SEARCH RESULTS
Showing search results for "toko"
Ghazal MATCHES FOR "toko"
Ghazal
KHudaa ke vaaste is ko na Toko
yahii ik shahr me.n qaatil rahaa hai
Mazhar Mirza Jaan-e-Janaan
Ghazal
mire yaqiin kii ma.asuumiyat ko mat Toko
mirii nigaah me.n har naqsh ik tamaashaa hai
Akhtar Saeed Khan
Ghazal
na Toko dosto us kii bahaar naam-e-KHudaa
yahii ab ek hai yaa.n gul-ezaar naam-e-KHudaa
Nazeer Akbarabadi
Ghazal
Inamullah Khan Yaqeen
Ghazal
Toko unhe.n na laGzish-e-guftaar dekh kar
ye log vo hai.n jin ko KHudaa-e-hunar kahe.n
Urfi Aafaqi
Ghazal
KHat Gair kaa pa.Dhte the jo Tokaa to vo bole
aKHbaar kaa parcha hai KHabar dekh rahe hai.n
Dagh Dehlvi
Ghazal
mere jhuuT ko tolo bhii aur kholo bhii tum
lekin apne sach ko bhii miizaan me.n rakhnaa
Ahmad Faraz
Ghazal
mere jhuuT ko kholo bhii aur tolo bhii tum
lekin apne sach ko bhii miizaan me.n rakhnaa
Ahmad Faraz
Ghazal
kyaa jur.ate.n jo ham ko darbaa.n tumhaaraa Toke
kah do ki ye to jaane-pahchaane aadmii hai.n
Dagh Dehlvi
Ghazal
muKHlis ho raho Tokaa hai kis ne tumhe.n 'anjum'
raftaar-e-zamaana bhii magar dhyaan me.n rakhnaa
Anjum Khaleeq
Ghazal
phuul khile hai.n likhaa hu.aa hai to.Do mat
aur machal kar jii kahtaa hai chho.Do mat
Ameeq Hanafi
Ghazal
sham.a ho faanuus se baahar to gul ho jaa.egii
bandish-e-alfaaz mat to.Do ma.aanii ke liye
Sajjad Baqar Rizvi
Ghazal
aa.nkh se aa.nkh milaanaa to suKHan mat karnaa
Tok dene se kahaanii kaa mazaa jaataa hai
Mohsin Asrar
Ghazal
qalam ne Tokaa bhii dil kii sadaa ne rokaa bhii
magar jo us ne kahaa mai.n ne de diyaa likh kar
Shahzad Ahmad
Ghazal
mirii zaraa sii chamak ko ka.Dak ne Tok diyaa
savaal tujh se kiyaa thaa javaab us kaa thaa