aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for ",rqo"
us ne kahaasunahd nibhaane kii KHaatir mat aanaaahd nibhaane vaale aksarmajbuurii yaa mahjuurii kii thakan se lauTaa karte hai.ntum jaa.oaur dariyaa dariyaa pyaas bujhaa.ojin aa.nkho.n me.n Duubojis dil me.n utromerii talab aavaaz na degiilekin jab merii chaahataur mirii KHvaahish kii lauitnii tez aur itniiuu.nchii ho jaa.ejab dil ro detab lauT aanaa
to mai.n kyaa kah rahaa thaa ya.anii kyaa kuchh sah rahaa thaa mai.namaa.n haa.n mez par yaa mez par se bah rahaa thaa mai.nruko mai.n be-sar-o-paa apne sar se bhaag niklaa huu.nilaa yaa ayyuhal-abjad zaraa ya.anii zaraa ThahroThere is an absurd i in absurdity shaayadkahii.n apne sivaa ya.anii kahii.n apne sivaa Thahrotum is absurdity me.n ik radiif ik qaafiya Thahro
chand roz aur mirii jaan faqat chand hii rozzulm kii chhaa.nv me.n dam lene pe majbuur hai.n hamaur kuchh der sitam sah le.n ta.Dap le.n ro le.napne ajdaad kii miiraas hai maazuur hai.n ham
ham raato.n ko uTh kar rote hai.n ro ro ke du.aa.e.n karte hai.naa.ankho.n me.n tasavvur dil me.n KHalish sar dhunte hai.n aa.he.n bharte hai.nai ishq ye kaisaa rog lagaa jiite hai.n na zaalim marte hai.n
mat roko inhe.n paas aane doye mujh se milne aa.e hai.nmai.n KHud na jinhe.n pahchaan sakuu.nkuchh itne dhu.ndle saa.e hai.n
kyaa bad-nasiib huu.n mai.n ghar ko taras rahaa huu.nsaathii to hai.n vatan me.n mai.n qaid me.n pa.Daa huu.naa.ii bahaar kaliyaa.n phuulo.n kii hans rahii hai.nmai.n is a.ndhere ghar me.n qismat ko ro rahaa huu.nis qaid kaa ilaahii dukh.Daa kise sunaa.uu.nDar hai yahii.n qafas me.n mai.n Gam se mar na jaa.uu.n
havaa bhii KHush-gavaar haigulo.n pe bhii nikhaar haitarannum-e-hazaar haibahaar pur-bahaar haikahaa.n chalaa hai saaqiyaaidhar to lauT idhar to aaare ye dekhtaa hai kyaauThaa subuu subuu uThaasubuu uThaa pyaala bharpyaala bhar ke de idharchaman kii samt kar nazarsamaa.n to dekh be-KHabarvo kaalii kaalii badliyaa.nufuq pe ho ga.ii.n ayaa.nvo ik hujuum-e-mai-kashaa.nhai suu-e-mai-kada ravaa.nye kyaa gumaa.n hai bad-gumaa.nsamajh na mujh ko naa-tavaa.nKHayaal-e-zohd abhii kahaa.nabhii to mai.n javaan huu.nibaadato.n kaa zikr hainajaat kii bhii fikr haijunuun hai savaab kaaKHayaal hai azaab kaamagar suno to shaiKH jiiajiib shai hai.n aap bhiibhalaa shabaab o aashiqiialag hu.e bhii hai.n kabhiihasiin jalva-rez ho.nadaa.e.n fitna-KHez ho.nhavaa.e.n itr-bez ho.nto shauq kyuu.n na tez ho.nnigaar-haa-e-fitnagarko.ii idhar ko.ii udharubhaarte ho.n aish parto kyaa kare ko.ii basharchalo jii qissa-muKHtasartumhaaraa nuqta-e-nazardurust hai to ho magarabhii to mai.n javaan huu.nye gasht kohsaar kiiye sair juu-e-baar kiiye bulbulo.n ke chahchaheye gul-ruKHo.n ke qahqahekisii se mel ho gayaato ranj o fikr kho gayaakabhii jo baKHt so gayaaye ha.ns gayaa vo ro gayaaye ishq kii kahaaniyaa.nye ras bharii javaaniyaa.nudhar se mehrbaaniyaa.nidhar se