aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "'sehr'"
tumhaarii jo hamaasa hai bhalaa us kaa to kyaa kahnaahai shaayad mujh ko saarii umr us ke sehr me.n rahnaamagar mere Gariib ajdaad ne bhii kuchh kiyaa hogaabahut tuchchaa sahii un kaa bhii ko.ii maajraa hogaaye ham jo hai.n hamaarii bhii to hogii ko.ii nauTa.nkiihamaaraa KHuun bhii sach-much kaa sehne par bahaa hogaahai aaKHir zindagii KHuun az-bun-e-naaKHun bar-aavar-tarqayaamat saaneha matlab qayaamat faaje.a parvar
shaam ho jaatii haimai.n phir se lagaataa huu.n sadaamuft le lo muft, ye sone ke KHvaab''''muft'' sun kar aur Dar jaate hai.n logaur chupke se sarak jaate hai.n log''dekhnaa ye ''muft'' kahtaa haiko.ii dhokaa na ho?aisaa ko.ii sho.abada pinhaa.n na ho?ghar pahu.nch kar TuuT jaa.e.nyaa pighal jaa.e.n ye KHvaab?bhak se u.D jaa.e.n kahii.nyaa ham pe ko.ii sehr kar Daale.n ye KHvaabjii nahii.n kis kaam ke?aise kabaa.Dii ke ye KHvaabaise naa-biinaa kabaa.Dii ke ye KHvaab!''
ai dekhne vaalois husn ko dekhois raaz ko samjhoye naqsh-e-KHayaaliiye fikrat-e-aaliiye paikar-e-tanviirye krishn kii tasviirma.anii hai ki suuratsan.at hai ki fitratzaahir hai ki mastuurnazdiik hai yaa duurye naar hai yaa nuurduniyaa se niraalaaye baa.nsurii vaalaagokul kaa gvaalaahai sehr ki e.ajaazkhultaa hii nahii.n raazkyaa shaan hai vallaahkyaa aan hai vallaahhairaan huu.n kyaa haiik shaan-e-KHudaa haibut-KHaane ke andarKHud husn kaa but-garbut ban gayaa aa karvo turfa nazzaareyaad aa ga.e saarejamunaa ke kinaaresabze kaa lahaknaaphuulo.n kaa mahaknaaghanghor ghaTaa.e.nsarmast havaa.e.nma.asuum uma.nge.nulfat kii tara.nge.nvo gopiyo.n ke saathhaatho.n me.n diye haathraqsaa.n hu.aa brijnaathbansii me.n jo lai hainashsha hai na mai haikuchh aur hii shai haiik ruuh hai raqsaa.nik kaif hai larzaa.nek aql hai mai-noshik hosh hai mad.hoshik KHanda hai sayyaalik girya hai KHush-haalik ishq hai maGruurik husn hai majbuurik sehr hai mas.huurdarbaar me.n tanhaalaachaar hai kirishnaaaa shyaam idhar aasab ahl-e-KHusuumathai.n dar pa.e izzatye raaj dulaarebuzdil hu.e saareparda na ho taaraajbekas kii rahe laajaa jaa mere kaalebhaarat ke ujaaledaaman me.n chhupaa levo ho ga.ii an-banvo garm hu.aa ranGaalib hai duryodhanvo aa ga.e jagdiishvo miT ga.ii tashviisharjun ko bulaayaaupdesh sunaayaaGam-zaad kaa Gam kyaaustaad kaa Gam kyaalo ho ga.ii tadbiirlo ban ga.ii taqdiirlo chal ga.ii shamshiirsiirat hai aduu-sozsuurat nazar-afrozdil kaifiyat-andozGusse me.n jo aa jaa.ebijlii hii giraa jaa.eaur lutf par aa.eto ghar bhii luTaa jaa.epariyo.n me.n hai gulfaamraadhaa ke liye shyaambalraam kaa bhayyaamathuraa kaa basayyaabindraa me.n kanhayyaaban ho ga.e viiraa.nbarbaad gulistaa.nsakhiyaa.n hai.n pareshaa.njamunaa kaa kinaaraasunsaan hai saaraatuufaan hai.n KHaamoshmaujo.n me.n nahii.n joshlau tujh se lagii haihasrat hii yahii haiai hind ke raajaaik baar phir aa jaadukh dard miTaa jaaabr aur havaa sebulbul kii sadaa sephuulo.n kii ziyaa sejaaduu-asarii gumshoriida-sarii gumhaa.n terii judaa.iimathuraa ko na bhaa.iituu aa.e to shaan aa.etuu aa.e to jaan aa.eaanaa na akeleho.n saath vo melesakhiyo.n ke jhamele
jahaa.n-zaadek tuu aur ek vo aur ek mai.nye tiin zaaviye kisii musallas-e-qadiim kehamesha ghuumte raheki jaise meraa chaak ghuumtaa rahaamagar na apne-aap kaa ko.ii suraaG paa sakemusallas-e-qadiim ko mai.n to.D, duu.n jo tuu kahe, magar nahii.njo sehr mujh pe chaak kaa vahii hai is musallas-e-qadiim kaanigaahe.n mere chaak kii jo mujh ko dekhtii hai.nghuumte hu.esubuu-o-jaam par tiraa badan tiraa hii rang terii naazukiibaras pa.Diivo kiimiyaa-garii tire jamaal kii baras pa.Diimai.n sail-e-nuur-e-andruu.n se dhul gayaa!mire daro.n kii KHalq yuu.n galii galii nikal pa.Diiki jaise sub.h kii azaa.n sunaa.ii dii!tamaam kuuze bante bante 'tuu' hii ban ke rah ga.enashaat is visaal-e-rah-guzar kii naa-gahaa.n mujhe nigal ga.iiyahii pyaala-o-suraahii-o-subuu kaa marhala hai voki jab KHamiir-e-aab-o-gil se vo judaa hu.eto un ko samt-e-raah-e-nau kii kaamraaniyaa.n mile.nmai.n ik Gariib kuuza-garye intihaa-e-maarifatye har pyaala-o-suraahii-o-subuu kii intihaa-e-maarifatmujhe ho is kii kyaa KHabar?
