SEARCH RESULTS
Showing search results for "آسمان"
Ghazal MATCHES FOR "آسمان"
Ghazal
paro.n ko khol zamaana u.Daan dekhtaa hai
zamii.n pe baiTh ke kyaa aasmaan dekhtaa hai
Shakeel Azmi
Ghazal
Nasir Kazmi
Ghazal
tuu aasmaan kii suurat hai gar pa.Degaa kabhii
zamii.n huu.n mai.n bhii magar tujh ko aasraa duu.ngaa
Mohsin Naqvi
Ghazal
karte ho mujh ko man.a-e-qadam-bos kis liye
kyaa aasmaan ke bhii baraabar nahii.n huu.n mai.n
Mirza Ghalib
Ghazal
dekhe hai.n ham ne daur ka.ii ab KHabar nahii.n
paa.o.n tale zamiin hai yaa aasmaan hai
Dushyant Kumar
Ghazal
Obaidullah Aleem
Ghazal
jab bhii nazar uThii to falak kii taraf uThii
bar-gashta aasmaan se goyaa na tuu na mai.n
Khalid Ahmad
Ghazal
chaaro.n taraf se mujh pe zamii.n ta.ng kii ga.ii
kahne ko aasmaan me.n rakkhaa gayaa mujhe
Jahangeer nayab
Ghazal
jab tak thaa aasmaan me.n suuraj sabhii kaa thaa
phir yuu.n hu.aa vo chand makaano.n me.n baT gayaa
Nida Fazli
Ghazal
tanhaa mire sataane ko rah jaa.e kyuu.n zamii.n
ai aasmaan tuu bhii utar aa mazaar me.n
Seemab Akbarabadi
Ghazal
kab aasmaan kaa phahTtaa hai dil ye dekhnaa hai
badal rahii hai.n mirii siskiyaa.n karaaho.n me.n
Jahangeer nayab
Ghazal
paivand baadalo.n ke lage dekh jaa-ba-jaa
baglo.n ko aasmaan katarte hu.e bhii dekh