lan-taraaniyaa.nye aasmaan ye zamii.nnazaara-haa-e-dil-nashii.ninhe.n hayaat-aafrii.nbhalaa mai.n chho.D duu.n yahii.nhai maut is qadar qarii.nmujhe na aa.egaa yaqii.nnahii.n nahii.n abhii nahii.nabhii to mai.n javaan huu.nna Gam kushuud o bast kaabuland kaa na past kaana buud kaa na hast kaana vaada-e-alast kaaummiid aur yaas gumhavaas gum qayaas gumnazar se aas paas gumhama-bajuz gilaas gumna mai me.n kuchh kamii raheqadah se hamdamii rahenashist ye jamii raheyahii hamaa-hamii rahevo raag chhe.D mutribaatarab-fazaa, alam-rubaaasar sadaa-e-saaz kaajigar me.n aag de lagaahar ek lab pe ho sadaana haath rok saaqiyaapilaa.e jaa pilaa.e jaaabhii to mai.n javaan huu.n
us jaan-e-jahaa.n ko bhii yuu.nhii qalb-o-nazar neha.ns ha.ns ke sadaa dii kabhii ro ro ke pukaaraapuure kiye sab harf-e-tamannaa ke taqaazehar dard ko ujyaalaa har ik Gam ko sa.nvaaraa
tumhe.n udaas saa paataa huu.n mai.n ka.ii din sena jaane kaun se sadme uThaa rahii ho tumvo shoKHiyaa.n vo tabassum vo qahqahe na rahehar ek chiiz ko hasrat se dekhtii ho tumchhupaa chhupaa ke KHamoshii me.n apnii bechainiiKHud apne raaz kii tash.hiir ban ga.ii ho tummerii umiid agar miT ga.ii to miTne doumiid kyaa hai bas ik pesh-o-pas hai kuchh bhii nahii.nmirii hayaat kii Gamgiiniyo.n kaa Gam na karoGam-e-hayaat Gam-e-yak-nafas hai kuchh bhii nahii.ntum apne husn kii ra.anaa.iyo.n pe rahm karovafaa fareb hai tuul-e-havas hai kuchh bhii nahii.nmujhe tumhaare taGaaful se kyuu.n shikaayat homirii fanaa mire ehsaas kaa taqaazaa haimai.n jaantaa huu.n ki duniyaa kaa KHauf hai tum komujhe KHabar hai ye duniyaa ajiib duniyaa haiyahaa.n hayaat ke parde me.n maut paltii haishikast-e-saaz kii aavaaz ruuh-e-naGma haimujhe tumhaarii judaa.ii kaa ko.ii ranj nahii.nmire KHayaal kii duniyaa me.n mere paas ho tumye tum ne Thiik kahaa hai tumhe.n milaa na karuu.nmagar mujhe ye bataa do ki kyuu.n udaas ho tumKHafaa na honaa mirii jur.at-e-taKHaatub partumhe.n KHabar hai mirii zindagii kii aas ho tummiraa to kuchh bhii nahii.n hai mai.n ro ke jii luu.ngaamagar KHudaa ke liye tum asiir-e-Gam na rahohu.aa hii kyaa jo zamaane ne tum ko chhiin liyaayahaa.n pe kaun hu.aa hai kisii kaa socho tomujhe qasam hai mirii dukh-bharii javaanii kiimai.n KHush huu.n merii mohabbat ke phuul Thukraa domai.n apnii ruuh kii har ik KHushii miTaa luu.ngaamagar tumhaarii masarrat miTaa nahii.n saktaamai.n KHud ko maut ke haatho.n me.n sau.np saktaa huu.nmagar ye baar-e-masaa.ib uThaa nahii.n saktaatumhaare Gam ke sivaa aur bhii to Gam hai.n mujhenajaat jin se mai.n ik lahza paa nahii.n saktaaye uu.nche uu.nche makaano.n kii Dev.Dhiyo.n ke talehar ek gaam pe bhuuke bhikaariyo.n kii sadaahar ek ghar me.n hai aflaas aur bhuuk kaa shorhar ek samt ye insaaniyat kii aah-o-bukaaye kaar-KHaano.n me.n lohe kaa shor-o-Gul jis me.nhai dafn laakho.n Gariibo.n kii ruuh kaa naGmaye shaah-raaho.n pe ra.ngiin saa.Diyo.n kii jhalakye