mere bayaa.n me.n sehr-bayaanii tujhii se hairuu-e-suKHan pe KHuun-e-javaanii tujhii se hailafzo.n me.n raqs-o-ra.ng-o-ravaanii tujhii se haifaqr-e-gadaa me.n farr-e-kiyaanii tujhii se haifidvii ke is uruuj pe kartii hai Gaur kyaaterii hii juutiyo.n kaa tasadduq hai aur kyaa
vo ek tarz-e-suKHan kii KHushbuuvo ek mahkaa hu.aa takallumlabo.n se jaise gulo.n kii baarishki jaise jharnaa saa gir rahaa hoki jaise KHushbuu bikhar rahii hoki jaise resham ulajh rahaa hoajab balaaGat thii guftuguu me.nravaa.n thaa dariyaa fasaahato.n kaavo ek maktab thaa aagahii kaavo ilm-o-daanish kaa mai-kada thaavo qalb aur zehn kaa tasaadumjo guftuguu me.n ravaa.n-davaa.n thaavo us ke alfaaz kii ravaaniivo us kaa ruk ruk ke baat karnaavo sho.ala-e-lafz aur ma.aaniikahii.n lapaknaa kahii.n ThaharnaaThahar ke phir vo kalaam karnaabahut se jazbo.n kii parda-daariibahut se jazbo.n ko aam karnaajo mai.n ne puuchhaaguzishta shab ke mushaa.ere me.n bahut se shaidaa.ii muntazir themujhe bhii ye hii pata chalaa thaa ki aap tashriif laa rahe hai.nmagar hu.aa kyaazaraa tavaqquf ke baa'd bole nahii.n gayaa mai.nna jaa sakaa mai.nsuno hu.aa kyaamai.n KHud ko maa.il hii kar na paayaaye merii haalat merii tabii.atphir us pe merii ye bad-mizaajii-o-bad-havaasiiye vahshat-e-dilmiyaa.n haqiiqat hai ye bhii sun lo ki ab hamaare mushaa.ere bhiinahii.n hai.n un vahshato.n ke haamiljo merii taqdiir ban chukii hai.njo merii tasviir ban chukii hai.njo merii taqsiir ban chukii hai.nphir ik tavaqqufki jis tavaqquf kii kaifiyat par garaa.n samaa.at guzar rahii thiius ek saa.at kaa haath thaame ye ik vazaahat guzar rahii thiiadab-farosho.n ne jaahilo.n ne mushaa.ere ko bhii ik tamaasha banaa diyaa haiGazal kii taqdiis luuT lii hai adab ko mujraa banaa diyaa haisuKHan-varo.n ne bhii jaane kyaa kyaa hamaare hisse me.n rakh diyaa haisitam to ye hai ki chiiKH ko bhii suKHan ke zumre me.n rakh diyaa haiilaahii taubasamaa.ato.n me.n KHaraashe.n aane lagii hai.n ab aur shigaaf zehno.n me.n pa.D ga.e hai.nmiyaa.n hamaare qadam to kab ke zamii.n me.n KHiffat se ga.D ga.e hai.nKHamoshiyo.n ke dabiiz kohre se chand lamho.n kaa phir guzarnaavo jaise KHud ko udaasiyo.n ke samundaro.n me.n talaash karnaavo jaise phir surma.ii ufuq par sitaare alfaaz ke ubharnaaye zindagii se jo be-niyaazii hai kis liye haiye roz-o-shab kii jo bad-havaasii hai kis liye haibas itnaa samjhoki KHud ko barbaad kar chukaa huu.nsuKHan to aabaad KHair kyaa homagar jahaa.n dil dha.Dak rahe ho.n vo shahr aabaad kar chukaa huu.nbachaa hii kyaa haithaa jis ke aane kaa KHauf mujh ko vo ek saa.at guzar chukii haivo ek saf.ha ki jis pe likkhaa thaa zindagii ko vo kho chukaa haikitaab-e-hastii bikhar chukii haipa.Dhaa thaa mai.n ne bhii zindagii komagar tasalsul nahii.n thaa us me.nidhar-udhar se yahaa.n vahaa.n se ajab kahaanii ga.Dhii ga.ii thiisamajh me.n aa.ii na is liye bhii ke darmiyaa.n se pa.Dhii ga.ii thiisamajhtaa kaisena falsafii mai.n na ko.ii aalimuquubato.n ke safar pe niklaa mai.n ik sitaara huu.n aagahii kaaajal ke haatho.n me.n haath Daale ik isti.aara huu.n zindagii kaaitaab naazil hu.aa hai jis par mai.n vo hii ma.atuub aadmii huu.nsitamgaro.n ko talab hai jis kii mai.n vo hii matluub aadmii huu.nkabhii mohabbat ne ye kahaa thaa mai.n ek mahbuub aadmii huu.nmagar vo zarb-e-jafaa pa.Dii hai ki ek mazruub aadmii huu.nmai.n ek bekal saa aadmii huu.n bahut hii bojhal saa aadmii huu.nsamajh rahii hai ye duniyaa mujh ko mai.n ek paagal saa aadmii huu.nmagar ye paagal ye niim-vahshii KHirad ke maaro.n se muKHtalif haijo kahnaa chaahaa