SEARCH RESULTS
Showing search results for "tahriir"
Ghazal MATCHES FOR "tahriir"
Ghazal
pahle qaasid kii nazar dekh ke dil sahm gayaa
phir tirii surKHi-e-tahriir pe ronaa aayaa
Shakeel Badayuni
Ghazal
naqsh fariyaadii hai kis kii shoKHi-e-tahriir kaa
kaaGzii hai pairahan har paikar-e-tasviir kaa
Mirza Ghalib
Ghazal
chamakne vaalii hai tahriir merii qismat kii
ko.ii charaaG kii lau ko zaraa saa kam kar de
Bashir Badr
Ghazal
muntazir kab se tahayyur hai tirii taqriir kaa
baat kar tujh par gumaa.n hone lagaa tasviir kaa
Ahmad Faraz
Ghazal
paa-ba-gil sab hai.n rihaa.ii kii kare tadbiir kaun
dast-basta shahr me.n khole mirii zanjiir kaun
Parveen Shakir
Ghazal
bijlii ik kau.nd ga.ii aa.nkho.n ke aage to kyaa
baat karte ki mai.n lab-tishna-e-taqriir bhii thaa
Mirza Ghalib
Ghazal
ik ibaarat hai jo tahriir nahii.n ho paa.ii
mujh ko likhtaa hu.aa tuu tujh ko miTaataa hu.aa mai.n
Ammar Iqbal
Ghazal
yuu.n pyaar nahii.n chhuptaa palko.n ke jhukaane se
aa.nkho.n ke lifaafo.n me.n tahriir chamaktii hai
Bashir Badr
Ghazal
tahriir se varna mirii kyaa ho nahii.n saktaa
ik tuu hai jo lafzo.n me.n adaa ho nahii.n saktaa
Waseem Barelvi
Ghazal
Ibn e Insha
Ghazal
merii tahriir-e-nadaamat kaa na diije kuchh javaab
dekh liije aur taGaaful-aashnaa ho jaa.iye
Hasrat Mohani
Ghazal
zulf tahriir-e-pareshaan-e-taqaazaa hai magar
shaana-saa.n muu-ba-zabaa.n KHaama-e-maanii maa.nge
Mirza Ghalib
Ghazal
nuquush paa.nv ke likhte hai.n manzil-e-naa-yaaft
miraa safar to hai tahriir merii raaho.n me.n
Fahmida Riaz
Ghazal
tahriir o guftuguu me.n kise Dhuu.nDte hai.n log
tasviir me.n bhii shakl hamaarii na aa.egii
Bashir Badr
Ghazal
dariyaa-e-ashk se dam-e-tahriir haal-e-dil
kashtii kii tarah meraa qalam-daan bah gayaa
Shaikh Ibrahim Zauq
Ghazal
chehre pe us ke ashk kii tahriir ban ga.ii
vo aa.nkh mere dard kii tafsiir ban ga.ii
Saleem Betab
Ghazal
aa.nkh rakhte ho to us aa.nkh kii tahriir pa.Dho
mu.nh se iqraar na karnaa to hai 'aadat us kii