jho.npa.Do.n me.n Gariibo.n ke be-kafan laasheye maal-road pe caro.n kii rel-pel kaa shorye pTriyo.n pe Gariibo.n ke zard-ruu bachchegalii galii me.n ye bikte hu.e javaa.n chehrehusain aa.ankho.n me.n afsurdagii sii chhaa.ii hu.iiye ja.ng aur ye mere vatan ke shoKH javaa.nKHariidii jaatii hai.n uThtii javaaniyaa.n jin kiiye baat baat pe qaanuun o zaabte kii giraftye zillate.n ye Gulaamii ye daur-e-majbuuriiye Gam bahut hai.n mirii zindagii miTaane koudaas rah ke mire dil ko aur ranj na do
achchhaa ab to ha.ns do saathiivarna dekho ro sii pa.Duu.ngiibolo saathii kuchh to boloaaj mai.n sach-much tum se la.Duu.ngii
umro.n kii masaafat sethak-haar ga.e aaKHirsab ahd aziyyat kebekaar ga.e aaKHiraGyaar kii baa.nho.n me.ndildaar ga.e aaKHirro kar tirii qismat koGam-KHvaar ga.e aaKHir
nahii.n minnat-kash-e-taab-e-shuniidan daastaa.n meriiKHamoshii guftuguu hai be-zabaanii hai zabaa.n meriiye dastuur-e-zabaa.n-bandii hai kaisaa terii mahfil me.nyahaa.n to baat karne ko tarastii hai zabaa.n meriiuThaa.e kuchh varaq laale ne kuchh nargis ne kuchh gul nechaman me.n har taraf bikhrii hu.ii hai daastaa.n meriiu.Daa lii qumriyo.n ne tuutiyo.n ne andaliibo.n nechaman vaalo.n ne mil kar luuT lii tarz-e-fuGaa.n meriiTapak ai sham.a aa.nsuu ban ke parvaane kii aa.nkho.n sesaraapaa dard huu.n hasrat bharii hai daastaa.n meriiilaahii phir maza kyaa hai yahaa.n duniyaa me.n rahne kaahayaat-e-jaavedaa.n merii na marg-e-naa-gahaa.n meriimiraa ronaa nahii.n ronaa hai ye saare gulistaa.n kaavo gul huu.n mai.n KHizaa.n har gul kii hai goyaa KHizaa.n meriidarii.n hasrat saraa umriist afsuun-e-jaras daaramz faiz-e-dil tapiidan-haa KHarosh-e-be-nafas daaramriyaaz-e-dahr me.n naa-aashnaa-e-bazm-e-ishrat huu.nKHushii rotii hai jis ko mai.n vo mahruum-e-masarrat huu.nmirii big.Dii hu.ii taqdiir ko rotii hai goyaa.iimai.n harf-e-zer-e-lab sharminda-e-gosh-e-samaa.at huu.npareshaa.n huu.n mai.n musht-e-KHaak lekin kuchh nahii.n khultaasikandar huu.n ki aa.iina huu.n yaa gard-e-kuduurat huu.nye sab kuchh hai magar hastii mirii maqsad hai qudrat kaasaraapaa nuur ho jis kii haqiiqat mai.n vo zulmat huu.nKHaziina huu.n chhupaayaa mujh ko musht-e-KHaak-e-sahraa nekisii ko kyaa KHabar hai mai.n kahaa.n huu.n kis kii daulat huu.nnazar merii nahii.n mamnuun-e-sair-e-arsa-e-hastiimai.n vo chhoTii sii duniyaa huu.n ki aap apnii vilaayat huu.nna sahbaa huu.n na saaqii huu.n na mastii huu.n na paimaanamai.n is mai-KHaana-e-hastii me.n har shai kii haqiiqat huu.nmujhe raaz-e-do-aalam dil kaa aa.iina dikhaataa haivahii kahtaa huu.n jo kuchh saamne aa.nkho.n ke aataa haiataa aisaa bayaa.n mujh ko hu.aa ra.ngii.n-bayaano.n me.nki baam-e-arsh ke taa.ir hai.n mere ham-zabaano.n me.nasar ye bhii hai ik mere junuun-e-fitna-saamaa.n kaamiraa aa.iina-e-dil hai qazaa ke raaz-daano.n me.nrulaataa hai tiraa nazzaara ai hindostaa.n mujh koki ibrat-KHez hai teraa fasaana sab fasaano.n