thaa kah na paayaakahaa gayaa jo use ye duniyaa samajh na paa.iina baat ab tak kahii ga.ii haina baat ab tak sunii ga.ii haisharaab-o-sh.er-o-shu.uur kaa jo ik ta'alluq hai us ke baare me.n raa.e kyaa haisunaa hai ham ne ki aap par bhii bahut se fatve lage hai.n lekinsharaab-noshii haraam hai toye mas.ala bhii ba.Daa ajab haimai.n ek mai-kash huu.n ye to sach haimagar ye mai-kash kabhii kisii ke lahuu se sairaab kab hu.aa haihamesha aa.nsuu piye hai.n us ne hamesha apnaa lahuu piyaa haiye bahs chho.Do haraam kyaa hai halaal kyaa hai azaab kyaa hai savaab kyaa haisharaab kyaa haiaziyyato.n se najaat hai ye hayaat hai yesharaab-o-shab aur shaa.irii ne ba.Daa sahaaraa diyaa hai mujh kosambhaal rakkhaa sharaab ne aur rahii hai mohsin ye raat meriiisii ne mujh ko diye dilaase sunii hai is ne hii baat meriihamesha mere hii saath jaagii hamesha mere hii saath so.iimai.n KHush hu.aa to ye muskuraa.ii mai.n ro diyaa to ye saath ro.iiye sher-go.ii hai KHud-kalaamii kaa ik zariiyaisii zariiye isii vasiile se mai.n ne KHud se vo baate.n kii hai.njo duusro.n se mai.n kah na paayaaharaam kyaa hai halaal kyaa hai ye sab tamaashe hai.n muftiyo.n keye saare fitne hai.n maulvii keharaam kar dii thii KHud-kushii bhii ki apnii marzii se mar na paa.eye mai-kashii bhii haraam Thahrii ki ham ko apnaa lahuu bhii piine kaa haq nahii.n haiki apnii marzii se ham ko jiine kaa haq nahii.n haikise bataa.e.nzamiir-o-zarf-e-bashar pe mauquuf hai.n masaa.ilsamundaro.n me.n u.nDel jitnii sharaab chaahena harf paanii pe aa.egaa aur na us kii taqdiis KHatm hogiito mai-kashii ko haraam kahne se pahle dekhoki piine vaale kaa zarf kyaa hai hai.n kis ke haatho.n me.n jaam-o-miinaaye nukta-sanjii ye nukta-daanii jo maulvii kii samajh me.n aatii to baat bantiina diin-o-maz.hab ko jis ne samjhaa na jis ne samjhaa hai zindagii kotahuuraa piine kii baat kar ke haraam kahtaa hai mai-kashii kojo diin-o-maz.hab kaa zikr aayaa to mai.n ne puuchhaaki is havaale se raa.e kyaa haiye KHud-parastii KHudaa-parastii ke darmiyaa.n kaa jo faasla haijo ik KHalaa hai ye kyaa balaa haiye diin-o-maz.hab faqat kitaabe.nba-juz kitaabo.n ke aur kyaa haikitaabe.n aisii jinhe.n samajhne kii koshishe.n kam hai.n aur ziyaada pa.Dhaa gayaa haikitaabe.n aisii ki aam insaa.n ko in ke pa.Dhne kaa haq hai lekininhe.n samajhne kaa haq na hargiz diyaa gayaa haiki in kitaabo.n pe diin-o-maz.hab ke Thekedaar ijaara-daaro.n kii dastaras haiisii liye to ye diin-o-maz.hab fasaad-o-fitna bane hu.e hai.nye diin-o-maz.habjo ilm-o-hikmat ke saath ho to sukuun hogaajo dastaras me.n ho jaahilo.n kii junuun hogaaye ishq kyaa hai ye husn kyaa haiye zindagii kaa javaaz kyaa haiye tum ho jii jii ke mar rahe ho ye mai.n huu.n mar mar ke jii rahaa huu.nye raaz kyaa haihai kyaa haqiiqat majaaz kyaa haisivaa.e KHvaabo.n ke kuchh nahii.n haiba-juz saraabo.n ke kuchh nahii.n haiye ik safar hai tabaahiyo.n kaa udaasiyo.n kii ye rahguzar haina is ko duniyaa kaa ilm ko.ii na is ko apnii ko.ii KHabar haikabhii kahii.n par nazar na aa.e kabhii har ik shai me.n jalva-gar haikabhii ziyaa.n hai kabhii zarar haina KHauf is ko na kuchh KHatar haikabhii KHudaa hai kabhii bashar haihu.aa haqiiqat se aashnaa to ye suu-e-daar-o-rasan gayaa haikabhii ha.nsaa hai ye zer-e-KHanjar kabhii ye suulii pe ha.ns diyaa haikabhii ye gulnaar ho gayaa hai sinaa.n pe guftaar ho gayaa haikabhii hu.aa hai ye Garq-e-dariyaakabhii ye taqdiir-e-dasht-o-sahraaraqam hu.aa hai ye aa.nso.o.n me.nkabhii lahuu ne hai is ko likkhaahikaayat-e-dil hikaayat-e-jaa.n hikaayat-e-zindagii yahii