SEARCH RESULTS
Showing search results for "tambiih"
Ghazal MATCHES FOR "tambiih"
Ghazal
us ko dushman se kyaa bachaa.e vo charKH
jis ne tadbiir-e-KHasf-e-maah na kii
Momin Khan Momin
Ghazal
yahii tambiih milne par unhe.n majbuur kartii hai
yahii taakiid goyaa zid kii baanii hotii jaatii hai
Muztar Khairabadi
Ghazal
ek tausii.a jo qismat kii lakiiro.n me.n rahe
ek tambiih jo bedaar zamiiro.n me.n rahe
Jaleel 'Aali'
Ghazal
KHvaahish hai miraa raqs-e-junuu.n dekhe zamaana
aur us kii hai tambiih tamaashaa nahii.n karnaa
Khursheed Ambar Pratapgadhi
Ghazal
tambiih kii thii dil kii dahan bhii siye magar
mai.n kyaa karuu.n ki diida-e-nam bolne lage
Husain Taj Rizvi
Ghazal
KHuub sii tambiih karnaa ai judaa.ii tuu mujhe
gar kisii se phir kabhii qasd aashnaa.ii kaa karuu.n
Bayan Ahsanullah Khan
Ghazal
Nazr Fatmi
Ghazal
Manohar Sahaye Anwar
Ghazal
Munawwar Lakhnavi
Ghazal
umr guzrii in buto.n ke vasl kii tadbiir me.n
kyaa KHabar mujh ko ye patthar the mirii taqdiir me.n
Aashiq Husain Bazm Afandi
Ghazal
kahaaniyaa.n hii sahii sab mubaalGe hii sahii
agar vo KHvaab hai taabiir kar ke dekhte hai.n
Ahmad Faraz
Ghazal
mai.n ne dekhaa hai bahaaro.n me.n chaman ko jalte
hai ko.ii KHvaab kii taabiir bataane vaalaa
Ahmad Faraz
Ghazal
ye kis kaa tasavvur hai ye kis kaa fasaanaa hai
jo ashk hai aa.nkho.n me.n tasbiih kaa daanaa hai
Jigar Moradabadi
Ghazal
apnii ta.abiir ke chakkar me.n miraa jaagtaa KHvaab
roz suuraj kii tarah ghar se nikal pa.Dtaa hai
Rahat Indori
Ghazal
ek hii baar nazar pa.Dtii hai un par 'taabish'
aur phir vo hii lagaataar nazar aate hai.n