me.ndiyaa ronaa mujhe aisaa ki sab kuchh de diyaa goyaalikhaa kalk-e-azal ne mujh ko tere nauha-KHvaano.n me.nnishaan-e-barg-e-gul tak bhii na chho.D us baaG me.n gulchii.ntirii qismat se razm-aaraa.iyaa.n hai.n baaGbaano.n me.nchhupaa kar aastii.n me.n bijliyaa.n rakkhii hai.n garduu.n neanaadil baaG ke Gaafil na baiThe.n aashiyaano.n me.nsun ai Gaafil sadaa merii ye aisii chiiz hai jis kovaziifa jaan kar pa.Dhte hai.n taa.ir bostaano.n me.nvatan kii fikr kar naadaa.n musiibat aane vaalii haitirii barbaadiyo.n ke mashvare hai.n aasmaano.n me.nzaraa dekh us ko jo kuchh ho rahaa hai hone vaalaa haidharaa kyaa hai bhalaa ahd-e-kuhan kii daastaano.n me.nye KHaamoshii kahaa.n tak lazzat-e-fariyaad paidaa karzamii.n par tuu ho aur terii sadaa ho aasmaano.n me.nna samjhoge to miT jaa.oge ai hindostaa.n vaalotumhaarii daastaa.n tak bhii na hogii daastaano.n me.nyahii aa.iin-e-qudrat hai yahii usluub-e-fitrat haijo hai raah-e-amal me.n gaam-zan mahbuub-e-fitrat haihuvaidaa aaj apne zaKHm-e-pinhaa.n kar ke chho.Duu.ngaalahuu ro ro ke mahfil ko gulistaa.n kar ke chho.Duu.ngaajalaanaa hai mujhe har sham-e-dil ko soz-e-pinhaa.n setirii taariik raato.n me.n charaaGaa.n kar ke chho.Duu.ngaamagar Guncho.n kii suurat huu.n dil-e-dard-aashnaa paidaachaman me.n musht-e-KHaak apnii pareshaa.n kar ke chho.Duu.ngaapironaa ek hii tasbiih me.n in bikhre daano.n kojo mushkil hai to is mushkil ko aasaa.n kar ke chho.Duu.ngaamujhe ai ham-nashii.n rahne de shaGl-e-siina-kaavii me.nki mai.n daaG-e-mohabbat ko numaayaa.n kar ke chho.Duu.ngaadikhaa duu.ngaa jahaa.n ko jo mirii aa.nkho.n ne dekhaa haitujhe bhii suurat-e-aa.iina hairaa.n kar ke chho.Duu.ngaajo hai pardo.n me.n pinhaa.n chashm-e-biinaa dekh letii haizamaane kii tabii.at kaa taqaazaa dekh letii haikiyaa rif.at kii lazzat se na dil ko aashnaa tuu negizaarii umr pastii me.n misaal-e-naqsh-e-paa tuu nerahaa dil-basta-e-mahfil magar apnii nigaaho.n kokiyaa bairuun-e-mahfil se na hairat-aashnaa tuu nefidaa kartaa rahaa dil ko hasiino.n kii adaa.o.n parmagar dekhii na us aa.iine me.n apnii adaa tuu neta.assub chho.D naadaa.n dahr ke aa.iina-KHaane me.nye tasviire.n hai.n terii jin ko samjhaa hai buraa tuu nesaraapaa naala-e-bedaad-e-soz-e-zindagii ho jaasapand-aasaa girah me.n baa.ndh rakkhii hai sadaa tuu nesafaa-e-dil ko kyaa aaraa.ish-e-ra.ng-e-ta.alluq sekaf-e-aa.iina par baa.ndhii hai o naadaa.n hinaa tuu nezamii.n kyaa aasmaa.n bhii terii kaj-biinii pe rotaa haiGazab hai satr-e-qur.aa.n ko chaliipaa kar diyaa tuu nezabaa.n se gar kiyaa tauhiid kaa daavaa to kyaa haasilbanaayaa hai but-e-pindaar ko apnaa KHudaa tuu neku.e.n me.n tuu ne yuusuf ko jo dekhaa bhii to kyaa dekhaaare Gaafil jo mutlaq thaa muqayyad kar diyaa tuu nehavas baalaa-e-mimbar hai tujhe ra.ngii.n-bayaanii kiinasiihat bhii tirii suurat hai ik afsaana-KHvaanii kiidikhaa vo husn-e-aalam-soz apnii chashm-e-pur-nam kojo