haiagar saliiqe se likkhii jaa.e ibaarat-e-zindagii yahii haiye husn hai us dhanak kii suuratki jis ke ra.ngo.n kaa falsafa hii kabhii kisii par nahii.n khulaa haiye falsafa jo fareb-e-paiham kaa silsila haiki is ke ra.ngo.n me.n ik ishaara hai be-ruKHii kaaik isti.aara hai zindagii kaakabhii alaamat hai shoKHiyo.n kiikabhii kinaaya hai saadgii kaabadalte mausam kii kaifiyat ke hai.n rang pinhaa.n isii dhanak me.nkashish sharaarat-o-jaazbiyyat ke shoKH ra.ngo.n ne is dhanak ko ajiib paikar ataa kiyaa hai ik aisaa manzar ataa kiyaa haiki jis ke sehr-o-asar me.n aa karlahuu bahut aa.nkhe.n ro chukii hai.n bahut to biinaa.ii kho chukii hai.nbasaarte.n kyaa basiirate.n bhii to aql-o-daanaa.ii kho chukii hai.nna jaane kitne hii rang maKHfii hai.n is dhanak me.nbas ek ra.ng-e-vafaa nahii.n hai.nis ek ra.ngat kii aarzuu ne lahuu rulaayaa hai aadmii koyahii bataayaa hai aagahii koye ik chhalaavaa hai zindagii kaahasiin dhoka hai zindagii kaamagar muqaddar hai aadmii kaafareb-e-gandum samajh me.n aayaa to mai.n ne jaanaaye ishq kyaa hai ye husn kyaa haiye ek laGzish hai jis ke dam se hayaat-e-nau kaa bharam khulaa hai
is tarah hai ki har ik pe.D ko.ii mandir haiko.ii uj.Daa hu.aa, be-nuur puraanaa mandirDhuu.nDhtaa hai jo KHaraabii ke bahaane kab sechaak-e-har-baam har ik dar kaa dam-e-aaKHir haiaasmaa.n ko.ii purohit hai jo har baam-talejism par raakh male maathe pe sinduur malesar-niguu.n baiThaa hai chup-chaap na jaane kab seis tarah hai ki pas-e-parda ko.ii saahir haijis ne aafaaq pe phailaayaa hai yuu.n sehr kaa daamdaaman-e-vaqt se paivast hai yuu.n daaman-e-shaamab kabhii shaam bujhegii na a.ndheraa hogaaab kabhii raat Dhalegii na saveraa hogaa
us kii daanaa.ii kaa haasil naaKHuun-e-uqda-kushaataabnaaki-e-zamiir-o-ziirakii kaa aaftaabchaahne vaalo.n kaa us kii zikr hii kyaa kiijiyeus ke dushman bhii sirhaane rakhte hai.n us kii kitaabmaaddii taariiKH-e-aalam jis kii taaliif-e-aziimtaas kaipiTaal hai yaa ziist kaa lubb-e-lubaabpa.Dh ke jis ke ho ga.ii.n hushyaar aqvaam-e-Gulaamishtiraakii falsafa kaa khul gayaa har dil me.n baabkitne dozaKH us ke ik manshuur se jannat banekitne sahraa.o.n ko jis ne kar diyaa shahr-e-gulaabmarx ne science o insaa.n ko kiyaa hai ham-kanaarzehn ko baKHshaa shu.uur-e-zindagaanii kaa nisaabus kii biinish us kii vajdaanii-nigaah-e-haq-shanaaskar ga.ii jo chehra-e-iflaas-e-zar ko be-naqaab'Gasab-e-ujrat' ko diyaa 'sarmaayaa' kaa jis ne laqabbe-hisaab us kii basiirat us kii mantiq laa-javaabaaftaab taaza kii us ne bashaarat dii hame.nus kii har peshan-go.ii hai barafganda naqaabko.ii quvvat us kii sadd-e-raah ban saktii nahii.nvaqt kaa farmaan jab aataa hai ban kar inqilaabahl-e-daanish kaa rajaz aur siina-e-dahqaa.n kii Dhaallashkar mazduur ke hai.n ham-safiir o ham-rikaabkaaTtii hai sehr-e-sultaanii ko jab muusaa kii zarbsatvat-e-firaun ho jaatii hai az KHud Garq-e-aabaaj kii fir.auniyat bhii kuchh isii andaaz serafta rafta hotii jaa.egii shikaar-e-inqilaabla.D rahaa hai ja.ng aaKHir kiisa-e-sarmaaya-daarjauhrii hathiyaar se kartaa nahii.n jo ijtinaabapne mustaqbil se taaGuutii tamaddun ko hai yaasdiidanii hai dushman-e-insaaniyat kaa iztiraabhazrat-e-iqbaal kaa ibliis-e-kochak KHauf selarza-bar-andaam yuu.n shaitaa.n se kartaa hai KHitaabpanDit o mullaa o raahib be-zarar Thahre magarTuuTne vaalaa hai tujh par ik yahuudii kaa itaabvo kaliim-e-be-tajallii vo masiih-e-be-saliibniist paiGambar o lekin dar baGal daarad kitaab
