SEARCH RESULTS
Showing search results for "tag"
Ghazal MATCHES FOR "tag"
Ghazal
har ik maqaam se aage guzar gayaa mah-e-nau
kamaal kis ko mayassar hu.aa hai be-tag-o-dau
Allama Iqbal
Ghazal
manzile.n gard kii maanind u.Dii jaatii hai.n
ablaq-e-dahr kuchh andaaz-e-tag-o-taaz to de
Firaq Gorakhpuri
Ghazal
is tag-o-taaz me.n TuuTe hai.n sitaare kitne
aasmaa.n jiit sakaa hai na zamii.n haarii hai
Shahzad Ahmad
Ghazal
ba-gumaan-e-qat'-e-zahmat na do chaar KHaamushii ho
ki zabaan-e-surma-aaluud nahii.n teG-e-asfahaanii
Mirza Ghalib
Ghazal
goyaa zamiin kam thii tag-o-taaz ke liye
paimaa.ish-e-nujuum-o-qamar kar rahe hai.n ham
Ahmad Mushtaq
Ghazal
Ismail Merathi
Ghazal
achchhe mausam me.n tag-o-taaz bhii kar letaa huu.n
par nikal aate hai.n parvaaz bhii kar letaa huu.n
Anjum Saleemi
Ghazal
kaise hai.n ye armaan ye kaavish ye tag-o-dau
manzil nahii.n ma.aluum to ghar kyuu.n nahii.n jaate
Husain Taj Rizvi
Ghazal
din bhar kisii diivaar ke saa.e me.n tag-o-taaz
shab justujuu-e-chaadar-e-mahtaab me.n rahnaa
Ahmad Javaid
Ghazal
garche hai.n muunis-o-Gam-KHvaar tag-o-dau me.n sahii
par tirii tab' ko kab raah pe laa sakte hai.n
Insha Allah Khan Insha
Ghazal
kuchh to rah jaa.e tag-o-taaz talab me.n baaqii
vahm apnaa rahe yaa us kaa gumaa.n rah jaa.e
Zafar Iqbal
Ghazal
vo apne aap mil gayaa taqdiir me.n jo thaa
ham ne tamaam umr-e-tag-o-dau fuzuul kii
Mehdi Pratapgarhi
Ghazal
is ke halqe me.n tag-o-taaz kii vus.at hai bahut
aahuu-e-shahr mirii baa.nho.n kii zanjiir me.n aa
Irfan Siddiqi
Ghazal
kaarvaan-e-shauq jis ko zindagii kahte ho tum
is tag-o-dau ke jilau me.n hii sadaa rahtaa huu.n mai.n
Jameel Yusuf
Ghazal
mai.n dozaKH-e-jaa.n me.n bhii rahaa mahv-e-tag-o-taaz
yuu.n kahne ko is 'umr kaa har lamha nayaa hai
Arsh Siddiqui
Ghazal
jo tag-o-dau se tirii haasil hu.aa
rakh kuchh us kii bhii KHabar aahista chal
Wali Alam Shaheen
Ghazal
KHas-KHaana-e-afkaar me.n kuchh bhii to nahii.n thaa
chand ek sharaare the aur un kii tag-o-dau thii
Akhtar Usman
Ghazal
tausan-e-naaz ko phe.nke hai vo jis dam sarpaT
log kyaa kyaa na tag-o-taaz me.n mar jaate hai.n