ta.Dpaataa hai parvaane ko rulvaataa hai shabnam kozaraa nazzaara hii ai bul-havas maqsad nahii.n us kaabanaayaa hai kisii ne kuchh samajh kar chashm-e-aadam koagar dekhaa bhii us ne saare aalam ko to kyaa dekhaanazar aa.ii na kuchh apnii haqiiqat jaam se jam koshajar hai firqa-aaraa.ii ta.assub hai samar us kaaye vo phal hai ki jannat se nikalvaataa hai aadam kona uTThaa jazba-e-KHurshiid se ik barg-e-gul tak bhiiye rif.at kii tamannaa hai ki le u.Dtii hai shabnam kophiraa karte nahii.n majruuh-e-ulfat fikr-e-darmaa.n me.nye zaKHmii aap kar lete hai.n paidaa apne marham komohabbat ke sharar se dil saraapaa nuur hotaa haizaraa se biij se paidaa riyaaz-e-tuur hotaa haidavaa har dukh kii hai majruuh-e-teG-e-aarzuu rahnaailaaj-e-zaKHm hai aazaad-e-ehsaan-e-rafuu rahnaasharaab-e-be-KHudii se taa-falak parvaaz hai meriishikast-e-ra.ng se siikhaa hai mai.n ne ban ke buu rahnaathame kyaa diida-e-giryaa.n vatan kii nauha-KHvaanii me.nibaadat chashm-e-shaa.ir kii hai har dam baa-vazuu rahnaabanaa.e.n kyaa samajh kar shaaKH-e-gul par aashiyaa.n apnaachaman me.n aah kyaa rahnaa jo ho be-aabruu rahnaajo tuu samjhe to aazaadii hai poshiida mohabbat me.nGulaamii hai asiir-e-imtiyaaz-e-maa-o-tuu rahnaaye istiGnaa hai paanii me.n niguu.n rakhtaa hai saaGar kotujhe bhii chaahiye misl-e-habaab-e-aabjuu rahnaana rah apno.n se be-parvaa isii me.n KHair hai teriiagar manzuur hai duniyaa me.n o begaana-KHuu rahnaasharaab-e-ruuh-parvar hai mohabbat nau-e-insaa.n kiisikhaayaa is ne mujh ko mast be-jaam-o-subuu rahnaamohabbat hii se paa.ii hai shifaa biimaar qaumo.n nekiyaa hai apne baKHt-e-KHufta ko bedaar qaumo.n nebayaabaan-e-mohabbat dasht-e-Gurbat bhii vatan bhii haiye viiraana qafas bhii aashiyaana bhii chaman bhii haimohabbat hii vo manzil hai ki manzil bhii hai sahraa bhiijaras bhii kaarvaa.n bhii raahbar bhii raahzan bhii haimaraz kahte hai.n sab is ko ye hai lekin maraz aisaachhupaa jis me.n ilaaj-e-gardish-e-charKH-e-kuhan bhii haijalaanaa dil kaa hai goyaa saraapaa nuur ho jaanaaye parvaana jo sozaa.n ho to sham-e-anjuman bhii haivahii ik husn hai lekin nazar aataa hai har shai me.nye shiirii.n bhii hai goyaa be-sutuu.n bhii kohkan bhii haiujaa.Daa hai tamiiz-e-millat-o-aa.ii.n ne qaumo.n komire ahl-e-vatan ke dil me.n kuchh fikr-e-vatan bhii haisukuut-aamoz tuul-e-daastaan-e-dard hai varnazabaa.n bhii hai hamaare mu.nh me.n aur taab-e-suKHan bhii hainamii-gardiid ko tah rishta-e-ma.anii rihaa kardamhikaayat buud be-paayaa.n ba-KHaamoshii adaa kardam
ye dhuup zard zard sii ye chaa.ndnii dhu.aa.n dhu.aa.nye tal.ate.n bujhii bujhii, ye daaG daaG kahkashaa.nye surKH surKH phuul hai.n ki zaKHm hai.n bahaar keye os kii phuvaar hai.n, ki ro rahaa hai aasmaa.ndil o nazar ke motiyo.n kii aab Dhuu.nDhtaa huu.n mai.njinhe.n sahar nigal ga.ii vo KHvaab Dhuu.nDhtaa huu.n mai.nkahaa.n ga.ii vo nii.nd kii sharaab Dhuu.nDhtaa huu.n mai.n