maazii kii Dev.Dhii kii chilmankhule dariiche kii jaalii sechhan chhan aa.e.nruup kii jot hinaa kii laalii kal kii yaade.nsau.ndhii KHushbuu ThanDii buu.nde.nkal ke baasii aa.nsuu jin sefardaa ke baalii.n kaa pardaa bhiig rahaa haisehr-zada mahbuus hasiinasapno.n ke shiilaaT kii raaniiaa.iino.n me.n husn-e-shikasta dekh rahii haikitne chehre TuuTe TuuTepahchaane an-pahchaane seaage piichhe aage piichhe bhaag rahe hai.nqil.e ke aaseb kii suurat kis kii siskii kis kaa naalakamre kii KHaamosh fazaa me.n dar aayaa hai
chho.D de mutrib bas ab lillaah piichhaa chho.D dekaam kaa ye vaqt hai kuchh kaam karne de mujheterii taano.n me.n hai zaalim kis qayaamat kaa asarbijliyaa.n sii gir rahii hai.n KHirman-e-idraak parye KHayaal aataa hai rah rah kar dil-e-betaab me.nbah na jaa.uu.n phir tire naGmaat ke sailaab me.nchho.D kar aayaa huu.n kis mushkil se mai.n jaam-o-subuu!aah kis dil se kiyaa hai mai.n ne KHuun-e-aarzuuphir shabistaan-e-tarab kii raah dikhlaataa hai tuumujh ko karnaa chaahtaa hai phir KHaraab-e-ra.ng-o-buumai.n ne maanaa vajd me.n duniyaa ko laa saktaa hai tuumai.n ne ye maanaa Gam-e-hastii miTaa saktaa hai tuumai.n ne ye maanaa Gam-e-hastii miTaa saktaa hai tuumai.n ne maanaa terii mausiiqii hai itnii pur-asarjhuum uThte hai.n farishte tak tire naGmaat parhaa.n ye sach hai zamzame tere machaate hai.n vo dhuumjhuum jaate hai.n manaazir, raqs karte hai.n nujuumtere hii naGme se vaabasta nashaat-e-zindagiitere hii naGme se kaif-o-imbisaat-e-zindagiiterii saut-e-sarmadii baaG-e-tasavvuf kii bahaartere hii naGmo.n se be-KHud aabid-e-shab-zinda-daarbulbule.n naGma-saraa hai.n terii hii taqliid me.ntere hii naGmo.n se dhuume.n mahfil-e-naahiid me.nmujh ko tere sehr-e-mausiiqii se kab inkaar haimujh ko tere lahn-e-daa.uudii se kab inkaar haibazm-e-hastii kaa magar kyaa rang hai ye bhii to dekhhar zabaa.n par ab salaa-e-ja.ng hai ye bhii to dekhfarsh-e-giitii se sakuu.n ab maa.il-e-parvaaz haiabr ke pardo.n me.n saaz-e-ja.ng kii aavaaz haiphe.nk de ai dost ab bhii phe.nk de apnaa rubaabuThne hii vaalaa hai ko.ii dam me.n shor-e-inqalaabaa rahe hai.n ja.ng ke baadal vo ma.nDlaate hu.eaag daaman me.n chhupaa.e KHuun barsaate hu.ekoh-o-sahraa me.n zamii.n se KHuun ublegaa abhiira.ng ke badle gulo.n se KHuun Tapkegaa abhiiba.Dh rahe hai.n dekh vo mazduur darraate hu.eik junuu.n-a.ngez lai me.n jaane kyaa gaate hu.esar-kashii kii tund aa.ndhii dam-ba-dam cha.Dhtii hu.iihar taraf yalGaar kartii har taraf ba.Dhtii hu.iibhuuk ke maare hu.e insaa.n kii fariyaado.n ke saathfaaqa-masto.n ke jilau me.n KHaana-barbaado.n ke saathKHatm ho jaa.egaa ye sarmaaya-daarii kaa nizaamra.ng laane ko hai mazduuro.n kaa josh-e-intiqaamgir pa.De.nge KHauf se aivaan-e-ishrat ke sutuu.nKHuun ban jaa.egii shiisho.n me.n sharaab-e-laala-guu.nKHuun kii buu le ke jangal se havaa.e.n aa.e.ngiiKHuu.n hii KHuu.n hogaa nigaahe.n jis taraf bhii jaa.e.ngiijho.npa.Do.n me.n KHuu.n, mahal me.n KHuu.n, shabistaano.n me.n KHuu.ndasht me.n KHuu.n, vaadiyo.n me.n KHuu.n, bayaabaano.n me.n KHuu.npur-sukuu.n sahraa me.n KHuu.n, betaab dariyaa.o.n me.n KHuu.ndair me.n KHuu.n, masjid me.n KHuu.n, kaliisaa.o.n me.n KHuu.nKHuun ke dariyaa nazar aa.e.nge har maidaan me.nDuub jaa.e.ngii chaTaane.n KHuun ke tuufaan me.nKHuun kii ra.ngiiniyo.n me.n Duub jaa.egii bahaarreg-e-sahraa par nazar aa.e.nge laakho.n laala-zaarKHuun se ra.ngii.n fazaa-e-bostaa.n ho jaa.egiinargis-e-maKHmuur chashm-e-KHuu.n-fishaa.n ho jaa.egiikohsaaro.n kii taraf se ''surKH-aa.ndhii'' aa.egiijaa-ba-jaa aabaadiyo.n me.n aag sii lag jaa.egiito.D kar be.Dii nikal aa.e.nge zindaa.n se asiirbhuul jaa.e.nge ibaadat KHaanqaaho.n me.n faqiirhashr-dar-aaGosh ho jaa.egii duniyaa kii fazaadau.Dtaa hogaa har ik jaanib farishta maut kaasurKH ho.nge KHuun ke chhii.nTo.n se baam-o-dar tamaamGarq ho.nge aatishii.n malbuus me.n manzar tamaamis tarah legaa zamaana ja.ng kaa KHuunii.n sabaqaasmaa.n par KHaak hogii, farq par ra.ng-e-shafaqaur is ra.ng-e-shafaq me.n baa-hazaaraa.n aab-o-taab!jagmagaa.egaa vatan kii hurriyat kaa aaftaab
