ghazal
Shabbeer Ehram
Ghazal
sinduur us kii maa.ng me.n detaa hai yuu.n bahaar
jaise dhanak nikaltii hai abr-e-siyaah me.n
Asad Ali Khan Qalaq
Ghazal
bikhrii sinduur bharii zulfo.n me.n ruu-e-raushan
surKHi-e-shaam me.n unvaan-e-sahar bhii dekho
Shola Kararvi
Ghazal
Amit Goswami
Ghazal
khurachtaa maa.ng kaa sinduur hai jo shaKHs yahaa.n
usii ko dekhiye sarkaar kii amaan me.n hai