SEARCH RESULTS
Showing search results for "sukuunat"
Ghazal MATCHES FOR "sukuunat"
Ghazal
taa.ir-e-yaad ko kam thaa shajar-e-dil varna
be-sabab tark-e-sukuunat nahii.n kii jaa saktii
Jamal Ehsani
Ghazal
Bashir Farooqi
Ghazal
kar detaa hai be-saaKHta baa.nho.n ko kushaada
jab bach ke nikal jaane kii suurat nahii.n hotii
Akram Mahmud
Ghazal
kahii.n bhii jaa.e.n kisii shahr me.n sukuunat ho
ham apnii tarz kii aab o havaa banaate hai.n
Khurshid Talab
Ghazal
aise to ko.ii tark sukuunat nahii.n kartaa
hijrat vahii kartaa hai jo bai.at nahii.n kartaa
Abbas Tabish
Ghazal
Ashfaq Husain
Ghazal
ajiib saa.e sukuunat kiye hu.e the yahaa.n
ba.Daa sukuun milaa hai ye ghar jalaane me.n
Jahanzeb Sahir
Ghazal
sa.nvaartii rahii ghar ko magar ye bhuul ga.ii
ki muKHtasar hai ye arsa yahaa.n sukuunat kaa
Fatima Hasan
Ghazal
vo daur aayaa ki vo bhii gharo.n ko chho.D ga.e
jo sochte the ki ab mustaqil sukuunat hai
Fatima Hasan
Ghazal
tumhe.n sayyaad kahne se agar ham baaz aa jaate
hame.n bhii is tamaashe me.n sukuunat raas aa jaatii
Kaami Shah
Ghazal
raabta rakhaa na diyaa jaa-e-sukuunat kaa pata
is tarah bhii hai ko.ii naql-e-makaanii hotii
Maryam Naz
Ghazal
Irfan Abidi mantvi
Ghazal
aashiyaano.n kii sukuunat ke maze luuTe.nge
jo parinde KHas-o-KHaashaak liye phirte hai.n
Ameen Inamdar
Ghazal
zamii.n vaalo.n kii bastii me.n sukuunat chaahtii hai
mirii fitrat sitaaro.n se ijaazat chaahtii hai
Ahmad Ashfaq
Ghazal
Naseer Ahmad Ansari
Ghazal
ye kaisaa tark-e-sukuunat kaa e'tibaar uThaa
safar me.n ruuh-e-safar hijrato.n ko rotii hai
Khwaja Razi Haidar
Ghazal
kisii taa'biir kii suurat me.n nikal aate hai.n
apne KHvaabo.n me.n sukuunat nahii.n kar sakte ham
Sarfraz Zahid
Ghazal
kyaa ho taskiin jo ho terii sukuunat dil me.n
rahe aaGosh me.n yaa pyaar kii suurat dil me.n