apnii so.ii hu.ii duniyaa ko jagaa luu.n to chaluu.napne Gam-KHaane me.n ik dhuum machaa luu.n to chaluu.naur ik jaam-e-mai-e-talKH cha.Dhaa luu.n to chaluu.nabhii chaltaa huu.n zaraa KHud ko sambhaaluu.n to chaluu.njaane kab pii thii abhii tak hai mai-e-Gam kaa KHumaardhundlaa dhundlaa nazar aataa hai jahaan-e-bedaaraa.ndhiyaa.n chaltii hai.n duniyaa hu.ii jaatii hai Gubaaraa.nkh to mal luu.n zaraa hosh me.n aa luu.n to chaluu.nvo miraa sehr vo ejaaz kahaa.n hai laanaamerii kho.ii hu.ii aavaaz kahaa.n hai laanaamiraa TuuTaa hu.aa vo saaz kahaa.n hai laanaaik zaraa giit bhii is saaz pe gaa luu.n to chaluu.nmai.n thakaa haaraa thaa itne me.n jo aa.e baadalkisii matvaale ne chupke se ba.Dhaa dii botaluf vo ra.ngiin pur-asraar KHayaalo.n ke mahalaise do chaar mahal aur banaa luu.n to chaluu.nmujh se kuchh kahne ko aa.ii hai mire dil kii jalankyaa kiyaa mai.n ne zamaane me.n nahii.n jis kaa chalanaa.nsuu.o tum ne to bekaar bhigoyaa daamanapne bhiige hu.e daaman ko sukhaa luu.n to chaluu.nmerii aa.nkho.n me.n abhii tak hai mohabbat kaa Guruurmere ho.nTo.n ko abhii tak hai sadaaqat kaa Guruurmere maathe pe abhii tak hai sharaafat kaa Guruuraise vahmo.n se zaraa KHud ko nikaaluu.n to chaluu.n
ek shab halkii sii jumbish mujhe mahsuus hu.iimai.n ye samjhaa mire shaano.n ko hilaataa hai ko.iiaa.nkh uThaa.ii to ye dekhaa ki zamii.n hiltii haijis jagah shai ko.ii rakkhii hai vahii.n hiltii haisahn-o-diivaar kii jumbish hai to dar hilte hai.nbaahar aayaa to ye dekhaa ki shajar hilte hai.nko.ii shai jumbish-e-paiham se nahii.n hai mahruumek taaqat hai pas-e-parda magar naa-maaluumchand lamhe bhii ye naira.ngii-e-aalam na rahiizalzala KHatm hu.aa jumbish-e-paiham na rahiihairat-e-diid se a.ngusht-ba-dandaa.n thaa mai.nshaahid-e-jalva-e-qahhaarii-e-yazdaa.n thaa mai.ndaf.atan ek sadaa aah-o-fuGaa.n kii aa.iimere allaah ye gha.Dii kis pe musiibat laa.iigul kiyaa zalzala-e-qahr ne kis ghar kaa charaaGkis pe Dhaayaa ye sitam kis ko diyaa hijr kaa daaGjaa ke nazdiik ye nazzaara-e-hirmaa.n dekhaaek hasiina ko ba-sad haal-e-pareshaa.n dekhaabaizavii shakl me.n the husn ke jalve pinhaa.naa.nkh me.n sehr bharaa thaa magar aa.nsuu the ravaa.nmai.n ne ghabraa ke ye puuchhaa ki ye haalat kyuu.n haiterii hastii hadaf-e-ra.nj-o-musiibat kyuu.n haibolii ai shaa.er-e-ra.ngiin-tabii.at mat puuchhroz-o-shab dil pe guzartii hai qayaamat mat puuchhlog duniyaa ko tirii mujh ko zamii.n kahte hai.nahl-e-zar mujh ko mohabbat me.n hasii.n kahte hai.nmai.n unhii.n husn-parasto.n kii huu.n ta.Dpaa.ii hu.iitujh se kahne ko ye raaz aa.ii huu.n ghabraa.ii hu.iizar-parasto.n se hai.n bad-dil mirii duniyaa ke Gariibhai.n giraftaar-e-salaasil mirii duniyaa ke Gariibmujh se ye taaza balaa.e.n nahii.n dekhii jaatiizaalimo.n kii ye jafaa.e.n nahii.n dekhii jaatii.nchaahtii huu.n mire ushshaaq me.n kuchh farq na homuft me.n kashtii-e-ehsaas-e-vafaa Garq na hoek vo jis ko mayassar ho.n imaaraat-o-naqiibek vo jis ko na ho phuu.ns kaa chhappar bhii nasiibsaahab-e-daulat-o-zii-rutba-o-zardaar ho ekbe-navaa Gam-zada-o-bekas-o-laachaar ho ekek muKHtaar ho, aura.ng-e-jahaa.nbaanii kaaik muraqqa.a ho Gam-o-ra.nj-o-pareshaanii kaasaKHt