ye raat us dard kaa shajar haijo mujh se tujh se aziim-tar haiaziim-tar hai ki is kii shaaKHo.nme.n laakh mish.al-ba-kaf sitaaro.nke kaarvaa.n ghar ke kho ga.e hai.nhazaar mahtaab is ke saa.eme.n apnaa sab nuur ro ga.e hai.n
vo maa.n ke kahne pe kuchh ro.ab mujh pe rakhtaa haiyahii hai vaj.h mujhe chuumte jhijhaktaa haivo aashnaa mire har karb se rahe har damjo khul ke ro nahii.n paataa magar sisaktaa hai
tum us kii yaad bhulaa do ki bevafaa hai vohar ek dil nahii.n hotaa tumhaare dil kii tarahtum apne pyaar ko rusvaa karo na ro ro kartumhaaraa pyaar muqaddas hai bible kii tarah
(2)mat ro bachchero ro ke abhiiterii ammii kii aa.nkh lagii haimat ro bachchekuchh hii pahletere abbaa neapne Gam se ruKHsat lii haimat ro bachcheteraa bhaa.iiapne KHvaab kii titlii piichheduur kahii.n pardes gayaa haimat ro bachcheterii baajii kaaDolaa paraa.e des gayaa haimat ro bachchetere aa.ngan me.nmurda suuraj nahlaa ke ga.e hai.nchandarmaa dafnaa ke ga.e hai.nmat ro bachcheammii, abbaa, baajii, bhaa.iichaa.nd aur suurajtuu gar ro.egaa to ye sabaur bhii tujh ko rulvaa.e.ngetuu muskaa.egaa to shaayadsaare ik din bhes badal kartujh se khelne lauT aa.e.nge
der tak dekhtii rah jaatii haimere is jho.npa.De me.n kuchh bhii nahii.nkhel ik saada mohabbat kaashab o roz ke is ba.Dhte hu.e khokhle-pan me.n jo kabhii khelte hai.nkabhii ro lete hai.n mil kar kabhii gaa lete hai.naur mil kar kabhii ha.ns lete hai.ndil ke jiine ke bahaane ke sivaa aur nahii.nharf sarhad hai.n jahaa.n-zaad ma.aanii sarhadishq sarhad hai javaanii sarhaddil ke jiine ke bahaane ke sivaa aur nahii.ndard-e-mahruumii kiitanhaa.ii kii sarhad bhii kahii.n hai ki nahii.n?
guzar rahe the mah-o-saal aur mausam parhamaare shahar me.n aatii thii ghir ke jab barsaatjab aasmaan me.n u.Dte the har taraf jugnuuhavaa kii mauj-e-ravaa.n par diye jalaa.e hu.efazaa me.n raat ga.e jab daraKHt piipal kaa!hazaaro.n jugnu.o.n se koh-e-tuur bantaa thaahazaaro.n vaadii-e-aiman thii.n jis kii shaaKHo.n me.nye dekh kar mire dil me.n ye huuk uThtii thiiki mai.n bhii hotaa inhii.n jugnu.o.n me.n ik jugnuuto maa.n kii bhaTkii hu.ii ruuh ko dikhaataa raahvo maa.n mai.n jis kii mohabbat ke phuul chun na sakaavo maa.n mai.n jis se mohabbat ke bol sun na sakaavo maa.n ki bhe.nch ke jis ko kabhii mai.n so na sakaamai.n jis ke aa.nchalo.n me.n mu.nh chhupaa ke ro na sakaavo maa.n ki ghuTno.n se jis ke kabhii lipaT na sakaavo maa.n ki siine se jis ke kabhii chimaT na sakaahumak ke god me.n jis kii kabhii mai.n cha.Dh na sakaamai.n zer-e-saaya-e-ummiid jis ke ba.Dh na sakaavo maa.n mai.n jis se sharaarat kii daad paa na sakaamai.n jis ke haatho.n mohabbat kii maar khaa na sakaa
tirii jabii.n pe agar haadso.n ke naqsh ubhre.nmizaaj-e-gardish-e-dauraa.n bhii la.Dkha.Daa jaa.etuu muskuraa.e to sub.he.n tujhe salaam kare.ntuu ro pa.De to zamaane kii aa.nkh bhar aa.e
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books