nafrat hai mujhe apne parastaaro.n sechhiin lete hai.n mujhe mere talab-gaaro.n sechiira-dastii kaa miTaa detii hai.n sab jaah-o-jalaalhaif-sad-haif ki haa.il hai Gariibo.n kaa KHayaalye na hote to dikhaatii mai.n qayaamat kaa samaa.nye na hote to miTaatii mai.n Guruur-e-insaa.nek karvaT me.n badal detii nizaam-e-aalamik ishaare hii me.n ho jaatii hai ye mahfil barhamik tabassum se jahaa.n barq-ba-daamaa.n hotaana ye aaraa.ishe.n hotii.n na ye saamaa.n hotaahar adaa puuchhtii sarmaaya-parasto.n ke mizaajkuchh to farmaa.iye hazrat ki hai.n kis haal me.n aajlakh-pati sa.nkh-patii be-sar-o-saamaa.n hotejaan bach jaa.e bas is baat ke KHvaahaa.n hotebarsar-e-KHaak nazar aate hai.n qasr-o-aivaa.nashk-e-KHuunii.n se mire aur bhii uThte tuufaa.nmerii aaGosh me.n sab ahl-e-sitam aa jaatemere bartaav se bas naak me.n dam aa jaateba.az ke mu.nh Gam-e-aalaam se kaale kartiiba.az ko maut kii devii ke havaale kartiiKHuun-e-zardaar hii mazduur kii mazduurii haimai.n jo KHaamosh huu.n ye baa.is-e-majbuurii haimerii aaGosh me.n jaabir bhii hai.n majbuur bhii hai.nmere daaman hii se vaabasta ye mazduur bhii hai.nzabt kartii huu.n jo Gam aataa hai sah jaatii huu.njosh aataa hai magar kaa.np ke rah jaatii huu.n
tum bhii vahii ho mai.n bhii vahii vaqt bhii vahiihaa.n ik bujhii bujhii sii chamak chashm-e-nam me.n haiye lamha jis ke sehr me.n kho.e hu.e hai.n hamkitnii masarrato.n kaa suruur is ke Gam me.n hai
shiddat-e-dard-o-alam se jab bhii ghabraataa huu.n mai.ntere naGmo.n kii ghanii chhaa.nv me.n aa jaataa huu.n mai.nzindagii kaa aa.ina ye hai tire fan kaa kamaalhai udhar hadd-e-falak tak terii parvaaz-e-KHayaalchal gayaa saare dilo.n par teraa sehr-e-saamriijaavedaa.n ai amritaa-piriitam hai terii shaa.iriishiddat-e-ehsaas ho to KHud sa.nvar jaataa hai fanraushnii hotii hai kul duniyaa me.n jab jaltaa hai mansar-phire kuchh ahl-e-fan maare hu.e taqdiir keyuu.nhii be-samjhii me.n hai.n dushman tirii tahriir kedushmano.n ke vaar se Dartii na ghabraatii hai tuulog patthar phe.nkte hai.n phuul barsaatii hai tuutere fan ke mo'tarif ho.nge vo vaqt aane ko haiphuul tere fan kaa har gulshan ko mahkaane ko hai
mausam-e-sarmaa kii baarish kaa ye pahlaa roz haidhund hai atraaf me.n suuraj ke KHvaab-e-garm parmai.n ki jo mahsuur huu.n aaraam-e-husn-e-yaar me.nik hifaazat sii hai mujh ko jism kii mahkaar me.nyaad aur maujuud dono.n kii haqiiqat is me.n haiGam kii taaqat ko Galat karne kii himmat is me.n haisehr itne hai.n jamaal-e-mehrbaan-e-yaar me.njitne is sarmaa kii baarish ke hasii.n asraar me.n
ko.ii batlaa.e mujhemere in jaagte KHvaabo.n kaa muqaddar kyaa hai?mai.n ki har shai kii baqaa jaantaa huu.nu.Dte lamho.n kaa pataa jaantaa huu.nsard aur zard sitaaro.n kii tiqaapuu kyaa haira.ng kyaa chiiz hai KHushbuu kyaa haisub.h kaa sehr hai kyaa, raat kaa jaaduu kyaa haiaur kyaa chiiz hai aavaaz-e-sabaa jaantaa huu.nret aur naqsh-e-qadam mauj kaa rumaa.nkh aur gosha-e-lab zulf kaa KHamshaam aur sub.h kaa Gamsab kii qismat hai fanaa jaantaa huu.nphir bhii ye KHvaab mire saath lage rahte hai.njaagte KHvaab ki jin kii ko.ii ta.abiir nahii.nko.ii tafsiir nahii.nsuurat-e-zaKHm hare rahte hai.nmere haatho.n se pare rahte hai.n
vo sard raat jabki safar kar rahaa thaa mai.nra.ngiiniyo.n se zarf-e-nazar bhar rahaa thaa mai.ntezii se ja.ngalo.n me.n u.Dii jaa rahii thii railKHvaabiida kaa.enaat ko chau.nkaa rahii thii railmu.Dtii uchhaltii kaa.nptii chi.nghaa.Dtii hu.iikohre kii vo dabiiz ridaa phaa.Dtii hu.iipahiyo.n kii gardisho.n me.n machaltii thii raagniiaahan se aag ban ke nikaltii thii raagniipahu.nchii jidhar zamii.n kaa kaleja hilaa diyaadaaman me.n tiirgii ke garebaa.n banaa diyaajho.nke havaa ke barf bichhaate the raah me.njalve samaa rahe the laraz kar nigaah me.ndhoke se chhuu ga.ii.n jo kahii.n sard u.ngliyaa.nbichchhuu saa Da.nk maarne lagtii thii.n khi.Dkiyaa.npichhle pahar kaa narm dhu.ndlakaa thaa pur-fishaa.nmaayuusiyo.n me.n jaise umiido.n kaa kaarvaa.nbe-nuur ho ke Duubne vaalaa thaa maahtaabkohre me.n khup ga.ii thii sitaaro.n kii aab-o-taabqabze se tiirgii ke sahar chhuuTne ko thiimashriq ke haashiye me.n kiran phuuTne ko thiikohre me.n thaa Dhake hu.e baaGo.n kaa ye samaa.njis tarah zer-e-aab jhalaktii ho.n bastiyaa.nbhiigii hu.ii zamii.n thii namii sii fazaa me.n thiiik kisht-e-barf thii ki mu.allaq havaa me.n thiijaaduu ke farsh sehr ke sab saqf-o-baam thedosh-e-havaa pe pariyo.n ke siimii.n KHiyaam thethii ThanDe ThanDe nuur me.n kho.ii hu.ii nigaahDhal kar fazaa me.n aa.ii thii huuro.n kii KHvaab-gaahban ban ke phen suu-e-falak dekhtaa hu.aadariyaa chalaa thaa chho.D ke daaman zamiin kaais shabnamii dhundalke me.n bagule the yuu.n ravaa.nmaujo.n pe mast ho ke chale.n jaise machhliyaa.nDaalaa kabhii fazaa.o.n me.n KHat kho ga.e kabhiijhalke kabhii ufuq me.n nihaa.n ho ga.e kabhiiengine se u.D ke kaa.nptaa phirtaa thaa yuu.n dhu.aa.nletaa thaa lahr khet me.n kohre ke aasmaa.nus vaqt kyaa thaa ruuh pe sadma na puuchhiyeyaad aa rahaa thaa kis se bichha.Dnaa na puuchhiyedil me.n kuchh aise ghaav the tiir-e-malaal kero ro diyaa thaa khi.Dkii se gardan nikaal ke
kisii saa.e kaa naqsh gahraa nahii.n haihar ik saaya ik aa.nkh haijis me.n ishrat-kado.n naa-rasaa KHvaahisho.nan-kahii dil-nashii.n daastaano.n kaa melaa lagaa haimagar aa.nkh kaa sehr palko.n kii chilman kii halkii sii jumbish haiaur kuchh nahii.n haikisii aa.nkh kaa sehr daa.im nahii.n hai
ek qamiis chalii aatii hai jaane kahaa.n se bahtii hu.iijis me.n naaKHun gaa.D diye hai.n ab ik aabii jhaa.Dii neis kaa maalik bichha.D gayaa hai ye bhii us ke paas chaliiik bahte darvaaze par ik bhiigii billii baiThii haijo aane vaale lamho.n kii baabat sochtii jaatii haisochte sochte us kii aa.nkhe.n ho jaa.e.ngii sehr-zadaaur us ke baalo.n kaa resham paanii me.n mil jaa.egaalahar kii ik diivaar girii aur bulbule dab kar TuuT ga.ejin kii phuuTtii aa.nkho.n se kuchh KHvaab nikal kar bhaag chaleye KHvaabo.n ke dekhne vaale aaKHir kyuu.n nahii.n sochte hai.nsab afsaane jhuuTe hai.n, sab KHvaab bikharne vaale hai.nis laa-faanii jhuuT ke piichhe sach hai agar to itnaa haiye sab kuchh hotaa rahtaa hai paanii bahtaa rahtaa hai
zulf kii chhaa.nv me.n aariz kii tab-o-taab liyelab pe afsuu.n liye aa.nkho.n me.n mai-e-naab liyehar nafas rau me.n liye sorish-e-tuGyaan-e-nihaa.nhar nazar shauq kaa afsaana-e-b-taab liyesehr o ejaaz liye jumbish-e-mizhgaan-e-daraazKHanda-e-shoKh jamaal-e-dur-e-KHush-aab liyezau-fagan ruu-e-hasii.n par shab-e-mahtaab-e-shabaabchashm-e-maKHmuur nashaat-e-shab-e-mahtaab liyenashsha-e-naaz javaanii me.n sharaabor adaajism zauq-e-guhar atlas-o-kamKHvaab liyezulf-e-shab-ra.ng liye sandal o uud o ambarKHam-e-abruu-e-hasii.n dair kii mehraab liyelab-e-gul-ra.ng-o-hasii.n jism gudaaz-o-siimii.nshoKHii-e-barq liye larzish-e-siimaab liyeek sayyaad-e-KHush-andaam svaad-e-mashriqzulf-e-ba.ngaal liye tal.at-e-punjab liyenuzhat o naaz kaa ik paikar-e-shaadaab-o-hasii.nnik.hat-o-nuur kaa umDaa hu.aa sailaab liyemerii vaaraftagii-e-shauq musallam lekinkis kii aa.nkhe.n hai.n zuleKHaa kaa hasii.n KHvaab liye
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books